Makhdumpur Mazar Hazrat Shah Jalal Ka Chilla Malda hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ki Chilla Mubarak Ki Ziyarat Karaya Hai
History
Aapka Naam Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Hai Is Jagah Ko Jyadatar Log Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ke Mazar E Mubarak Ke Naam Se Jante Hain Ya Fir Makdumpur Mazar Ke Naam Se Jante Hain Jab Hum Makhdumpur Mazar Ki Ziyarat Ke Liye Gaye To Humne Waha Ke Logo Se Poochha Humne Waha Ke Logo Se Maloomat Kiya Hume Pata Chala Asal Mein Yah Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ka Yah Chilla Mubarak hai
Chilla Mubarak
Chilla Kya Hai Chilla Mubarak Kis Jagah Ko Kaha Jata Hai Chilla Kashi Kya Kai Chilla Mubarak Use Jagah Ko Kaha Jata Hai Jis Jagah Par Koi Bujurg Koi Allah Wali Ibadat Karte Hain Use Jagah Ko Chilla Kaha Jata Hai Yah Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ka Chilla Mubarak Hai Yaha Par Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ne Allah Ki Ibadat Ki Hai
Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ke Chilla Mubarak Ki Ziyarat Ke Liye Kafi Dur Dur Se Jayerin Aate Hain Aur Hazrat Shah Jalal (R.A) Ke Chilla Mubarak Mein Chadar Shirni Pesh Karte Hain Chadar Aur Shirni Jayerin Bans Ki Tokri Mein Bahut Hi Khubsurat Tarike Se Saja Karke Sarpe Rakhkar Late Hain Aur Hazrat Ke Chilla Mubarak Mein Pesh Karte Hain
Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ke Chilla Mubarak Mein Ek Kafi Purana Ped Hai Is Ped Mein Jayerin Mannat Ke Dhaage Bandhte Hain Hazrat Shah Jalal (R.A) Ka Chilla Mubarak Road Ke Bilkul Hi Kareeb Mein Hai Jab Bhi Koi Naya Dulha Dulhan Jin Logo Ki Nai Nai Shaadi Hoti Hai Vah Log Agar Is Road Se Gujarte Hain To Vah Log Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ke Chilla Mubarak Mein Aate Hain Hazrat Ke Chilla Mubarak Mein Apni Hajiri Apna Salam Pesh Karte Hain Aur Fir Apne Ghar Jaate Hain
Karamat
Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ke Chilla Mubarak Ke Kareeb Mein Ek Nadi Behti Thi Pahle Ke Daur Mein Jo Bans Ke Vyapari Vyapar Karte The Vah Vyapari Is Nadi Se Bans Lekar Ke Jaate The Karibi Shahar Malda Town Mein Ek Shakhs Bans Lekar Ke Nadi Se Malda Town Ja Raha Tha Kuchh Dur Jaane Ke Bad Uske Bans Use Shakhs Ke Bans Nadi Mein Fas Gaye Use Shakhs Ne Kafi Koshish Ki Banso Ko Nikaalne Ki Lekin Bans Kisi Bhi Hal Mein Nahin Nikal Rahe The Aur Use shakhs Ke Alava Aur Bhi Kafi Logo Ne Koshish Ki Banso Ko Nikaalne Ki Lekin Bans Kisi Bhi Hal Mein Nahin Nikal Rahe The
Bans Bahut Hi Buri Tarike Se Fas Gaye The Bans Kisi Bhi Hal Mein Aage Ki Taraf Nahin Ja Rahe The Fir Use Vyapari Ne Aapko Yad Kiya Hazrat Meri Madad Farmae Mere Bans Buri Tarike Se Fas Gaye Hain Mere Banso Ko Nikal Ye Jis Waqt Use Vyapari Ne Aapko Yad Kiya Use Waqt Aap Apne Dadhi Mubarak Ko Set Karva Rahe The
Jaise Hi Use Vyapari Ne Aapko Madad Ke Liye Yad Kiya Aapne Allah Ki Bargah Mein Use Vyapari Ke Liye Dua Ki Aur Apne Hath Ko Aage Badhaya Jaise Hi Aapne Apna Hath Aage Ki Taraf Badhaya Jo Bans Nadi Mein fanse Hue The Vah Bans Nikal Gaye Vah Bans Aage Ki Taraf Jaane Lage Jo shakhs Aapka Dadhi Mubarak
Set Kar Raha Tha Use Shakhs Ne Dekha Ki Aapka Hath Bhiga Hai Use Shakhs Ne Aapse Poochha Hazrat Aapke Hath Kaise Bhige Fir Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ne Farmaya Yah Janne Ka Aapka Kam Nahi Hai Aap Apna Kam Kariye Fir Use Shakhs Ne Kaha Hazrat Jab Tak Aap Mujhe Yah Nahi Bataenge Ki Aap Ka Hath Kaise Bheega Tab Tak Main Aapka Dadhi Mubarak Set Nahi Karunga Ek Shakhs Nadi Se Bans Lekar Ke Ja Raha Tha Uske Bans Fas Gaye The Maine Apne Hath Ko Aage Badhaya Aur Uske Banso Ko Nikala Isiliye Mera Hath Bheeg Gaya
Urs Mubarak
Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ke Chilla Mubarak Mein Makhdumpur Urs Mein Hazrat Ke Pure Chilla Mubarak Ko Kafi Khubsurat Tarike Se Sajaya Jata Hai Makhdumpur Urs Mein Kafi Dur Dur Se Dukandar Apni Dukane Lekar Ke Aate Hain Aur Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ke Chilla Mubarak Ke Kareeb Mein Apni Dukane Lagate Hain Makhdumpur Urs Mein Nashte Ki Hotel Mithai Ki Dukaan Khane Ki Hotel Baccho Ke Khilauno Ki Dukaan Aur Bhi Kafi Tarah Tarah Ke Samano Ki Dukaan Lagate Hain Dukandar
Hazrat Shah Jalal (R.A) Ke Urs Mubarak Main Kafi Jagah Jagaho Se Log Aate Hain Makhdumpur Urs Mein Bengal Vah Bihar Se Bhi Zayerin Aate Hain Aur Makhdumpur Ke Aaspaas Ke Gaon Ke Jaise Ke Chanchal Tulsihata Bangrua Birua Ramshimul Kushida Bagmara Chandipur Malippur Mankiwadi Harishchandrapur Samsi Barsoi Yah Makhdumpur Ke Aaspaas Ke Gaon Hain Aise Hi Aur Bhi Bahut Se Gaon Hain Makhdumpur Ke Aaspaas Mein In Sabhi Gaon Se Hazrat Shah Jalal (R.A) Ke Urs Mubarak Mein Jayerin Aate Hain
Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ka Urs Hazrat Ke Chilla Mubarak Mein Har Sal Manaya Jata Hai Makhdumpur Ka Urs Bangla Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Chaitra Ke Mahine Mein Manaya Jata Hai Makhdumpur Urs Date Chaitra Mahine Ki Pehli Jumme Raat
Address
Hazrat Shah Jalal (R.A) Ka Chilla Mubarak Makhdumpur Chanchal Malda West Bengal Bharat Mein Hain Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ke Chilla Mubarak Ke Sabse Kareeb Mein Do Railway Station Hai Ek Harishchandrapur Railway Station Aur Dusra Samsi Railway Station Hain Harishchandrapur Railway Station Se Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ke Chilla Mubarak Ki Duri Lagbhag 20 Kilometer Ki Hai Harishchandrapur Railway Station Se Aapko Direct Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ka Chilla Mubarak makhdumpur Ke Liye Gadi Mil Jayegi
Samsi Railway Station Se Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ke Chilla Mubarak Ki Duri Lagbhag 24 Kilometer Ki Hai Agar Aap Samsi Railway Station Se Aana Chahte Hain To Aap Samsi Railway Station Se Pehle Chanchal A Jaaiye Chanchal Se Aapko Direct Makhdumpur Hazrat Shah Jalal (R.A) Ke Chilla Mubarak Ke Liye Gadi Mil Jayegi Samsi Ke Liye Aapko Train Kolkata Malda Delhi Siliguri Katihar Aur Bhi Kafi Jagaho Se Train Mil Jayegi
Harishchandrapur Ke Liye Aapko Train Katihar Kishanganj Barsoi Siliguri Malda Kolkata Radhikapur Sealdah Aur Bhi Kafi Jagaho Se Train Mil Jayegi Humne Aapko Hazrat Makhdoom Shah Jalal (R.A) Ke Chilla Mubarak Makhdumpur Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Shah Jalal (R.A) Ke Chilla Mubarak Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain
Google Map Location
Last
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake