Ziyarat

Hazrat Mujaddid Alf Sani Naqshbandi Sirhind Sharif hazrul remo

Hazrat Mujaddid Alf Sani Naqshbandi Sirhind Sharif hazrul remo

Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se  Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Imam E Rabbani Mujaddid E Alf E Sani Shaikh Ahmad Faruqi Sirhindi (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain

Hazrat Mujaddid Alf Sani Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sirhind Sharif Punjab

History

Aap Ki Wiladat 14 Shawwal 971 Hijri Ko Shab E Jumma Ko Sirhind Me Hui Aap Ke Waalid Ka Naam Hazrat Shaikh Abdul Ahad Bin Zain Ul Aabideen (R.A) Hai Aap Hazrate Umar Faarooq (R.A) Ki Nasl Se Hain Aap Ke Waalid Ko Khwaab Me Huzoore Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Ambiya Auliya Aur Malaika Ke Sath Aakar Khushkhabari Di Thi Aap Ki Wilaadat Ke Ek Hafta Pehle Tamaam Mazaamir (Musical Instruments) Ka Bajna Band Ho Gaya Tha

Aap Ne Apne Waalid Hazrat Shaikh Abdul Ahad (R.A) Se Ibtidaai Talim Hasil Ki Aur Hafiz E Quran Hue Phir Sialkot Jakar Hadees Fiqh Tafseer Aur Dusre Uloom Ki Talim Hasil Kiya Aap Ne Hazrat Allama Kamaluddin Aur Hazrat Shaikh Yaqub Sarfi Kashmiri Se Bhi Talim Hasil Ki 17 Baras Ki Umr Me Aapko Qadri Suhrawardi Aur Chishti Silsile Ki Ijaazat Di Gai Hazrat Syed Shaikh Sikandar Katheli (R.A) Ne Aapko Hazrat Ghaus E Azam Abdul Qadir Jilani (R.A) Ka Khirqa Mubarak Ata Kiya Tha

Piro Murshid

Aap Hazrat Khwaja Baqi Billah Naqshbandi (R.A) Ke Mureed Aur Khalifa Hain

Aapse Naqshbandi Mujaddidi Silsila Jari Hain

Wisaal Sharif

Aapka Wisaal 28 Safar 1034 Hijri Ko 63 Sal Ki Umr Me Hua Aapka Mazar Sirhind Punjab Me Hain

Hazrat Mujaddid Alf Sani Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sirhind Sharif Punjab
Hazrat Mujaddid Alf Sani Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sirhind Sharif Punjab

Sirhind Sharif Urs

Hazrat Mujaddid Alf Sani (R.A) Ki Dargah Sirhind Sharif Ka Urs Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Hazrat Imam E Rabbani Mujaddid E Alf E Sani Shaikh Ahmad Faruqi Sirhindi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Safar Ke Mahine Me Manaya Jata Hain Sirhind Sharif Urs Date 28 Safar

Mujaddid Alf Sani Dargah Address

Hazrat Mujaddid Alf Sani Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sirhind Sharif Punjab India Me Hai Sirhind Sharif Railway Station Se Lagbhag 5 Kilometer Dur Hain Aur Ludhiana Railway Station Se Lagbhag 65 Kilometer Dur Hain Hazrat Mujaddid Alf Sani Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sirhind Sharif Humne Hazrat Mujaddid Alf Sani Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Mujaddid Alf Sani Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain

Google Map Location

Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Kichocha Sharif Dargah Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Kichocha Sharif Hazrat Syedna Shah Ameer Abul Ula Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Agra hazrul remo Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ki Dargah Sharif Chandipur Malda Ajmer Sharif Urs Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Ajmer Ajmer Sharif Ki 10 Mashhur Dargah ki Ziyarat Ziyarat of 10 most famous places of Ajmer Sharif