Urs Mubarak

Sufi Shah Mohammed Ibrahim Chishti Ajmer Sharif hazrul remo

Sufi Shah Mohammed Ibrahim Chishti Ajmer Sharif hazrul remo

Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Ham Aapko Hamari Videos Ke Jarie Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Ham Aapko Hamari Videos Ke Jarie Se  Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Hamne Aapko Is Video Ke Jarie Hazrat Sufi Shah Mohammed Ibrahim Chishti (R.A) Ki Dargah Ajmer Sharif Ki Ziyarat Karaya Hai Doston Aap Video Ko Pura Jarur Dekhen Hamne Video Mein Kafi Sari Jankari Di Hai

Sufi Shah Mohammed Ibrahim Chishti Dargah Ajmer Sharif

Sufi Shah Mohammed Ibrahim Chishti History

Hazrat Sufi Shah Mohammad Ibrahim Chishti (R.A) Aapke Walid Ka Naam Hazrat Shah Ghulam Muhammad Sufi Chishti (R.A) Hai Aur Aap Hazrat Shah Ghulam Muhammad Sufi Chishti (R.A) Ke Bade Sahabzade Hai Aur Aap Ibrahim Pattan Ke Rahane Wale Hain Aap Aur Aapke Walid Hazrat Khwaja Habib Ali Shah Chishti (R.A) Se Murid Hai Aapke Walid Hazrat Khwaja Habib Ali Shah Chishti (R.A) Ke Hukum Se Aapko Africa Le Gaye Aur Aap Africa Mein Jakar Ke Din E Islam Ki Tablic Farmai Aur Africa Mein Aapke Kafi Chahane Wale Bane Aapse Kafi Log Murid Hue Aur Fir Aapne 12 Masajidon Ko Kayam Kiya Aur Chishtiya Silsila Ko Vahan Aage Tak Failaya Jab Aapke Walid Parda Farma Gaye To Aap Vahan Ki Gaddi Par Kafi Salon Tak Gaddi Nashin Rahe Aap Hujur Khwaja Garib Nawaz (R.A) Se Badi Mohabbat Karte The Aur Aap Hujur Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Aap Africa Se Pani Ke Jahaj Se Kai Bar Africa Se Aap Ajmer Sharif Aaye Aur Ajmer Sharif Se Africa Gaye Aur Fir Aapne Apna Aakhiri Safar khatm Kiya 1952 Mein Ajmer Sharif Mein Aakar Ke Aur 11 Mai San 1955 Mein Aapne Ajmer Sharif Mein Parda farmaya Aur Aapki Dargah Sharif Ajmer Sharif Mein Hain Aur Aapke Piro Murshid Hazrat Khwaja Habib Ali Shah Chishti (R.A) Ki Dargah Sharif Hyderabad India Mein Hai

Urs Mubarak

Hazrat Sufi Shah Mohammad Chishti Ibrahim (R.A) Ki Dargah Sharif Ke Urs Mubarak Mein Mazar Sharif Ko Gusul Diya Jata Hai Aur Niyaz fatiya Langar Hota Hai Aur Qawwali Bhi Hoti Hai Hazrat Sufi Shah Mohammad Ibrahim Chishti (R.A) Ki Dargah Sharif ka Urs Islamic Calendar Chand Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hai Hazrat Sufi Shah Mohammad Ibrahim Chishti (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Date Hai 17 Se 18 Ramadan

Sufi Shah Mohammed Ibrahim Chishti Dargah Address

Hazrat Sufi Shah Mohammed Ibrahim Chishti (R.A) Ki Dargah Ajmer Sharif Rajasthan India Mein Hai Hazrat Sufi Shah Mohammed Chishti Ibrahim (R.A) Ki Dargah Sharif Ajmer Railway Station Se Lagbhag 1.1 Kilometer Ki Duri Par Hai Aur Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti (R.A) Ki Dargah Sharif Se Lagbhag 500 Meter Ki Duri Par Hai Jis Raste Se Jayerin Paidal Taragarh Fort Jaate Hain Usi Raste Par Aapki Dargah Sharif Hai Hujur Sheikh Abdul Qadir Jilani (R.A) Ka Chilla Mubarak Se Pahle Aapki Dargah Sharif Aati Hai Hamne Aapko Hujur Sheikh Abdul Qadir Jilani (R.A) Ka Chilla Mubarak Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Google Map Ke Jarie Badi Aasani Se Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain

Google Map Location

Sufi Shah Mohammed Ibrahim Chishti Dargah Ajmer Sharif
Sufi Shah Mohammed Ibrahim Chishti Dargah Ajmer Sharif

Hazrat Sufi Shah Mohammed Ibrahim Chishti (R.A) Ki Dargah Ajmer Sharif

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Kichocha Sharif Dargah Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Kichocha Sharif Hazrat Syedna Shah Ameer Abul Ula Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Agra hazrul remo Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ki Dargah Sharif Chandipur Malda Ajmer Sharif Urs Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Ajmer Ajmer Sharif Ki 10 Mashhur Dargah ki Ziyarat Ziyarat of 10 most famous places of Ajmer Sharif