Patharchapuri Mazar Data Mehboob Shah Wali (R.A) hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain
History
Aapka Naam Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Hai Aapki Dargah Sharif Ko Log Data Baba Dargah Ke Naam Se Bhi Jante Hain Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ka Mazar E Mubarak Birbhum Jila Patharchapuri Sharif Gaon Mein Hai Hazrat Ke Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Ke Liye Kafi Dur Dur Se Jayerin Aate Hain
Buland Darwaza
Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Ek Number Gate Kafi Khubsurat Banaa Hua Hai Aur Is Ek Number Gate Ko Buland Darvaje Ke Naam Se Jana Jata Hai Aur Yah Buland Darvaja Ke Kareeb Mein Kafi Logon Ne Chadar Phoolo Aur Shirni Ki Dukaan Laga Ke Rakhi Hain Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Ke Farsh Mein Kafi Khubsurat Tarike Se Marble Laga Hua Hai Buland Darwaze Se Hi Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ka Astana E Mubarak Ka Gate Dikhta Hai
Hazrat Ke Astana E Mubarak Ke Kareeb Mein Hazrat Ki Dargah Sharif Mein Ek Bahut Hi Khubsurat Masjid Hai Aur Is Masjid Ko Log Jama Masjid Ke Naam Se Jante Hain Aur Yah Jama Masjid Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ke Dargah Sharif Ke Ek Number Gate Yani Buland Darvaze Se Yah Masjid Bhi Dikhta Hai Jama Masjid Ke Bilkul Hi Kareeb Mein Auraton Ke Liye Ibadat Gah Banaa Hua Hai Is Ibadat Gah Mein Sirf Aurate Hi Namaj Ada Karti Hai
Do Number Gate
Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Do Number Gate Se Hazrat Ki Dargah Sharif Ka Bahut Hi Khubsurat Manjar Dikhta Hai Do Number Gate Ke Kareeb Mein Logo Ne Chadar Aur Shirni Ki Dukane Laga Ke Rakhi Hai Take Jo Bhi Jayerin Hazrat Ke Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Ke Liye Do Number Gate Se Hazrat Ki Dargah Sharif Mein Jaaye Unhe Chadar Aur Shirni Badi Aasani Se Mil Jaaye Isiliye Logo Ne Do Number Gate Ke Kareeb Mein Chadar Aur Shirni Ki Dukane Bhi Lagakar Rakhi Hai
Do Number Gate Se Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Ka Gumbad Sharif Ka Bahut Hi Khubsurat Manzar Dikhta Hai Aur Do Number Gate Se Hi Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Ek Number Gate Bhi Dikhta Hai Aur Dargah Ka Teen Number Gate Bhi Dikhta Hai Aur Dargah Sharif Ke Do Number Gate Ke Kareeb Mein Waju Khana Hai Aur Is Waju Khane Mein Jo Log Namaz Ada Karne Ke Liye Aate Hain Aur Jo Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ke Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Ke Liye Aate Hai Vah Log Is Wazu Khane Mein Waju Banate Hai
Mazar Sharif
Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ka Mazar E Mubarak Ek Bahut Hi Khubsurat Gumbad Sharif Ke Niche Hai Aur Hazrat Ke Astana E Mubarak Ke Gate Mein Hazrat Ka Naam Likha Hua Hai Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ke Astana E Mubarak Ke Farsh Mein Marble Laga Hua Hai Aur Mazar Sharif Ke Charo Taraf Kafi Khubsurat Tarike Se Steel Ki Railing Laga Hua Hai Hazrat Data Mehboob Shah Wali Ke Mazar Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Kafi Dur Dur Se Jayerin Patrachhapri Sharif Aate Hain Aur Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ke Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karte Hai Aur Hazrat Ke Mazar Sharif Mein Phool Chadar Pesh Karte Hain
Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ke Astana E Mubarak Ke Bahar Hazrat Ke Astana Sharif Ke Gate Ke Kareeb Mein Jayerin Agarbatti Pesh Karte Hai Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ke Astana E Mubarak Ke Kareeb Mein Hazrat Ki Dargah Sharif Ke Teen Number Gate Ki Taraf Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ka Chilla Mubarak Hai
Chilla Sharif
Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Hazrat Ke Astana E Mubarak Ke Kareeb Mein Hazrat Ka Chilla Mubarak Hai Hazrat Ke Chilla Mubarak Mein Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ke Tabarrukat Hai Jayerin Aaj Bhi Hazrat Ke Chilla Mubarak Ki Ziyarat Ke Liye Aate Hai Chilla Mubarak Ki Aur Hazrat Ke Tabarrukat Ki Ziyarat Karte Hai Hazrat Ke Chilla Mubarak Ke Kareeb Mein Hazrat Izzat Bibi (R.A) Ka Mazar E Mubarak Hai
Hazrat Izzat Bibi (R.A) Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Khadma Thi Aur Hazrat Izzat Bibi (R.A) Hazrat Mehboob Shah Wali (R.A) Se Badi Mohabbat Kiya Karti Thi Hazrat Izzat Bibi (R.A) Ka Mazar E Mubarak Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Hazrat Ke Chilla Mubarak Ke Kareeb Mein Hazrat Izzat Bibi (R.A) Ka Mazar Sharif Hai
Patharchapuri Mela
Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ke Dargah Sharif Ke Urs Mubarak Mein Patharchapuri Mela Mein Hazrat Ke Pure Dargah Sharif Ko Lighto Se Kafi Khubsurat Tarike Se Sajaya Jata Hai Patharchapuri Mele Mein Dukandar Apni Dukane Lekar Ke Aate Hain Aur Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ke Dargah Sharif Ke Kareeb Mein Apni Dukane Lagate Hai Hazrat Ki Dargah Sharif Ke Kareeb Mein Kafi Tarah Tarah Ke Jhule Bhi Lagaye Jaate Hai
Patharchapuri Mela Mein Khane Ki Hotel Nashte Ki Hotel Mithai Ki Dukaan Baccho Ke Khilauno Ki Dukaan Aur Bhi Kafi Tarah Tarah Ke Samano Ki Dukaan Lagate Hain Dukandar Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Ke Urs Mubarak Mein Kafi Dur Dur Se Jayerin Aate Hain Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Patharchapuri Ka Mela Har Sal Bengali Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Choitro Ke Mahine Mein Manaya Jata Hai Patharchapuri Mela Date 9 Choitro
Address
Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Patharchapuri Sharif Siuri Birbhum West Bengal Bharat Mein Hai Agar Aap Bye Road Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Aana Chahte Hain To Aap Pehle Siuri A Jaaiye Siuri Se Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Duri Lagbhag 12 Kilometer Ki Hai Aur Agar Aap Bye Train Aana Chahte Hain To Aap Bye Train Bhi A Sakte Hai
Patharchapuri Sharif Ke Kareeb Mein Yeh Teen Mashhur Railway Station Hai 1 Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Patharchapuri Sharif Ke Sabse Kareeb Mein Siuri Railway Station Hai Siuri Railway station Se Lagbhag 12 Kilometer Dur Hai Patharchapuri Sharif 2 Patharchapuri Sharif Ke Kareeb Mein Dusra Railway Station Raniganj Hai Raniganj Railway Station Se Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Duri Lagbhag 62 Kilometer Ki Hai
3 Patharchapuri Dargah Sharif Ke Kareeb Mein Tisra Railway Station Hai Asansol Asansol Railway Station Se Lagbhag 74 Kilometer Dur Hain Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Patharchapuri Siuri Ho Ya Raniganj Ho Ya Asansol Ho In Sabhi jagaho Se aapko Badi Aasani Se Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Ke Liye Gadi Mil Jayegi Agar Aapko Asansol Ya Raniganj Se Gadi Nahi Milti Hai To Aap Siuri A jaaiye Siuri Se Aapko Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Patharchapuri Ke Liye Gadi Mil Jayegi
Humne Aapko Patharchapuri Sharif Hazrat Data Mehboob Shah Wali (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Data Baba Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hai
Google Map Location
Last
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake