Hazrat Nizamuddin Auliya Khanqah Chilla Mubarak hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye
Hazrat Nizamuddin Auliya (R.A) Ki Khanqah Chilla Mubarak Ki Ziyarat Karaya Hain Aur Humne Aapko Is Video Mein Kafi Sari Jankari Di Hain To Aap Video Ko Pura Jarur Dekhen
History
Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ki Dargah Sharif Ko Puri Duniya Bhar Ke Log Jante Hain Lekin Bahut Hi Kam Log Hazrat Nizamuddin Auliya (R.A) Ki Khanqah Chilla Mubarak Ke Bare Mein Jante Hain Yah Vah Khanqah Chilla Mubarak Hain Jahan Per Hazrat Nizamuddin Auliya (R.A) Ne Apni Jindagi Ke Jyada Samay isi Khanqah Chilla Mubarak Mein Bitaye Hain Yah Vah Khanqah Chilla Mubarak Hain Jahan Par Aap Allah Ki Ibadat Aur Riyazat Karte The Aur Aap Logon Ko Talim Diya Karte The Bhukho Ko Khana Khilaya Karte The Jarurat Mando Ki Jarurat Ko Pura Kiya Karte The
Yah Ek Mutbarik Mukam Hain Is Jagah Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ne Apni Hayat Ke Takriban 65 Sal Gujare Aur Yahin Par Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ka Visal Hua Hain
Hazrat Ziauddin Vakil (R.A) Ka Mazar Sharif
Hazrat Ziauddin Vakil (R.A) Hazrat khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ke Khalifa Hain Hazrat Ziauddin Vakil (R.A) Ne Hazrat Ki Khanqah Ko Banvaya Hain Jab Aapne Hazrat Nizamuddin Auliya (R.A) Se Farmaya Hazrat Aapki Yahan Ek Khanqah Honi Chahiye Fir Aapse Hazrat Ne Farmaya Jo Bhi Yahan Par Khanqah Banaega Uska Chand Dinon Mein Visal Ho Jayega Aapne Farmaya Hazrat Ek Din To Sabko Hi Jana Hai Dunya Se Aur Fir Aapne
Mehboob E Ilahi Hujur Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ki Khanqah Banvane Ka Kam Shuru Kiya Khanqah 30 Din Mein Bankar Complete Ho Gaya Jab Khanqah Bankar Taiyar Ho Gaya 30 Din Ke Bad Khanqah Mein Mehfil E Sama Hua Aur Mehfil E Sama Mein Hazrat Nizamuddin Auliya (R.A) Ke God Mein Hazrat Ziauddin Vakil (R.A) Ka Visal Ho Gaya Hazrat Ziauddin Vakil (R.A) Ki Mazar Sharif Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ki Khanqah Mein Hain
Address
Hazrat Nizamuddin Auliya (R.A) Ka Khanqah Chilla Mubarak Delhi India Mein Hain Agar Aap Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ke Khanqah Chilla Mubarak Ki Ziyarat Ke Liye Aana Chahte Hain To Aap Hazrat Nizamuddin Auliya (R.A) Ki Dargah Sharif Se Badi Aasani Se A Sakte Hain Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ki Dargah Sharif Se Khanqah Chilla Mubarak Ki Duri Lagbhag 1.7 kilometer Ki Hain
Agar Aap Delhi Junction Railway Station Se Aana Chahte Hain Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ke Khanqah Chilla Mubarak Ki Ziyarat Ke Liye To Delhi Junction Railway Station Se Khanqah Ki Duri Lagbhag 12.7 Kilometer Ki Hain Humne Aapko Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ke Khanqah Chilla Mubarak Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ki Khanqah Chilla Mubarak Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain
Google Map Location
FAQ
Yah Chilla Mubarak Khanqah Hazrat khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ka Hai Jis Jagah Per Koi Bujurg Allah Ki Ibadat karte Hain Use Jagah Ko Chilla Kaha Jata Hai Hazrat khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ne Apni Hayat Ke Takriban 65 Sal Yaha Per Gujare Hain Aur Aapka Visal Bhi Isi Jagah Per Hua Hai
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake