Sher Jung Baba Ki Dargah Hazrat Fateh Ali Shah Agra hazrul remo
Sher Jung Baba Ki Dargah Hazrat Fateh Ali Shah Agra hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Fateh Ali Shah Urf Sher Jung Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain
Sher Jung Baba Ki Dargah
Aapka Naam Hazrat Fateh Ali Shah (R.A) Hain Jyadatar Log Aapki Dargah Sharif Ko Sher Jung Baba Ki Dargah Ke Naam Se Jante Hain Hazrat Fateh Ali Shah Urf Sher Jung Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Kafi Dur Dur Se Jayerin Aate Hain Aur Hazrat Sher Jung Baba (R.A) Ke Mazar E Mubarak Mein Phool Chadar Attar Pesh karte Hain Aur Apni Man Ki Muraade Pesh Karte Hain Mannat Ke Dhage Bandhte Hain
Hazrat Fateh Ali Shah Urf Sher Jung Baba (R.A) Ka Astana E Mubarak Kafi Khubsurat Banaa Hua Hain Astana E Mubarak Ke Farsh Mein Marble Laga Hua Hain Aur Kafi Khubsurat Tarike Se Mazar Sharif Ke Charon Taraf Marble Ke Katehre Lage Hue Hain
Sher Jung Baba Ke Mazar Mubarak Ki Ziyarat Ke Liye Astana E Mubarak Mein Aane Ke Teen Gate Hain Aur Astana E Mubarak Ke Kareeb Mein Dallaan Hain Aur Wazu Khana Hain Aur Astana E Mubarak Ke Kareeb Mein Masjid Bhi Hain Hazrat Fateh Ali Shah Urf Sher Jung Baba (R.A) Ki Mazar Sharif Mein Phool Chadar Pesh Karne Ke Liye Aapko Badi Aasani Se Dargah Sharif Ke Kareeb Mein Mil Jaayega Dargah Ke Kareeb Mein Zayerino Ki Soliyat Ke Liye Kafi Logo Ne Chadar phoolo Ki Dukane Laga Ke Rakhi Hain
Urs Mubarak
Hazrat Fateh Ali Shah Urf Sher Jung Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Hazrat Fateh Ali Shah Urf Sher Jung Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Dhul Qadah Ke Mahine Me Manaya Jata Hain Sher Jung Baba Ki Dargah Ka Urs Date 22 Se 23 Dhul Qadah
Dargah Address
Hazrat Fateh Ali Shah Urf Sher Jung Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Agra Uttar Pradesh India Me Hai Agra Cantt Railway Station Se Lagbhag 18 Kilometer Dur Hain Aur Sikandra Fort Se Lagbhag 8.7 Kilometer Dur Hain Hazrat Syedna Shah Ameer Abul Ula Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Ke Kareeb Se Aapko Gadi Mil Jayegi Aur Sikandra Se Bhi Direct Gadi Mil Jayegi Sher Jung Baba Ki Dargah Sharif Ke Liye Humne Aapko Hazrat Fateh Ali Shah Urf Sher Jung Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Fateh Ali Shah Urf Sher Jung Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain
Google Map Location
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake