Shah Farhad Abul Ulai Naqshbandi Ki Dargah Delhi hazrul remo
Shah Farhad Abul Ulai Naqshbandi Ki Dargah Delhi hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye
Hazrat Shah Mohammad Farhad Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain
History
Aapka Naam Hazrat Shah Mohammad Farhad Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Hain Aapke Walid Bujurgvar Shahi Darbar Se Musalik The Umrae Darbar Mein Mumtaz The Burhanpur Ki Subedari Unke Supurd Thi Subedari Ke Faraiz Aap Burhanpur Mein Rahkar Anjam Dete The Aap Ki Wiladat Delhi Mein Hui
Burhanpur Mein Kayam
Aapke Walid Bujurgvar Burhanpur Ke Subedar mukarrar Hue To Aap Bhi Unke Sath Burhanpur A Gaye Burhanpur Mein Hazrat Shah Dost Mohammad Abu Ulai Naqshbandi (R.A) Bahut Hi Mashhur The Aapke Walid Bujurgvar Bhi Hazrat Ki Khanqah Mein Kabhi Kabhi Jate The Aap Bhi Apne Walid Bujurgvar Ke Sath Hazrat Ki Khanqah Mein Jate The Use Waqt Aapki Umar Takriban 12 Ya 13 Sal Thi Kuchh Hi Waqt Mein Aapko Hazrat Se Akidat V Mohabbat Ho Gai Aur Aap Akele Hi Hazrat Ki Khidmat Mein Hajir Hone Lage Jab Aapke Walid Bujurgvar Ko Pata Chala To Unhone Aapko Vaha Jane Se Roka Aap Fir Bhi Vaha Jane Lage To Aapke Walid Hazrat Ki Bargah Mein Hajir Hue Aur Arj Kiya Ke Mera Sirf Ek Hi Ladka Hai Agar Vo Aapke Pas Aata Jata Raha To Duniya Se Bekar Ho Jaega Hazrat Ne Farmaya Tum Chahte Ho Ki Vah Badshah Ke Samne Hath Bandh Kar Khada Ho Lekin Allah Tala Chahta Hai Ki Badshah Uske Samne Hath Bandh Kar khada Ho Iske Bad Walide Majid Ne Aapko Hazrat Ke Pas Aane Jaane Se Mana Nahi Kiya
Bait V Khilafat
Kuchh Dino Ke Bad Aap Hazrat Shah Dost Mohammad Abu Ulai Naqshbandi (R.A) Ke Murid Hue Aapne Hazrat Se Talim Hasil Kari Aur Khirka E Khilafat Hasil Kari
Piro Murshid Ki Vasiyat
Hazrat Shah Dost Mohammed (R.A) Ne Apne Vishal se pahle aapko Vasiyat Farmai Ke Burhanpur Se Delhi Jao Aur Vahi Rahkar Tojsdo Hidayat Ka Silsila Jari Rakho Hazrat ke Vishal Ke Bad Aap Delhi Tashrif Laye Aur Sukunat Pazir hue Aur Tamam Umra Delhi Mein Rahkar Khismate Islam Karte Rahe Aur Logo Ko Talim V Faiz Ata farmate Rahe Aap Hazrat Shah Dost Mohammed (R.A) Ke Murid Aur Khalifa Hai Aur Naqshbandi Abu Ulai Silsile Ke Sheikh Hai
Wisaal Sharif
Aapne 25 Jamadi Ul Sani 1135 Hijri Ko Wisaal Farmaya Aapka Mazar Mubarak Delhi Mein Hain Aapke Mazar Mubarak Se Ab Bhi fuyus Jari Hain
Aapke Khulfa
Hazrat Burhanuddin Khudanuma Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Aur Hazrat Shah Asdullah Abul Ula Naqshbandi (R.A) Aapke Mumtaz Khalifa Hain
Sirate Mubarak
Aap Vahidul Asar Aur Kutbe Vaqt The Aapki Tavajjoh Gaibi Ka Yah Asar Hota Tha Ki Log Behosh Ho Jate The Aap Ke Faije Sohbat Va Tarbiyat Se Log Mukame Marphat Tak Pahunch Gae Aapko Shaikhul Jinn Val Ins Kaha Jata Hai Jinn Insani Surat Mein Aapki Majlise Muariph Mein Hajir Hokar fuyooj Va barkat Hasil Karte The Aap Par Nisbate Istigrakiya Is Darja Galib Thi Ki Aap Khurak Va Poshaak Se Bekhabar Rahte The zikr Va Phikr Mein Hama Vakt Hama Tan Mashgul Va Mustagarik Rahte The Baz Aukat Aisa Hota Tha Ki Aap Masnad Par Baithe Hue Kuchh Talaash Karte Hote The Log Puchte Kya Talaash Kar Rahe Hain Aap Farmate Farhad Yaha Betha Tha Kaha Gaya Garz Aapke Ausafe Bashri Sifate Mulki Mein Tabdil Ho Gae The
Urs Mubarak
Hazrat Shah Mohammad Farhad Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Shah Farhad Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Jamadi Ul Sani Ke Mahine Me Manaya Jata Hain Shah Farhad Abul Ulai Urs Date 25 Se 26 Jamadi Ul Sani
Dargah Address
Hazrat Shah Mohammad Farhad Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi India Mein Hain Delhi Junction Railway Station Se Lagbhag 4.7 Kilometer Dur Hain Aur New Delhi Railway Station Se Lagbhag 4.6 Kilometer Dur Hain Humne Aapko Hazrat Shah Mohammad Farhad Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Shah Mohammad Farhad Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain
Google Map Location
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake