Urs Mubarak

Sarwar Sharif Dargah History Khwaja Fakhruddin Chishti hazrul remo

Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain

Sarwar Sharif Dargah History Khwaja Fakhruddin Chishti Sarwar Sharif

History

Aapka Naam Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti Abul Khair Hai Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti Abul Khair Ki Dargah Sharif Sarwar Sharif Rajasthan Mein Hai Aap Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Duniya Bhar Se Zayerin Aate Hain Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti Sarwari (R.A) Chishtiya Silsila Ke Chashm Vah Chirag Hain Aapke Walid Majid Chishtiya Silsila Ke Buland Paya Aur Khuda Rashida Bujurg Hain

Khandani Halat

Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti Abul Khair Ganje Na Iran Hai Kiswar Ishq Ke Sultan Hai Insan Dosti Ki Kitab Ka Unwan Hai Taskim Kalab Baru Ka Saman Hai Bekash Ka Nigehban Hai Har Dardnam Ka Darman Hai Ek Khuda Rashida Inshan Hai Aapki Vah Shan Hai Jaha Har Shan Kurban Hai Aapki Dargah Sharif Ka Ziyarat Ka Har Ek Ko Arman Hai

NaamHazrat Khwaja Fakhruddin Chishti
FatherKhwaja Moinuddin Hasan Chishti
GrandfatherKhwaja Gayasuddin Hassan
BrotherKhwaja Hussamuddin Abu Swaleh Chishti
Khwaja Ziauddin Abu Sayeed Chishti
SisterBibi Hafiza Jamal
SonKhwaja Husamuddin Chishti Jigar Sokhta
Resting placeSarwar Sharif Dargah
MurshidKhwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kaki
ReligionIslam
TariqaChishtiya

Hazrat Ke Khandan Ko Ek Numaya Haisiyat Hasil Thi Ye Khandan Ilm Dost Khandan Tha Is Khandan Mein Ilm Vah Irfan Ki Shami Roshan Rahti Thi Aapka Khandan Dindari Aur Parhez Gari Ke Liye Mashhur Tha Zoho Do Tako Mein Is Khandan Ki Shiyar The Hak Shanashi Is Khandan Ka Tara Imtiaz Tha Jab Log Mushibat Mein Hote To Is Khandan Ki Taraf Unki Nigah Be Intiya Utti Thi

Khwaja Gayasuddin Hassan

Aapke Dada Ka Naam Hazrat Khwaja Gayasuddin Hassan (R.A) Tha Hazrat Ke Dada Hussaini Syed The Khwaja Gayasuddin Hassan Hazrat Ali Karam Allahu Wajhah Al Karim Ki Aulaad Se The Hazrat Ki Dadi Ka Naam Hazrat Syeda Ummul Wara (R.A) Tha Hazrat Ki Dadi Bibi Ummul Wara (R.A) Ek Pak Tinat Aur Ek Pak Batin Khatoon Thi Hazrat Syeda Ummul Wara (R.A) Hazrat Syedna Dawood (R.A) Ki Sahabzadi Thi

Waalid Majid

Khwaja Fakhruddin Chishti Mazar Sarwar Sharif Dargah

Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti (R.A) Ke Waalid Vo Shora Afakh Bujurg Hai Jo Barsagir Bharat Mein Chishtiya Silsila Ka Nadir Tofa Lekar Ronak Afroz Hui Aur Jinone Barsagir Mein Islami Tasawwuf Ki Roshni Failai Kaun Hai Jo Unke Naam Nami Isme Grami Se Wakif Nahi Har Musibat Ke Waqt Jab Koi Shakhs Apne Ko Besahara Majbur Aur Lachar Pata Hai To Uski Juban Par Be Sakta Ahijata Hai Madad Kun Ya Moinuddin Chishti

Khwaja E Khwajgan Hazrat Moinuddin Hasan Chishti (R.A) Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishty Abul Khair Sarwari (R.A) Ke Waalid Majid Hain Aap Ke Waalid Majid Hazrat Khwaja Garib Nawaz Ko Barsagir Mein Aisi Maqbooliyat Aur Azmat Hasil Hui Ke Avam Vah Khavas Dur Daraj Se Unki Dargah Sharif Mein Hazir Hona Apne Liye Baeshahadat Samajhte Hain

Walida

Aapki Walida Ka Mazar Sharif Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Hai Aapke Walid Hazrat Khwaja Moinuddin Chishty (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Hazrat Baba Farid Ganj Shakar (R.A) Ka Chilla Mubarak Hai Hazrat Baba Farid Ganj Shakar (R.A) Ke Chilla Mubarak Ke Kareeb Mein Aapki Walida Ka Mazar E Mubarak Hai

Bhai

Aapke Do Bhai The Hazrat Khwaja Hussamuddin Abu Swaleh Chishti (R.A) Aur Hazrat Khwaja Ziauddin Abu Sayeed Chishti (R.A) Hazrat Khwaja Hussamuddin Abu Swaleh Chishti (R.A) Abdalo Ki Saubat Mein Dakhil Ho Gaye Aur Hazrat Khwaja Ziauddin Abu Sayeed Chishti (R.A) Ka Mazar E Mubarak Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Hain

Bahan

Aapki Bahan Ka Naam Hazrat Bibi Hafiza Jamal (R.A) Hain Aapki Bahan Ka Mazar E Mubarak Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ke Dargah Sharif Mein Hain Hazrat Bibi Hafiza Jamal Apne Walid Ki Ek Loti Sahibzadi Thi

Sahabzade

Aapke Sahabzade Sahab Ka Naam Hazrat Khwaja Husamuddin Chishti Jigar Sokhta (R.A) Hai Aur Hazrat Khwaja Husamuddin Chishti Jigar Sokhta (R.A) Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti (R.A) Ke Ladle Pote Sahab Hain Aur Hazrat Khwaja Husamuddin Chishti Jigar Sokhta (R.A) Ki Dargah Sambhar Sharif Mein Hai

Peero Murshid

Sarwar Sharif Dargah Khwaja Fakhruddin Chishti Sarwar Sharif Ajmer

Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti Abul Khair Ke Peero Murshid Ka Naam Hazrat Khwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kaki (R.A) Hain Aur Hazrat Qutbuddin Bakhtiyar Kaki (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi Mehrauli Sharif Mein Hain Hazrat Khwaja Qutubuddin Bakhtiyar Kaki (R.A) Hazrat Khwaja Moinuddin Hasan Chishti (R.A) Ke Sabse Pahle Khalifa Aur Janashin Hain Bahut Se Aashiq E Khwaja Mastan Malang Hazrat Khwaja qutubuddin bakhtiyar Kaki (R.A) Ki Dargah Sharif Delhi Se Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Ajmer Sharif Mein Paidal Aate Hain

Aur Yah Ashiq E Khwaja Mastan Malang Delhi Se Hi Nahi Balke Pure Hindustan Ke Kone Kone Se Aate Hain Koi Delhi Se Aate Hain Koi Mumbai Se Aate Hain Koi Pune Se Aate Hain Koi Kolkata Se Aate Hai To Koi Kaliyar Sharif Se Aate Hain Hindustan Ke Jagah Jagah Se Is Paidal Safar Mein Mastan Malang Aate Hain Aur Yah Tamam Mastan Malan Aashiq E Khwaja Hazrat Khwaja Qutubuddin Bakhtiyar Kaki (R.A) Ki Dargah Delhi Mehrauli Sharif Mein Aakar Ke Jama Hote Hain Aur Fir Hazrat Khwaja Qutubuddin Bakhtiyar Kaki (R.A) Ki Dargah Sharif Se Yah Tamam Mastan Malang Aashiq E Khwaja Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Taraf Ravana Hote Hain

Aur Yah Tamam Log Chand Ki 29 Tarikh Ko Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ke Chilla Mubarak Mein Pahunchte Hain Aur Chilla Mubarak Se Yah Tamam Log Ek Julus Ki Shakal Mein Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Pahunchte Hain Aur Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Ke Men Gate Mein Parcham Pesh Karte Hain Aur Fir Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ke Urs Ka Aagaaj Hota Hain Is Paidal Safar Ki Shuruat Hazrat Khwaja Qutubuddin Bakhtiyar Kaki (R.A) Ne Kari Thi Hazrat Khwaja Qutubuddin Bakhtiyar Kaki (R.A) Apne Peero Murshid Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Delhi Se Paidal Aate The

Sarwar Sharif Dargah History Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti Sarwar Sharif Ajmer

Yah Tamam Aashiq E Khwaja Mastan Malang Hazrat Khwaja Garib Nawaz Ke Urs Mubarak Mein Ajmer Sharif Mein Rukte Hain Aur Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ka Urs Mubarak Manate Hain Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Chatti Mubarak Ke Bad Bada Kul Sharif Hota Hain Bade Kul Sharif Ki Rasam Ke Bad Bahut Se Aashiq E Khwaja Mastan Malang Apne Ghar Chale Jaate Hain Aur Bahut Se Mastan Malang Ajmer Sharif Mein Hi Rahte Hain

Fir Jab Shaban Ka Chand Najar Aata Hai To Yah Log Ajmer Sharif Chale Aate Hain Aur Teen Shaban Ke Din Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Se Yah Ashiq E Khwaja Mastan Malang Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Paidal Jaate Hain Aur Sirf Mastan Malang Hi Nahi Balke Bahut Se Zayerin Teen Shaban Ke Din Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Se Sarwar Sharif Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti Abul Khair Ki Dargah Sharif Mein Paidal Jaate Hain Aur Fir Yah Mastan Malang Hazrat Khwaja Fakhruddin Abul Khair Ki Dargah Sharif Ka Urs Manate Hain Aur Bade Kul Ki Rasam Ke Bad Yah Tamam Mastan Malang Aashiq E Khwaja Apne Apne Ghar Chale Jaate Hain

Urs Mubarak

Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti Abul Khair Ki Dargah Sharif Ka Urs Mubarak Har Sal Shaban Ke Mahine Mein Manaya Jata Hain Teen Shaban Ke Din Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti (R.A) Ki Dargah Sharif Se Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti (R.A) Ki Dargah Sarwar Sharif Mein Chadar Sharif Aati Hai

Aur Yah Chadar Sharif Panch Shaban Ke Din Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti (R.A) Ke Mazar E Mubarak Per Pesh Hoti Hain Aur Fir 6 Shaban Ke Din Chatti Sharif Manaya Jata Hai Aur 9 Shaban Ke Din Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Bade Kul Sharif Ki Rasam Ada Ki Jati Hain

Shajra Sharif

Shajra E Nasab

Huzur Muhommad RasoolulAllah (SAW)
Aapki Sahebzadi
Khatun E Jannat Hazrat Sayyeda Fatima Zahra (A.S)
Jozaye Hazrat Syedna Ali Murtuza (A.S)
Aapke Sahebzade
Hazrat Syedna Imam Hussain (A.S)
Apke Sahebzade
Hazrat Syedna Imam Zainul Abedin (A.S)
Aapke Sahebzade
Hazrat Syedna Imam Muhommad Baqir (A.S)
Aapke Sahebzade
Hazrat Syedna Imam Jafar Sadiq (A.S)
Aapke Sahebzade
Hazrat Syadna Imam Mussa (A.S)
Aapke Sahebzade
Hazrat Syedna Idrees (R.A)
Aapke Sahebzade
Hazrat Syedna Ibhrahim (R.A)
Aapke Sahebzade
Hazrat Syedna Abdul Aziz (R.A)
Aapke Sahebzade
Hazrat Syedna Najmuddin Tahir (R.A)
Aapke Sahebzade
Hazrat Syedna Ahmad Hussain (R.A)
Aapke Sahebzade
Hazrat Syedna Khwaja Kamaluddin (R.A)
Aapke Sahebzade
Hazrat Syedna Khwaja Gayasuddin Hassan (R.A)
Aapke Sahebzade
Hazrat Syedna Khwaja Moinuddin Hassan Chishti (R.A)
Aapke Sahabzade
Hazrat Syedna Khwaja Fakhruddin Chishti Sarwari (R.A)

Shajra E Tariqat

Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti Abul Khair
Khalifa of
Hazrat Khwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kaki (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Moinuddin Hasan Chishti (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Usman Harooni (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Haji Sharif Zandani (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Qutbuddin Maudood Chishti (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Nasiruddin Chishti (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Abu Mohammed Abdal Chishti (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Abu Ahmad Chishti (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Abu Ishaq Shami Chishti (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Mumshad Dinawari (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Habira Basri (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Hazifa Marashi (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Ibrahim Bin Adham Balkhi (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Fozail Ibn Ayaz (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Abdul Wahid Bin Zaid (R.A)
Khalifa of
Hazrat Khwaja Hasan Basri (R.A)
Khalifa of
Hazrat Syedna Ali Ibn Abi Talib (R.A)
Khalifa of
Hazrat Syedna Muhammad Ibn Abdillah (SAW)

Sarwar Sharif Dargah History Khwaja Fakhruddin Chishti
Sarwar Sharif Dargah Khwaja Fakhruddin Chishti Sarwar Sharif

Address

Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti Abul Khair Ki Dargah Sarwar Sharif Mein Hai Aur Sarwar Sharif Rajasthan Mein Hai Sarwar Sharif Ajmer Se Lagbhag 63.2 Kilometer Dur Hain Aur Nasirabad Se Lagbhag 41 Kilometer Dur Hain Aapko Sarwar Sharif Dargah Ke Liye Badi Aasani Se Ajmer Sharif Se Gadi Mil Jayegi Humne Aapko Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti Abul Khair Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Sarwar Sharif Hazrat Khwaja Fakhruddin Chishti Abul Khair Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain

Google Map Location

Last

Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button

Ads Blocker Detected

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these Adblock Extensions or Software