Urs Mubarak

Kichocha Sharif Urs Makhdoom Ashraf Simnani (R.A) hazrul remo

Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se  Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Ki Dargah Kichocha Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain

Kichocha Sharif Urs Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani Kichocha Sharif Dargah

History

Aap Ki Wilaadat Simnan (Iran) Mein Hui Aap Ke Waalid Ka Naam Sultaan Syed Ibrahim Noor Bakhshi Bin Syed Imaad-ud-deen Aur Waalida Ka Naam Bibi Khadija Begum Binte Khwaja Ahmad Yasawi Hain Aap Husaini Saadaat Hain Aap Ke Waalid Simnan Ke Sultaan The

Piro Murshid

Aap Hazrat Makhdoom Alaul Haque Pandwi (R.A) Ke Mureed Aur Khalifa Hain Aap Ke Peero Murshid Ki Dargah Sharif Pandua Sharif Malda West Bengal Mein Hain

Karamat

Ek Bar Aap Ameer Taimur Ki Saltanat Se Guzar Rahe The Us Ne Aap Ka Istaqbaal Aur Tazeem Kiya Pahaadi Par Chadhte Waqt Ameer Taimur Ne Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Se Kaha Ke Jaha Tak Aap Ki Nazar Jaae Waha Tak Ka Ilaka Aap Ko Tohfe Me De Sakta Hu Aap Ne Us Se Farmaya Ke Main Jaha Tak Dekh Sakta Hu Wo Ilaka Tumhari Saltanat Me Nahi Hai Ye Kehkar Aap Ne Ameer Taimur Ke Sar Par Apna Daste Mubarak Rakha Aur Farmaya Ke Ab Tum Kya Dekhte Ho Ameer Taimur Ne Kaha Ke Mujhe Makkah Mukarrama Aur Madeena Munawwara Nazar Aa Raha Hai Aap Ne Farmaya Ke Kya Ye Tumhari Hukoomat Me Hai Ameer Taimur Ne Sharminda Hokar Inkaar Kiya Aur Us Ki Aqeedat Aur Bhi Mazboot Ho Gai

Neer Sharif

Need Sharif Ek Talab Hain Jo Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir simnani (R.A) Ki Dargah Sharif Ke Bilkul Hi Kareeb Mein Hain Neer Sharif Talab Ke Pani Ko Kafi Zayerin Botalo Mein Bharkar Ke Apne Ghar Lekar Jaate Hain Aur Yah Pani Kafi Ruhani Bimariyon Mein kam Aata Hain Aur Kafi Zayerin Neer Sharif Mein Nahate Bhi Hain

Kichocha Sharif Urs

Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Ki Dargah Kichocha Sharif Ka Urs Mubarak Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Kichocha Sharif Dargah Ka Urs Muharram Sharif Ke Mahine Me Manaya Jata Hain Kichocha Sharif Urs Date 24 Se 28 Muharram Sharif

Kichocha Sharif Near Railway Station

Kichocha Sharif Ke Sabse Pas Mein Hain Akbarpur Railway Station Aap Akbarpur Railway Station Se Direct Kichocha Sharif Dargah A Sakte Hain Akbarpur Railway Station Se Kichocha Sharif Mazar Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Ki Dargah Sharif Lagbhag 27.6 Kilometer Dur Hain

Aur Google Map Ke Hisab Se Akbarpur Railway station Ayodhya Cantt Se Lagbhag 62 Kilometer Dur Hain Aur Azamgarh Se 94 Kilometer Dur Hain Aur Varanasi Junction Railway Station Se Lagbhag 167 Kilometer Dur Hain Aur Lucknow Charbagh Railway Station Se Lagbhag 190 Kilometer Dur Hain

Kichocha Sharif Dargah Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani Kichocha Sharif
Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani Kichocha Sharif Dargah

Address

Kichocha Sharif Uttar Pradesh India Mein Hain Aur Kichocha Sharif Ke Sabse Kareeb Mein Akbarpur Railway Station Hain Aapko Akbarpur Railway Station Se Direct Kichocha Sharif Ke Liye Gadi Mil Jayegi Agar Aapko Akbarpur Railway Station Se Gadi Nahi Milti Hai To Aap Baskhari A Jaaiye Baskhari Se Aapko Direct Kichocha Sharif Ke Liye Gadi Mil Jayegi

Akbarpur Railway Station Se Kichocha Sharif Dargah Lagbhag 26.7 Kilometer Dur Hain Aur Baskhari Se Lagbhag 4.6 Kilometer Dur Hai Kichocha Sharif Dargah Humne Aapko Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Kichocha Sharif Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain

Google Map Location

FAQ

What Is Kichocha Sharif Famous For

Kichocha Sharif Ko Mashhur Allah Ke Wali Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Ki Dargah Sharif Ke Vajah Se Bhi Jana Jata Hai Aapki Wiladat Simnan Mein Hui Hai

Aap Hazrat Makhdoom Alaul Haq Pandvi (R.A) Ke Murid Aur Khalifa Hai Aapse Ashrafiya Silsila Jari Hain Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Duniya Bhar Se Lakho Jayerin Apni Hajri Apna Salam Pesh Karne Ke Liye Kichocha Sharif Mein Aate Hain

Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake

Related Articles

One Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button