Dargah Patte Wali Hazrat Shamsuddin Auta (R.A) Delhi hazrul remo
Dargah Patte Wali Hazrat Shamsuddin Auta (R.A) Delhi hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye
Dargah Patte Wali Hazrat Shamsuddin Auttadullah (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain
History
Hazrat Syed Shamsuddin Auttadullah (R.A) Ki Dargah Sharif Ko Jyadatar Log Dargah Patte Wali Aur Patte Shah Baba Ki Dargah Ke Naam Se Jante Hain Aap Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Se Takriban 30 Sal Bade Hain Hazrat Syed Shamsuddin Auttadullah (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Ek Ped Hai Laga hua Jo 750 Sal Purana Hain
Jayerin Dargah Patte Wali Hazrat Syed Shamsuddin Auttadullah (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Aate Hain Aur Is Ped Ke Patte Ko Kha Karke Jaate Hain Jo Bhi Jayerin Hazrat Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Aate Hain Unki Murad Bahut Hi Jaldi Puri Hoti Hain
Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Logon Se Farmate The Agar Tumhen Apni Jayaj Tamannaye Murade Jaldi Puri Karni Hain To Hazrat Shamsuddin Auttadullah (R.A) Ke Pas Jao Hazrat Khwaja Shamsuddin Auttadullah (R.A) Ki Kafan Dafan Aur janaje Ki Namaj Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ne Padhaayaa Hain
Urs Mubarak
Hazrat Syed Shamsuddin Auttadullah (R.A) Ke Dargah Sharif Ke Urs Mubarak Mein Mazar Sharif Ko Gusul Diya Jata Hai Aur Niyaz Fatiya Langar Hota Hain Aur Qawwali Bhi Hoti Hain Dargah Patte Wali Hazrat Syed Shamsuddin Auttadullah (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Islamic Chand Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Hazrat Shamsuddin Auttadullah (R.A) Dargah Patte Wali Urs Date 6 Rajab
Address
Dargah Patte Wali Hazrat Syed Shamsuddin Auttadullah (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi India Mein Hain Dargah Patte Wali Delhi Junction Railway Station Se Lagbhag 12.3 Kilometer Dur Hain Aur New Delhi Railway Station Se Lagbhag 7.6 Kilometer Dur Hain
Humne Aapko Dargah Patte Wali Syed Shamsuddin Auttadullah (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Syed Shamsuddin Auttadullah (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain
Google Map Location
Dargah Patte Wali Hazrat Syed Shamsuddin Auttadullah (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake