Ziyarat

Hazrat Isa Alaihis Salam Ka Waqia Murad Ali Shah Baba Ajmer hazrul remo

Hazrat Isa Alaihis Salam Ka Waqia Murad Ali Shah Baba Ajmer hazrul remo

Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Isa Alaihis Salam Ka Waqia Sunaya Hai Aur Hazrat Dada Murad Ali Shah (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hai

Hazrat Dada Murad Ali Shah Dargah Fakira Kheda Somalpur Ajmer Sharif

Hazrat Isa Alaihis Salam Ka Waqia

Hazrat Isa Alaihis Salam Ek Bar Tez Tez Kadam Badha Karke Pahad Ki Taraf Ja Rahe The To Raste Mein Unhen Ek Shakhs Mila Aur Use Shakhs Ne Puchha E Allah Ke Pyare Nabi Itne Tej Tej Kadam Badha Karke Kaha Ja Rahe Ho Hazrat Isa Alaihis Salam Ne Use Shakhs Se Kaha Tu Mere Jaane Mein Aur Chalne Mein Khalal Mat Dal

Fir Use Shakhs Ne Kaha Aap Itni Tej Tej Kadam Badha Karke Pahad Ki Taraf Ja Rahe Hain Aapke Piche To Koi Dushman Bhi Nahi Hain To Bajaye Khauf Kya Hain Fir Hazrat Isa Alaihis Salam Ne Farmaya Main Ek Bevakuf Shakhs Se Dur Bhag Raha Hun Aur Tu Mere Bhagne Mein Khalal Mat Dal To Fir Use Shakhs Ne Kaha Kya Aap Vah Masiha Nahi Hain Jinki Dua Se Andho Aur Behro Ko Shifa Mil Jaati Hain

Hazrat Isa Alaihis Salam Ne Farmaya Beshak Main Vahi Hun Fir Use shakhs Ne Kaha Ki Aap Vah Masiha Nahi Hai Jo Murdo Per Ismein Ilahi Padkar Ke Fukte Hain Murde Jinda Ho Jaate Hain Fir Hazrat Isa Alaihis Salam Ne Farmaya Haan Beshak Main Vahi Hun Fir Use Shakhs Ne Sawal Kiya Kya Aap Allah Ke Vah Nabi Nahi Hain Jo Mitti Ke Parinde Banakar ke Un Per Dam Karte Hain Aur Vah Udne Lagte Hain

Fir Hazrat Isa Alaihis Salam Ne Farmaya Haan Beshak Main Vahi Hun To Fir Use Shakhs Ne Kaha Jab Allah Tala Ne Aapko Itni Kuwat Ata Kar Rakhi Hain To Fir Bajaye Khauf Kya Hain Aap Kyon Use Shakhs Se Dur Bhag Rahe Hain Aap Use Shakhs Per Bhi Ismein Ilahi Padkar Ke Dam Kare To Fir Aapko Use Shakhs Se Chutkara Mil Sakta Hain

To Fir Hazrat Isa Alaihis Salam Ne Farmaya Beshak Main Vahi Hun Jo Andho Aur Behro Per Allah Ka Naam Padkar Ke Dam Karta Hun To Vah Shifayab Ho Jaate Hain Murdo Per Padkar Ke Fukta Hun To Vah Jinda Ho Jaate Hain Aur Mitti Ke Parinde Banakar Un Per Dam Karta Hun To Vah Udne Lagte Hain

Lekin Yah Jo Shakhs Hain Ahmakh Mein Is Per Lakho Martba Ismein Ilahi Padkar Ke Dam Kar Chuka Hun Lekin Use Per Iska Koi Asar Nahi Hota Hain Isiliye Main Usse Bhag Raha Hun To Fir Use Shakhs Ne Kaha Iski Vajah Kya Hain To Hazrat Isa Alaihis Salam Ne Farmaya Iski Vaje Hain Ke Jo Ahmakh Hota Hain Iski Koi Bhi Himakat Aakhri Nahi Hoti Hain Aur Yeh Insaan Ka Ahmakh Hona Ek Khudai Kehar Hain Yah Khudai Kehar Ki Vaje Se Use Pe Ismein Ilahi Bhi Asar Nahi Karta Hain

Hazrat Isa Alaihis Salam Ka Waqia
Hazrat Dada Murad Ali Shah Dargah Fakira Kheda Somalpur Ajmer Sharif

Hazrat Syed Dada Murad Ali Shah

Hazrat Dada Murad Ali Shah (R.A) Ki Dargah Ajmer Sharif Mein Hain Jis Raste Se Jayerin Hazrat Taki Hazrat Naki Sarkar (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Gadiyo Se Jaate Hain Usi Raste Ke Bilkul Hi Kareeb Mein Hazrat Dada Murad Ali Shah (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Gate Hain Aur Hazrat Dada Murad Ali Shah (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Ek Pani Ki Bawdi Hain Pani Ki Bawdi Ke Kareeb Mein Kafi Bada Ped Hain Aur Ped Ke Kareeb Mein Wazu Khana Hain

Aur Hazrat Dada Murad Ali Shah (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Ek Kafi Bada Deg Hain Is Deg Mein Jayerino Ke Liye Urs Mein Langar Banaya Jata Hain Hazrat Dada Murad Ali Shah (R.A) Ke Astana E Mubarak Ke Farsh Mein Marble Laga Hua Hain Hazrat Ke Astana E Mubarak Mein Do Mazar Hain Ek Mazar E Mubarak Aapka Hain Aur Ek Mazar E Mubarak Aapke Khalifa Ka Hain Aur Dono Mazar E Mubarak Ke Charo Taraf Steel Ke Grill Lage Hue Hain

Silsila

Hazrat Syed Dada Murad Ali Shah (R.A) Madariya Silsile Ke Bujurg Hain

Urs Mubarak

Hazrat Dada Murad Ali Shah (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Hazrat Dada Murad Ali Shah (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Mubarak Rajab Ke Mahine Mein Manaya Jata Hain Dada Murad Ali Shah Urs Date 19 Se 20 Rajab

Dargah Address

Hazrat Syed Dada Murad Ali Shah (R.A) Ki Dargah Sharif Fakira Kheda Somalpur Road Ajmer Sharif Rajasthan Bharat Mein Hain Ajmer Railway Station Se Lagbhag 6.7 Kilometer Dur Hain Aur Ajmer Bus Station Se Lagbhag 8.5 Kilometer Dur Hain Humne Aapko Hazrat Syed Dada Murad Ali Shah (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hain Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Syed Dada Murad Ali Shah (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain

Google Map Location

Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Kichocha Sharif Dargah Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Kichocha Sharif Hazrat Syedna Shah Ameer Abul Ula Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Agra hazrul remo Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ki Dargah Sharif Chandipur Malda Ajmer Sharif Urs Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Ajmer Ajmer Sharif Ki 10 Mashhur Dargah ki Ziyarat Ziyarat of 10 most famous places of Ajmer Sharif