Ziyarat

Matka Peer Dargah Hazrat Abu Bakr Tusi Qalandari hazrul remo

Matka Peer Dargah Hazrat Abu Bakr Tusi Qalandari hazrul remo

Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se  Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye
Matka Peer Dargah Hazrat Abu Bakr Tusi Haideri Qalandari (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain

Matka Peer Dargah Hazrat Abu Bakr Tusi Haideri Qalandari Dargah Sharif Delhi

History

Aapka Naam Hain Hazrat Abu Bakr Tusi Haideri Qalandari (R.A) Aap Ki Dargah Sharif Ko Jyadatar Log Matka Peer Ki Dargah Ke Naam Se Jante Hain

Aap Sultan Ghiyasuddin Balban Ke Zamaane Me Iran Se Delhi Tashreef Laaye Aap Ne Delhi Mein Yamuna Nadi Ke Kinaare Qayaam Karke Apni Khaanqaah Banaai

Ek Martaba Aap Ne Dekha Ke Ek Aadmi Yamuna Nadi Me Doobkar Khudkushi Karne Jaa Jaha Hai Aap Ne Use Rokkar Puchha To Us Ne Bataaya Ke Use Koi Laa Ilaaj Beemaari Hai Aur Jis Se Tang Aakar Wo Khudkushi Karne Jaa Raha Hai Aap Ne Use Ek Matke Me Se Paani Pilaaya Allah Ke Fazl Se Us Ki Beemaari Dheere Dheere Theek Hone Lagi Aur Wo Sehatyaab Ho Gaya

Is Waaqye Ki Shohrat Logo Me Phailne Lagi Jab Sultan Ghiyasuddin Balban Ko Pata Chala To Us Ne Aap Ka Imtihaan Lene Ke Liye Sultan Ne Tameezun Naami Ek Khubsurat Aurat Ko Aap Ke Paas Bheja Jab Wo Aurat Aap Ki Baargaah Me Aai Tab Jaise Hi Hazrat Ki Nazren Tawajjoh Padi To Foran Us Ke Dil Ka Aalam Badal Gaya Aur Woh Hazrat Ki Mureed Ban Gai Aur Aap Ki Khidmat Me Hi Reh Gai
Is Ke Baad Sultaan Ne Ek Shakhs Ke Saath Ek Thaali Me Lohe Ki Goliya Aur Mitti Bheji Aap Ki Dua Se Wo Goliya Chane Ban Gai Aur Mitti Shakkar Ban Gai Aap Ne Apne Khaadim Ko Doodh Laane Ke Liye Farmaaya Aur Doodh Me Wo Shakkar Daalkar Us Doodh Ko Aur Chane Ko Waha Maujood Logo Ko Khaane Ke Liye Diye Aur Ek Matke Me Doodh Bharkar Sultaan Ko Bheja

Is Ke Baad Sultaan Aap Ka Mureed Ban Gaya

Aap Apne Mureedo Ko Matke Me Paani Bharkar Dete The Jis Se Un Ki Allah Ke Fazl Se Beemaari Aur Takleef Door Ho Jaati

Aap Jab Aalam Me Wajd Me Aa Jaate To Lohe Ki Salaakhon Ko Aasaani Se Modkar Use Haar Ya Chudiyo Ki Shakl Me Tabdeel Kar Dete

Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Kai Baar Aap Ki Mehfil E Sama Me Tashreef Laate The

Aap Hazrat Haidar Qalandar Al Sawai (R.A) Ke Silsile Se Ta Alluq Rakhte Hain Aur Haidari Qalandar Kehlaate Hain

Matka Peer Dargah Hazrat Shaikh Rahimuddin Iraqi (R.A) Ki Mazar Sharif

Matka Peer Dargah Hazrat Shaikh Rahimuddin Iraqi (R.A) Ki Mazar Sharif

Aap Ke Khalifa Hazrat Shaikh Rahimuddin Iraqi (R.A) Hain Aapke Khalifa Hazrat Shaikh Rahimuddin Iraqi (R.A) Ki Mazar Sharif Aapki Dargah Sharif Mein Hain

Murad Puri Hone Ke Bad Ki Rasam

Aap Hazrat Matke Shah Baba Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Aate Hain Aur Aapki Mannat Puri Hoti Hai To Aapko Ek Matka Pesh Karna Padta Hai Matke Ke Sath Char Tabruk Hote Hain Sava Kilo Gudh Sava Kilo Bhunava Chana Sava Kilo Chini Sava Kilo Dudh Aur Dono Bujurgon Ke Liye Do Chadar Allah Ne Agar Aapko Taufik Diya Hai To Aap Isse Jyada Bhi Pesh Kar Sakte Hain

Matka Peer Dargah Urs Date

Matka Peer Baba Ki Dargah Sharif Ka Urs Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Hazrat Abu Bakr Tusi Haideri Qalandari (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Rajab Ke Chand Mein Manaya Jata Hain Matka Peer Dargah Urs Date 21 Se 23 Rajab

Matka Peer Dargah Hazrat Abu Bakr Tusi Haideri Qalandari Dargah Sharif Delhi
Matka Peer Dargah Hazrat Abu Bakr Tusi Haideri Qalandari Dargah Sharif Delhi

Matka Peer Dargah Address

Matka Peer Baba Ki Dargah Sharif Delhi India Mein Hain Delhi Junction Railway Station Se Lagbhag 9.4 Kilometer Dur Hain Aur New Delhi Railway Station Se Lagbhag 5 Kilometer Dur Hain Humne Aapko Matka Peer Baba Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Matka Peer Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain

Google Map Location

Matka Peer Dargah Hazrat Abu Bakar Tusi Haideri Qalandari (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi

Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Kichocha Sharif Dargah Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Kichocha Sharif Hazrat Syedna Shah Ameer Abul Ula Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Agra hazrul remo Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ki Dargah Sharif Chandipur Malda Ajmer Sharif Urs Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Ajmer Ajmer Sharif Ki 10 Mashhur Dargah ki Ziyarat Ziyarat of 10 most famous places of Ajmer Sharif