Ziyarat

Shaikh Ruknuddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi hazrul remo

Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo

Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se  Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Khwaja Shaikh Ruknuddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain

Hazrat Khwaja Shaikh Ruknuddin Firdausi Dargah Sharif Delhi

History

Aapka Naam Hazrat Khwaja Shaikh Ruknuddin Firdausi (R.A) Hai Aapke Walid Ka Naam Hazrat Khwaja Shaikh Imaduddin Firdausi (R.A) Hai Pahle Aap Gayaspur Mein Raha Karte The Jo Jaga Abhi Nizamuddin Basti Ke Naam Se Jana Jata Hai Fir Aap Gayaspur Se Aap Yamuna Nadi Ke Kinare Mein A Gaye Aur Aapne Yaha Per Khanqah Banvae Aur Apne Family Ke Sath Mein Aap Yahi Per Rahane Lage

Jab Aap Apne Peero Murshid Ka Urs Manate The To Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Aapki Khanqah Mein Tashrif Late The Use Samay Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya Kafi Mashhur The Use Samay Kafi Log Hazrat Nizamuddin Auliya (R.A) Ki Khanqah Mein Tashrif Late The Us Chij Ko Dekhte Hue Aapki Walida Ne Apni Khahish Jahir Ki Ke Me Us Naujawan Ko Daikhna Chahti Hu Ke Vah Naujawan Kon Hai Jinki Khanka Mein Puri Delhi Ke Log Tashrif Late Hain

Aapki Walida Bahut Hi Parhezgar Thi Aur Kisi Ko Dekhne Ke Liye Kabhi Bhi Bahar Nahi Aati Thi Aur Vah Hamesha Parde Mein Hi Raha Karti Thi To Fir Hazrat Khwaja Ruknuddin Firdausi (R.A) Ne Apni Walida Se Farmaya Is Bar Urs Mein Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Tashrif Laenge To Main Aapko Hath Ke Ishare Se Dikha Dunga Ki Yah Hazrat Nizamuddin Auliya (R.A) Hai

Jab Aapke Peero Murshid Ka Urs Ka Din Kareeb Mein Aaya To Aapne Ek Parde Mein Jagah Banvae Fir Aapke Peero Murshid Ke Urs Mubarak Ke Din Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Aapki Khanqah Mein Tashrif Lae Jo Jagah Aapne Parde Mein Banvae Thi Vaha Per Aapki Walida Thi Aapne Hath Ke Ishare Se Apni Walida Se Kaha Yah Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Hai Urs Mubarak Ke Dusre Din Jab Sab Log Chale Gaye Tab Aapne Apni Walida Se Malum Kya Ki Aapka Kya Khayal Hai Use Naujawan Ke Bare Mein Fir Aapki Walida Ne Farmaya Aane Wale Waqt Mein Yah Naujawan Delhi Ka Sultan Hoga

Walid

Aapke Walid Ka Naam Hazrat Khwaja shaikh Imaduddin Firdausi (R.A) Hain Aapke Walid Ki Dargah Sharif Delhi Mein Hain Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ki Dargah Sharif Se Thodi Hi Dur Per Aapke Walid Ki Dargah Sharif Hain

Peer

Aapke Peero Murshid Ka Naam Hazrat Khwaja Badruddin Samarqandi (R.A) Hain Hazrat Khwaja Badruddin Samarqandi (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi Mein Hain

Khalifa

Aapke Murid Aur Khalifa Aapke Bhai Hai Aapke Bhai Ka Naam Hazrat Khwaja Shaikh Najibuddin Firdausi (R.A) Hai Hazrat khwaja Shaikh Najibuddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi Mehrauli Sharif Mein Hai

Urs Mubarak

Hazrat Khwaja Shaikh Ruknuddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Hazrat Khwaja Ruknuddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Mubarak Safar Ke Mahine Mein Manaya Jata Hain Shaikh Ruknuddin Firdausi (R.A) Dargah Urs Date 25 Se 26 Safar

Hazrat Khwaja Shaikh Ruknuddin Firdausi Dargah Sharif Delhi
Hazrat Khwaja Shaikh Ruknuddin Firdausi Dargah Sharif Delhi

Address

Hazrat Khwaja Shaikh Ruknuddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi Bharat Mein Hain Delhi Junction Railway Station Se Lagbhag 15.2 Kilometer Dur Hain Aur Hazrat Nizamuddin Railway Station Se Lagbhag 4.2 Kilometer Dur Hain Humne Aapko Hazrat Khwaja Shaikh Ruknuddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Ruknuddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain

Google Map Location

FAQ

Who Was The Founder Of The Firdausi Silsila

Shaikh Badruddin Samarkandi
Firdausi Silsila Suharwardi Silsile Ki Shakh Hai Is Silsile Ke Bharat Mein Pehle Sheikh Hazrat Khwaja Badruddin Samarkandi (R.A) Hai Yah Silsila Sabse Jyada Mashhur Bihar Mein Hai Yah Silsila Bihar Mein Mashhur Hazrat Makhdoom E Jahan Shaikh Sharfuddin Ahmed Yahya Maneri Firdausi (R.A) Ke Jariye Se Hua

Last

Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Kichocha Sharif Dargah Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Kichocha Sharif Hazrat Syedna Shah Ameer Abul Ula Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Agra hazrul remo Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ki Dargah Sharif Chandipur Malda Ajmer Sharif Urs Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Ajmer Ajmer Sharif Ki 10 Mashhur Dargah ki Ziyarat Ziyarat of 10 most famous places of Ajmer Sharif