Ziyarat

Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi hazrul remo

Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi hazrul remo

Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se  Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye
Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain

Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi

History

Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Apne Waqt Ki Bahut Hi Nek Muttaki Paresgaar Saleha Aabe Da Jaahe Da Aur Nihaayati Sabar Aur Shukar Karne Wali Waliya Khatoon Thi

Hazrat Baba Fariduddin Masood Ganje Shakar (R.A) Sheikh Najibuddin Mutwakkil (R.A) Aur Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Aapas Mein Munh Bole Bhai Bahan The Aur Aapas Mein Ek Dusre Ke Liye Badi Akidat Aur Ahatram Tha Hazrat Baba fariduddin Masood Ganje Shakar (R.A) Aksar Farmaya Karte The Ke Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ek Mard Hai Jinko Allah Tala Ne Ek Aurat Ki Shakal Mein Bheja Hai Yani Vah Mardane Khuda Ki Tarah Buland Himmat Aur Buland Hausale Wali Khatoon Hain

Hazrat Bibi Fatima Saan (R.A) Ki Shano Azmat Ka Andaza Isse Bhi Lagaya Ja Sakta Hai Ke Sultan Ul Mashaikh Mehboob E Ilahi Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Farmaya Karte The Ke Sher Jab Jungle Se Nikalta Hai To Koi Yah Nahin Puchta Ke Nar Hai Ya Mada Hai Theek isi Tarah Insano Mein Chahe Mard Ho Ya Aurat Agar Vah Neki Takwa Aur Paresgari Mein Shohrat Rakhta Hai To Unme Farakh Nahi Karna Chahiye

Fir Uske Bad Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ki Tarif Aur Tausif Bayan Karte Hue Majid Irshad Farmate Hain Ke Vah Nihayat Lambi Umr Wali Nek Saleha Khatoon Thi Maine Khud Unko Dekha Hai Vah Nihayat Sharif Khatoon Thi Aur Aap Majid Irshad Farmate Hain Ke Maine Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ki Jubani Khud Suna Hain Ke Vah Kaha Karti Thi Ke Jo Koi Allah Ki Raha Mein Chand Rotiya Aur Pani Ka Pyala Kisi Ko Deta Hain To Allah Tala Use Par Aisi Nematon Ki Barish Nazil Farmata Hain Jo Lakho Nafli Rojo Aur Nafli Namajo Se Bhi Nahi Mil Sakti

Hazrat Nizamuddin Auliya (R.A) Majid Irshad Farmate Hain Ke Jis Din Hazrat Sheikh Najibuddin Mutwakkil (R.A) Ke Yaha Faka Kashi Hoti To Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ko Us Faka Ki Agai Ho Jati Aur Vah Unhe Rotiya Paka Karke Bheja Karti Thi

Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Aksar Aukat Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ke Wisaal Ke Bad Unke Makbare Mein Ibadato Riyazat Mein Mashgool Rahte The Aapne Irshad farmaya Ke Ek Roj Main Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ke Mazar E Mubarak Par Gaya To Vaha Maine Ek Aise Aadmi Ko Dekha Jo Lakdiyo Ka Tokra Sar Par Liye Hoj Ke Kareeb Aaya Aur Sari Lakdiya Utaar kar Usne Hoj Ke Kinare Rakh Di Fir Bade Sali Ke Se Usne Wazu Kiya Aur Intehai Itminaano Sukun Ke Sath Usne Do Rakat Namaz Ada Ki

Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi

Mehboob E Ilahi Majid Irshad farmate Hain Ke Mujhe Uske Wazu Aur Khushu Khuzu Ke Sat Namaz Padhne Par Bada Tajub Huwa Uske Bad Usne Teen Martba Use Hoj Mein Tokra Dhoya Fir Durood E Pak Padh Padh Kar Ek Ek Lakadi Ko Dhota Gaya Uske Bad Usne Vah Dhula Hua Tokra Fir Se Vah Hoj Mein Teen Martba Duba Kar Nikala Aur Kinare Rakh Diya Ye Sara Majra Dekhne Ke Bad Main Uske Pas Gaya Aur Apne Imame Mein Se Ek Ashrafi Yani Ek Sone Ka Sikka Nikal Kar Usko Diya Lekin Us Shakhs Ne Kabool Nahi Kiya Aur Kahne Laga Ki Mujhe Majur Rakhiye

Jab Usne Vah Ashrafi Kabool Nahi Ki To Maine Usse Kaha Ke Tum Do Aane Ke Khatir Itni Taklif Aur Mehnat Kar Rahe Ho Aur Allah Tala Ne Tumhare Liye Ashrafi Bhijwai Hai To Tum Kabool Nahi Kar Rahe Ho To Use Shakhs Ne Kaha Mere Walid Bhi Yahi Kam Kiya Karte The Aur Unke Duniya Se Jane Ke Bad Meri Walida Ne Ek Batue Mein Se Kuchh Rakam Nikaali Aur Vah Rakam Mere Hawale Kar Di Aur Kaha Ke Is Rakam Se Yahi Kam Karna Aur Isi Par Gujar Basar Karna Lekin Iske Alava Kisi Dusre Tarike Se Kuchh Na Lena Fir Us Shakhs Ne Mujhe Kuchh Rupaye Nikal Kar Diye Aur Kaha Isse Meri Tajhizo Takfeen Kar Dena

Hazrat Mehboob E Ilahi (R.A) Irshad Farmate Hain Ke Us Shakhs Ki Baat Sunkar Main Samajh Gaya Ke Yah Abdal Hain Aur Abdal Kisi Se Koi Bhi Chij Bataure Nazro Niyaz Aur Tohfa Kabool Nahi Karte Hain Sirf Majduri Karke Khate Hain

Bataya Jata Hai Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ki Mazar E Mubarak Par Rojana Ek Abdal Jhadu Lagane Aate Hain Aur Aksar Bujurgon Ne Un Abdal Se Mulakate Bhi Ki Hain

Wisaal Sharif

Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ka Wisaal Delhi Mein Huwa Hain Aapki Mazar E Mubarak Delhi Mein Hain

Hazrat Bibi Fatima Saam Ki Dargah Sharif Delhi
Hazrat Bibi Fatima Saam Ki Dargah Sharif Delhi

Urs Mubarak

Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Shaban Ke Mahine Me Manaya Jata Hain Bibi Fatima Saam Urs Date 17 Se 18 Shaban

Dargah Sharif Address

Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi India Mein Hain Delhi Junction Railway Station Se Lagbhag 14.6 Kilometer Dur Hain Aur New Delhi Railway Station Se 6.4 Kilometer Dur Hain Humne Aapko Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Bibi Fatima Saam (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain

Google Map Location

Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Kichocha Sharif Dargah Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Kichocha Sharif Hazrat Syedna Shah Ameer Abul Ula Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Agra hazrul remo Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ki Dargah Sharif Chandipur Malda Ajmer Sharif Urs Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Ajmer Ajmer Sharif Ki 10 Mashhur Dargah ki Ziyarat Ziyarat of 10 most famous places of Ajmer Sharif