Shaikh Imaduddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi hazrul remo
Shaikh Imaduddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Khwaja Shaikh Imaduddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain
Khwaja Shaikh Imaduddin Firdausi
Aapka Naam Hazrat Khwaja Shaikh Imaduddin firdausi (R.A) Hain Aap Hazrat Khwaja Shaikh Ruknuddin Firdausi (R.A) Aur Hazrat Khwaja Shaikh Najibuddin Firdausi (R.A) Ke Waalid Hain Hazrat Khwaja Shaikh Imaduddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Kafi Dur Dur Se Jayerin Aate Hain Aur Hazrat Khwaja Shaikh Imaduddin firdausi (R.A) Ke Mazar E Mubarak Mein Chadar Phool Pesh Karte Hain Aur Apni Man Ki Muraade Pesh Karte Hain
Hazrat Khwaja Imaduddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Road Ke Bilkul Hi Kareeb Mein Hain Hazrat Ki Dargah Sharif Ka Gate Kafi Khubsurat Banaa Hua Hain Aur Kafi Khubsurat Tarike Se Hazrat Ki Dargah Sharif Ke Gate Mein Tiles Lagaye Gaye Hain Aur Yah Hazrat Khwaja Imaduddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Khubsurat Gate Road Se Hi Dikhta Hain
Hazrat Khwaja Shaikh Imaduddin Firdausi (R.A) Ka Astana E Mubarak Kafi Khubsurat Tarike Se Banaa Hua Hain Hazrat Ke Astana E Mubarak Ke Diwaro Per Kafi Khubsurat Tarike Se Tiles Lagaye Gaye Hain Aur Hazrat Ke Astana E Mubarak Ke Farsh Per Bhi Tiles Laga Hua Hain
Urs Mubarak
Hazrat Khwaja Shaikh Imaduddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Hazrat Khwaja Imaduddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Rabi Ul Sani Ke Mahine Mein Manaya Jata Hain Khwaja Imaduddin Firdausi Urs Date 21 Rabi Ul Sani
Dargah Address
Hazrat Khwaja Shaikh Imaduddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi Bharat Mein Hain Old Delhi Junction Railway Station Se Lagbhag 8.2 Kilometer Dur Hain Aur New Delhi Railway Station Se Lagbhag 7.3 Kilometer Dur Hain Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ki Dargah Sharif Se Lagbhag 600 Meter Dur Hain Humne Aapko Hazrat Khwaja Shaikh Imaduddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Khwaja Shaikh Imaduddin Firdausi (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain
Google Map Location
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake