Mai Sahiba Dargah Hazrat Bibi Zulekha Adchini Delhi hazrul remo
Mai Sahiba Dargah Hazrat Bibi Zulekha Adchini Delhi hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye
Hazrat Hazrat Bibi Zulekha (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain
History
Hazrat Bibi Zulekha (R.A) Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ki Walida Hai Aapke Waliden Bukhara Se Badaun Sharif Aaye The Aapke Walid Ka Naam Hazrat Khwaja Arab (R.A) Hai Aapke Walid Ne Hazrat Khwaja Ali (R.A) Ke Sahabzade Hazrat Khwaja Syed Ahmad (R.A) Se Aapka Nikaah karaya Hazrat Khwaja Syed Ahmed (R.A) Ke Wisaal Ke Kuch Saal Bad Aap Delhi Tashrif Laye Aapka Wisaal Delhi Mein Hua Hain Aap Ki Dargah Sharif Delhi Mein Hain Dargah Sharif Ke Gate Se Jaise Hi Aap Dargah Sharif Mein Jaenge Samne Hi Wazu Khana Hai Hazrat Bibi zulekha (R.A) Ke Astana E Mubarak Ke Bilkul Hi Kareeb Mein Masjid Hai Is Masjid Mein Paanchon time ki namaz Hoti Hai Har Budhwar Ke Din Hazrat Bibi Zulekha (R.A) Ki Dargah Sharif Zayerin Se Khachakhach Rahti Hain Hazrat Mai Sahiba Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Kafi Dur Dur Se Zayerin Aate Hain
Mai Sahiba Dargah Address
Hazrat Mai Sahiba Ki Dargah Sharif Adchini Delhi India Mein Hain Aur Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ki Dargah Sharif Se Lagbhag 11.5 Kilometer Dur Hain Aur New Delhi Railway Station Se Lagbhag 13.4 Kilometer Dur Hain Humne Aapko Hazrat Mai Sahiba Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Mai Sahiba Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain
Google Map Location
Mai Sahiba Hazrat Bibi Zulekha (R.A) Ki Dargah Sharif Adchini Delhi
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake