Hazrat Fakhruddin Fakhr E Jahan Ki Mazar Sharif Delhi hazrul remo
Hazrat Fakhruddin Fakhr E Jahan Ki Mazar Sharif Delhi hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye
Hazrat Fakhruddin Fakhr E Jahan Dehlvi (R.A) Ki Mazar Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain
History
Aapka Naam Mohibun Nabi hazrat Maulana Muhammad Fakhruddin Fakhr E Jahan Dehlvi (R.A) Hain Aapke Walid Ka Naam Hazarat Nizamuddin Aurangabadi (R.A) Hai Aapke Walid Hazrat Nizamuddin Aurangabadi (R.A) Delhi Aakar Hazrat Khwaja Kalimullah Shah Jahanabadi Chishti (R.A) Se Baith Hue Aur Khirka E Khilafat Se Musharraf Hue Aapne Peer Va Murshid Ke Faramaan Ke Mutaabik Aap Dakkan Tashareef Le Gaye Aur Aurangabad Mein Sukoonat Akhtiyaar Karke Vahi Rushd Va Hidaayat Faramaane Lage
Aapki Walida Mukarrama Hazrat Syed Muhammad Gaisu Daraz (R.A) Ke Khandan Se Thi
Aapke Char Bhai The Hazrat Muhammad Ismail Aapke Bade Bhai The Aur Teen Sautele Bhai The (1) Gulaam Moinuddin (2) Gulaam Bahauddin (3) Gulaam Kalimullah Yah Teeno Bhai Aapse Baith The Aapki Behan Bhi Aapse Baith Thee
Aapki Wiladat Ba Saaadat
Aap Aurangabad Mein Jalva Gar Hue Aapke Walid Majid Ne Aapki Wiladat Ba Saaadat Ki Khabar Apne Peer Va Murshid Hazrat Khwaja Kalimullah Shah Jahanabadi Chishti (R.A) Ko Ki Hazrat Khwaja Kalimullah Shah Jahanabadi Chishti (R.A) Bahut Khush Hue Aur Aapne Apna Malboose Khaas Aapke Vaste Bheja Aapne Aap Ka Naam Maulaana Muhammad Fakhruddin Rakha Aur Farmaya Ke Yah Mera Farzand Hain
Aapke Mutallik Pesheen Goi
Hazrat Khwaja Kalimullah Shah Jahanabadi Chishti (R.A) Ne Aapke Mutaallik Farmaya Yah Farjand Shahjahanabad Ko Apne Noore Hidayat Se Munawwar Va Roshan Karega
Laqab
Aapka Laqab Muhibun Nabi Hai Aapke Muhibun Nabi Ke Laqab Se Mumtaz Hone Ki Yah Vajah Batai Jaati Hai Ki Jab Aap Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ke Darbar Mein Ajmer Sharif Hajir Huye Us Waqt Ek Sahabe Dil Bujurg Apne Kisi Kaam Ke Vaste Darvaare Garib Nawaz Mein Hajir The Un Bujurg Ko Khwaja Garib Nawaz Ne Basharat Di Ki Unko Pahchan Lo Matlab Bar Aaree Unse Hogi Unka Naam Mohibun Nabi Hai Un Bujurg Ne Aapko Talash Kiya Aur Khidmat Mein Hajir Hokar Sara Kissa Bayan Kiya Use Roj Se Aap Mohibun Nabi Kahlane Lage Dusri Vajah Yah Batai Jaati Hai Ki Ek Martaba Urs Ke Mauke Per Hazrat Khwaja Nasiruddin Chirag Dehlavi (R.A) Ke Mazar Pur Anwar Per Hajir The Aapne Dekha Ki Hazrat Khwaja Nasiruddin Chirag Dehlavi (R.A) Ne Aapko Langar Se Kuchh Tabarruk Diya Aur Irshad farmaya Ki Tum Mohibun Nabi Ho Use Roj Se Aap Mohibun Nabi Kahlane Lage
Bachpan Ka Ek Waqia
Aapki Umra 7 Sal Ki Thi Ki Ek Roj Aap Apne Walid Majid Ke Pair Daba Rahe The Aap Per Gunudgi Tari Hui Sarvare Din Va Duniya Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Aapko Bun Ke Panch Dane Marhmat Farmaye Jab aap Hoshiyar Hue Vah Bun Ke Panch Dane Aap Apne Hath Mein Dekhe Aapke Walid Bujurgvar Bhi Jaag Gaye Aapka Hath Pakad Kar Unhone farmaya In Dono Mein Hamara Hissa Bhi Hai Aapne Aur Aapke Walid Majid Ne Vah Dane Tanaul Farmaye
Baith Va Khilafat
Aap Sugar Sinni Mein Apne Walid Majid Se Baith Hue Jab Aapki Umr Pandrah Sal Ko Hui Aapke Walid Majid Ne Aapko Khirke Khilafat Se Sarfaraz Farmaya Khirke Khilafat Ata Karne Ke Ek Sal Bad Aapke Walid Majid Ne Jaane Sheero jaane Aafree Ke Supurd Farmai Walid Bujurgvar Ke Wisaal Ke Waqt Aapki Umr Solah Sal Thee
Shaadi Aur Aulad
Aapne Aurangabad Mein Shaadi Ki Aapke Ek Ladka Hua Aapne Unka Naam Gulam Qutubuddin Rakha
Aapka Wisaal
Hazrat Fakhruddin Fakhr E Jahan Dehlvi (R.A) Ka Wisaal 27 Jumada Al Sani 1199 Hijri Ko Aapka Wisaal Hua Us Samay Aapki Umr 73 Sal Thi Aapka Mazar Sharif Delhi Mehrauli Sharif Mein Hain
Urs Mubarak
Hazrat Fakhruddin Fakhr E Jahan (R.A) Ka Urs Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Hazrat Fakhruddin Fakhr E Jahan (R.A) Ka Urs Jumada Al Sani Ke Chand Mein Manaya Jata Hain Hazrat Fakhruddin Fakhr E Jahan (R.A) Ka Urs Date 27 Jumada Al Sani
Hazrat Fakhruddin Fakhr E Jahan Dargah Address
Hazrat Maulana Fakhruddin Fakhr E Jahan Dehlvi (R.A) Ki Dargah Mehrauli Sharif Delhi India Mein Hain Hazrat Fakhruddin Fakhr E Jahan Dehlvi (R.A) Ka Mazar Sharif Hazrat Khwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kaki (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Hain Delhi Junction Railway Station Se Lagbhag 23.2 Kilometer Dur Hain Aur New Delhi Railway Station Se Lagbhag 19 Kilometer Dur Hain Hazrat Fakhruddin Fakhr E Jahan Dehlvi (R.A) Ka Mazar Sharif Humne Aapko Hazrat Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Fakhruddin Fakhr E Jahan Dehlvi (R.A) Ki Mazar Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain
Google Map Location
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake