Rahmanpur Mazar Maulana Hafizuddin Ki Dargah Bihar hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ki Dargah Rahmanpur Khanqah Takiya Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain
History
Aapka Naam Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Hai 1317 Hijri Mein Aapne Khanqah Ki Tamir Karvai Aapne Jaha Per Khanqah Banvai Use Gaon Ka Naam Rahmanpur Hai Aur Aapki Khanqah Ko Log Rahmanpur Khanqah Takiya Sharif Ke Naam Se Jante Hain Aap Ki Khanqah Main Aaj Bhi Bacche Talim Hasil Karte Hain Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ne Apni Khanqah Mein Ek Se Badhkar Ek Alim Fazil Taiyar Kiya
Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ke Teen Sahabzade Hain Aapke Pahle Sahabzade Sahab Ka Naam Hai Hazrat Maulana Shah Imam Muzaffar Kesar (R.A) Aapke Pahle Sahabzade Sahab Ka Mazar Sharif Aapke Mazar Sharif Ke Kareeb Mein Hi Hai Hazrat Maulana Shah Imam Muzaffar Kesar (R.A) Ne Takriban Teen Mahine Sajjadgi Sambhali Aur Teen Mahine Ke Bad Aapka Is Duniya Se Vishal Ho Gaya Aap Is Duniya Se Parda Ho Gaye
Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ke Dusre Sahabzade Sahab Ka Naam Hai Hazrat Maulana Makhdoom Shah Sarful Ola (R.A) Aapke Dusre Sahabzade Sahab Ka Mazar Sharif Bhi Aapke Mazar Sharif Ke Kareeb Mein Hi Hai Hazrat Maulana Shah Imam Muzaffar Kesar (R.A) Ke Bad Sajjadgi Hazrat Maulana Makhdoom Shah Sarful Ola (R.A) Ne Sambhali Aapne Sajjadgi Ko Takriban 51 Sal Raunak Baksha Fir Aapka Vishal Ho Gaya
Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ke Teesre Aur Sabse Chhote Sahabzade Sahab Ka Naam Hai Hazrat Maulana Shah Khwaja Wahed Asgar (R.A) Aapke Sabse Chhote Sahabzade Hazrat Maulana Shah Khwaja Wahed Asgar (R.A) Ka Mazar E Mubarak Aap Ki Khanqah Main Hi Hai Hazrat Maulana Makhdoom Shah Sarful Ola (R.A) Ke Bad Aap Hi Ne Sajjadgi Ko Raunak Bakshi Aapne 1971 Se Lekar 1986 Tak Sajjadgi Ko Raunak Baksha
Peer
Aapke Piro Murshid Ka Naam Hazrat Syed Shah Khwaja Latif Ali (R.A) Hai Aur Hazrat Syed Shah Khwaja Latif Ali (R.A)Hazrat Ruknuddin ishq Pak Ke Nawase Ke Beta Hai
Aapke Mashhur khulfa
Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Hazrat Maulana Muhammad Mohiuddin Coach Ghadi (R.A) Hazrat Maulana Sarfuddin Gangi (R.A) Hazrat Maulana Muzaffar Imam (R.A)
Aapke Sahabzade
Hazrat Maulana Shah Imam Muzaffar Kesar (R.A)
Hazrat Maulana Makhdoom Shah Sarful Ola (R.A)
Hazrat Maulana Shah Khwaja Wahed Asgar (R.A)
Urs Mubarak
Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Mubarak Jamadi Ul Awwal Ki Aakhiri Tarikh Se Jamadi Us Sani Ki Pehli Tarikh Tak Manaya Jata Hai Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Rahmanpur Khanqah Takiya Sharif Urs Date 01 Jamadi Us Sani
Address
Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Rahmanpur Barsoi Bihar Mein Hai Katihar Aur Kishanganj Ke Bich Ek Railway Station Hai Jiska Naam Barsoi Hai Barsoi Railway Station Se Lagbhag 8.6 Kilometer Dur Ek Gaon Hai Jiska Naam Rahmanpur Hai Aur Rahmanpur Mein Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ki Khanqah Aur Mazar Sharif Hai Katihar Railway Station Se Aapko Direct Barsoi Railway Station Ke Liye Train Mil Jayegi Aur Kishanganj Railway Station Se Bhi Aapko Direct Train Barsoi Ke Liye Mil Jayegi
Aap Chahe To Katihar Se Bye Road Bhi A Sakte Hain Katihar Se Rahmanpur Khanqah Takiya Sharif Ki Duri Lagbhag 54 Kilometer Hai Aur Aap Chahe To Kishanganj Se Bhi Bye Road A Sakte Hain Kishanganj Se Lagbhag 72 Kilometer Ki Duri Per Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Rahmanpur Khanqah Takiya Sharif Hain Aur Agar Aap West Bangal Se Ana Chahte Hain To Aap West Bangal Se Bhi Bye Road A Sakte Hain West Bangal Malda Town Railway Station Se Lagbhag 153 Kilometer Ki Duri Per Hazrat Maulana hafizuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Rahmanpur Takiya Sharif Hain
Humne Aapko Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Rahmanpur Khanqah Takiya Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hain Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain
Google Map Location
FAQ
Katihar Aur Kishanganj Ke Bich Ek Railway Station Hai Jiska Naam Barsoi Hai Barsoi Railway Station Se Lagbhag 8.6 Kilometer Dur Ek Gaon Hai Jiska Naam Rahmanpur Hai Katihar Se Rahmanpur Ki Duri Lagbhag 54 Kilometer Hai
Last
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake