Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi (R.A) Ki Dargah Delhi hazrul remo
Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi (R.A) Ki Dargah Delhi hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye
Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain
History
Aapka Naam Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi (R.A) Hain Aap Ki Wiladat 958 Hijri Me Delhi Me Hui Aap Ke Walid Ka Naam Hazrat Shaikh Saifuddin Turk Bukhari (R.A) Bin Shaikh Saadullah (R.A) Hai Aap Ke Par Dada Agha Muhammad Turk Bukhara Se Delhi Aaye The
Bachpan Se Hi Aap Ko Ilm E Din Sikhne Ka Bada Shauq Tha Aap Ko Khel Kood Ya Sair Tafreeh Me Waqt Zaya Karna Pasand Nahi Tha Aap Ne Apne Walid Se Quran Majid Ki Taleem 3 Mahine Me Mukammal Ki Aur Is Ke Bad Haafize Quran Hue Aap Din Aur Raat Me Zyada Waqt Padhne Aur Likhne Me Guzaarte
988 Hijri Me Mughal Badshaah Akbar Ne Sab Mazhab Ko Milaakar Din E Ilahi Banaaya To Aap Ne Use Manne Se Inkar Kiya Aur Farmaya Ke Sirf Dine Islam Hi Sahi Hai
995 Hijri Me Aap Ahmedabad Tashreef Le Gaye To Syed Shaah Wajihuddin Alwi Gujarati (R.A) Ki Khidmat Me Rehkar Faiz Hasil Kiya Aur Azkaar o Ashgaal Ki Taleem Haasil Ki
996 Hijri Me Aap Hajj Ke Liye Gaye Aur Phir Aap Ne 3 Sal Se Zyada Majid Taleem Ke Liye Makka Aur Madina Sharif Qayam Kiya Is Dauran Aap 4 Martaba khwaab Me Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki Ziyarat Se Musharraf Hue Makka Mukarrama Me Aap Hazrat Shaikh Abdul Wahab Muttaqi (R.A) Ke Sath Hazrat Shaikh Ali Muttaqi (R.A) Ke Mazar Par Jaya Karte The Ek Roz Aap Tanha Hazrat Shaikh Ali Muttaqi (R.A) Ke Mazar Par Gaye Aur Iltija Ki Chunanche Ek Raat Aap Ne khwaab Me Dekha Ke Hazrat Shaikh Ali Muttaqi (R.A) Masjid E Haram Me Maqam E Hanafi Me Jaha Par Hanafi Imaam namaz Padhate The Ek Takht Par Baithe Hue Hain
Aur Aap Un Ke Samne Khade Hue Hain Aap Ne Arz Kiya Ke Main Aap Ke Khalifa Hazrat Shaikh Abdul Wahab Muttaqi (R.A) Ki Sohbat Me Rehta Hu Aap Bara E Karam Un Se Shifarish Kar Dijiye Ke Wo Meri Janib Mutawwajeh Ho Aur Mujh Par Zyada Meharbani Farmaye Hazrat Ne Farmaya Mutmaeen Raho Aap Ka Matlab Pura Ho Jayega Aap Ne Hazrat Shaikh Abdul Wahab Muttaqi (R.A) Se Hadees Tasawwuf Aur Dusre Uloom Ki Talim Hasil Ki
Madina Munawwara Me Hazri Ke Liye Aap Nange Paav Tashreef Le Jate
Is Ke Bad Aap Ne Hindustan Wapas Aakar Taleem Aur Tadrees Shuru Ki Aap Ne Khanqah Aur Madrasa Wa Tameer Ki Jis Me Talba Ko Rehne Ka Intazaam Kiya
Bait O Khilafat
Aap Hazrat Syed Moosa Shaheed Multani Qadri (R.A) Ke Mureed Aur Khalifa Hain
Hazrat Shaikh Abdul Wahab Muttaqi Qadri (R.A) Ne Bhi Aap Ko Khilaafat Ata Farmai Hai
Aapke Khulfa
Aapke sahabzade Hazrat Shaikh Noor-ul Haq (R.A)
Hazrat Allama Haidar Bin Firoz Kashmiri (R.A)
Wasiyat Aur Wisaal Sharif
Aapke Wisaal Se Pehle Aapne Wasiyat Farmai Ke Meri Qabr Ke Sarhaane t
Taaq Bana Kar Us Mein Shajarah Rakh Diya Jaaye Aur Meri Qabr Par Mote Farfo Mein Wo Ibarat Likh Di Jaaye Jo Mere Waalid E Mukarram Hazrat Shaikh Saifuddin (R.A) Ke Kafan Par Llikhi Gayi The *’Allahﷻ Mera Rab Hai Huzoor Muhammadur Rasool-Allāh ﷺ Mere Nabi Hai Aur Huzoor Shaikh Syed Muhiy-ud-deen Abdul Qadir Jilani رضي الله عنه Mere Shaikh Hain
Aap Ka Wisaal 21 Rabi ul Awwal 1052 Hijri Ko Hua Hai
Urs Mubarak
Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Rabi Ul Awwal Ke Mahine Me Manaya Jata Hain Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Urs Date 21 Rabi Ul Awwal
Dargah Address
Hazrat Abdul Haq Muhaddis Dehlvi (R.A) Ki Dargah Sharif Mehrauli Delhi India Mein Hain Hazrat Khwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kaki (R.A) Ki Dargah Sharif Se Thodi Hi Dur Per Hai Aur Delhi Junction Railway Station Se Lagbhag 27.2 Kilometer Dur Hain Aur New Delhi Railway Station Se Lagbhag 17 Kilometer Dur Hain Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi (R.A) Ki Mazar Sharif Humne Aapko Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Abdul Haq Muhaddis Dehlvi (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain
Google Map Location
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake