Bihar Sharif Urs Makhdoom E Jahan Shaikh Sharfuddin Ahmad Yahya Maneri Firdausi Bihar Sharif Dargah hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Makhdoom E Jahan Shaikh Sharfuddin Ahmad Yahya Maneri Firdausi Rahmatullah Alaih Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hai
History
Deen ki tableegh ke liye Maner Sharif mein aane wale sabse pehle darvesh Hazrat Arif Momin Yamani Alaihirrahma hain Aap tajir the aur kapde bechne ki garaz se yahan aaye the lekin jab aapne yahan ke logo ki gumrahi ko dekha toh deen ki tableegh shuru ki. Har taraf yahan shirk hi shirk ho raha tha jise dekhkar Sheikh Arif Yamani Alaihirrahma ne yahan tableegh karne ki thaani aur apna mission shuru kiya
lekin kuch hi dino baad jab logo ka aapse raabta badhta gaya toh yeh aag ki tarah sab taraf phailne lagi Usi kadi mein yeh khabar raja ke darbaar tak pahunchi toh raja ne apne khadimo ko bhejkar aapse kehlwaya ki suno tajir aaj se tum azan nahi doge. Aapne kaha theek hai lekin aapne chori chhipe namaz padhna jaari rakha
Log aapke paas aate hi rehte the jise dekhkar raja ne aapko sheher se bahar chale jaane ki baat kahi. Aapne raja ki baat maante hue Maner se Madina Munawwara ki taraf chal pade Aap ki aamad Madina Munawwara mein hui Sunahri jaaliyon ke paas baithkar aap rone lage aur rote rote arz ki Huzoor wahan kisi doosre ko bhejiye un logo ne hume nikaal diya hai
khandaan
Udhar Arif Yamani Alaihirrahma ro ro kar Pyaare Aaqa ki bargah mein arz kar rahe the Idhar Baitul Muqaddas ke paas Hashmi Quraishi faqeer Allama Makhdoom Taj Alaihirrahma ko neend mein Sayyadul Ambiya ka khwab aaya aur unhein Maner Sharif Bihar jaane ki ijazat mili Lekin woh Maner Sharif ke baare mein nahi jaante the
Lihaza unhone bhi Madina ki taraf hijrat kar di Jaise hi aap Madina Munawwara pahunche toh Arif Momin Yamani ne aakar aapka isteqbal kiya aur kaha Hazrat chalein mein aapko Maner Sharif Bihar tak le chalunga Aapne kaha Aapko bagair bataye kaise pata chala Toh Arif Yamani Alaihirrahma farmane lage ki Kal mujhe khwab mein aapka chehra dikhaya gaya tha isiliye maine Aapko dekhte hi pehchaan liya Aap ilm Quran Hadees Fiqh ke zabardast aalim the
Maner Sharif
Uske baad aap Hind ke liye rawana hue Madina se aapke saath sirf 25 log chale the lekin raaste mein aate aate 300 logo ki bheed saath ho gayi Jab aap aur aapke chahne wale Patna pahunche to raja ko senapati ne bataya ki Maharaj kuch log sena ke saath aaye hain wo aapse jung ki niyat rakhte hain Yeh sunkar raja ne kaha un par hamla kar do Jiske baad raja ke sipahiyon ne un nihatthon ko maarna shuru kar diya
jismein Kafi log shaheed hue jinki Mazare aaj bhi Patna mein hai Uske baad aapne apni difaa mein talwar uthai aur jung hui jismein raja maara gaya Jab raja maara gaya to wahan ki hukoomat Faqeer Allama Taj Hashmi Alaihirrahma ke paas aa gayi Unhi ko wahan ka Sultan banaya gaya Faqeer ne kaha Suno logo daro na Hamare paas aao hamara Deen samjho Agar tumhein pasand aaye to qabool karna
Hamare rajya mein zabardasti mazhab nahi badalwaya jayega Uske baad aapke adl insaaf husn E akhlaq se mutasir hokar logon ne Islam qabool kiya Aapke saath aapke bete Sheikh Yahya Maneri Alaihirrahma aur unki biwi bhi aayi thi jinse aapko 4 shehzade aur ek 1 shehzadi hai Unmein se hi Makhdoom E Jahan Hazrat Sheikh Sarfuddin Ahmad bin Yahya Maneri Rahmatullah Alaih hain
Janam
Aapki wiladat 29 Shaban 661 Hijri Aur Angrezi calendar ke mutabiq 7 July 1263 Isvi ko Bihar ki rajdhani Patna ke kareeb Maner mein hui Aapke walid ka naam Hazrat Makhdoom Yahya Maneri Alaihirrahma tha aur aapka pura naam Syedna Sheikh Sharfuddin Ahmed bin Yahya Maneri aur laqab Makhdoom E Jahan wa Makhdoom E Bihar hai
walid ki taraf Se aap Hashmi Saadat Aur walida Ki Taraf se aap Hussaini Saadat hain Yaani Dono Taraf se aapka gharana Sayyadul Ambiya ka gharana hai Walid ki taraf se aapka shajra E nasab Hazrat Zubair ibn Abdul Muttalib Quraishi Hashmi se milta hai aur maa ki taraf se Hazrat Syedna Imam Jafar Sadiq Radiallahu Ta’ala Anhu se milta hai
Bachpan aur Taleem
Aapne bachpan hi mein adab tehzeeb aur tasawwuf ki taraf qadam badha diye the Aap Sufiya aur Ulema ki bahut taazeem karte the Aap ke paas jo bhi ustaad aate to aap unke paas adab ke saath baithe rehte aur taleem ki khwahish wa tehzeeb dekhkar aapke walid Alaihirrahma bahut khush hue Aap ustaad ki bahut khidmat karte Bachpan mein aapka yeh andaaz dekhkar sara darbar hairat mein tha
Hazrat Maulana Sharfuddin Abu Tawwama
Us waqt Hazrat Maulana Sharfuddin Abu Tawwama Rahmatullah Alaih Apni samajhdari azmat aur buzurgi ki wajah se Hindustan mein bahut mashhoor the Aap tamaam uloom (ilm/gyaan) aur funoon (hunar) mein kamaal rakhte the Har ilm mein aapne mahaarat haasil ki thi Aam log aur khaas log ameer aur badshah sab un par e tiqaad (yaqeen/bharosa) rakhte the Sab unki baat maante the aur log apne masail (maslon) mein unhin se mashwara lete the
Hazrat Maulana Sharfuddin Abu Tawwama Rahmatullah Alaih ki itni zyada shohrat dekhkar Delhi ke badshah ko khatra mehsoos hua Use andesha (dar) hua ki kahin woh mulk par qabza na kar len Usne ek tarkeeb nikali aur Maulana ko Sonargaon bhej diya Us waqt Sonargaon Bengal ka ilaqa Delhi ke qabze mein tha Maulana apni samajhdari se poori baat samajh gaye Yeh ulul amr (hukmraanon/adhikariyon) ki itaa’at (baat maanne) ka masla tha aur yeh wajib hai
Sonargaon ka Safar
Unhone Sonargaon ka safar shuru kiya Safar ke dauraan woh Maner Sharif mein pahunche Manakibul Asfiya kitaab mein hai ki Makhdoom E Jahan apne khaas Murid (jo unki baatein likhte the) se farmaate hain ki Hazrat Maulana Sharfuddin Abu Tawwama Rahmatullah Alaih Hindustan ke ulama (aalimon/vidwanon) mein itne mashhoor the ki unke ilm (gyaan) mein kisi ko koi shak nahin tha
Aap reshmi safa sar par baandhte the Agar padhaane mein koi mushkil aati to khoob ghaur karte aur us saafe ko haath mein lekar sochte rehte the jab tak ki woh mushkil hal na ho jaaye Jab Maulana Sharfuddin Abu Tawwama Rahmatullah Alaih Maner Sharif pahunche us waqt Shaykh Sharfuddin Ahmad Yahya Maneri Firdausi Rahmatullah Alaih ki umr kya thi Kisi ne 8 saal likhi hai to kisi ne 10 12 saal aur Manakibul Asfiya ke mutaabik woh jawaani ki umr ko pahunch gaye the
Maulana Sahab ke Maner Sharif mein rukne ke dauraan Makhdoom E Bihar unki khidmat mein haazir hue aur unke ilm ki zyadaati zahanat aur samajhdari ka kamaal dekhkar bahut mutaassir hue Unhone yeh tai kiya ki aise behtareen muhaqqiq (tahqeeq karne waale aalim) ki khidmat mein rehkar Deen ke uloom ki tahqeeq ki ja sakti hai
Shaikh Sharfuddin Ahmad Yahya Maneri Firdausi Rahmatullah Alaih Maulana Abu Tawwama ke saath Sonargaon pahunche Sonargaon ab Bangladesh mein hai aur us sadak par hai jo Chittagong jaati hai Us zamaane mein qareeb do sau saal tak yeh ek khaas (markazi) jagah rahi Azeem Shah Sikandar ke bete ne yahin se apni hukumat shuru ki thi Usne yahin se Hafiz Shirazi ko bulaya tha
Ilm aur Hunar Haasil Karna
Sonargaon mein Hazrat Makhdoom E Jahan Shaykh Sharfuddin Ahmad Yahya Maneri Firdausi Rahmatullah Alaih Hazrat Maulana Sharfuddin Abu Tawwama Rahmatullah Alaih ki khidmat mein din raat ilm haasil karne mein lage rehte the Lekin is mashghooliyat mein bhi woh riyazat (ibaadat/parhezgari) aur mujahida (mehnat) nahin chhodte the Isiliye woh lagaatar roza rakhte the Bahut zyada mashghool hone ki
wajah se woh Hazrat Maulana Sharfuddin ke dastarkhwan (khaane ki mez) par haazir nahin ho paate the Woh farmaate the ki ismein bahut waqt zaya hota hai Jab Sharfuddin Abu Tawwama ko iski ittila mili to woh unka hissa alag rakhwa dete the Shaikh Sharfuddin Ahmad Yahya Maneri Firdausi Rahmatullah Alaih ek zamaane tak Maulana Sharfuddin Abu Tawwama ki khidmat aur sohbat mein rahe yahaan tak ki Deen ke ilm ki poori tahqeeq kar li
Nikah
Sonargaon mein hi aapne apne ustaad Hazrat Maulana Sharfuddin Abu Tawwama Rahmatullah Alaih ki sahibzaadi se nikah kiya Baad ke likhne waalon (mutaaqqireen) ne Shaikh Sharfuddin Ahmad Yahya Maneri Firdausi Rahmatullah Alaih ki Ahliya ka naam Bibi Badaam likha hai Unki Ahliya ke batn se ek sahibzaade wahin Sonargaon mein paida hue jinka naam Hazrat Makhdoom Zakiyuddin Firdausi Rakha gaya
Maner Sharif Vaapsi
Taleem haasil karne ke dauraan ghar se jo khat aate the Makhdoom E Jahan unhein isiliye nahin padhte the taaki kisi khabar se dil mein uljhan na ho aur padhne se dil uchat na jaaye Taleem mukammal hone ke baad un khaton ko nikala Pehle hi khat se maloom hua ki aapke waalid Majid duniya se parda farma gaye Is khabar se aap bahut pareshan hue Ustaad se ijaazat lekar Sonargaon se apne sahibzaade ke saath Maner Sharif ke liye rawana ho gaye
Murshid ki Talaash
Maner Sharif pahunchkar waalida ki khidmat mein kuch din rahe Lekin ilm haasil karne ka jazba aur roohaani taleem ka shauq aapko baar-baar kisi Ahle Allah (Allah wale) ki talaash ke liye uksaata rehta tha Isiliye Shaykh Sharfuddin Ahmad Yahya Maneri Firdausi Rahmatullah Alaih ne apne sahibzaade Hazrat Makhdoom Zakiyuddin Firdausi ko apni waalida Majida ke hawaale karke arz kiya ki aap isko meri jagah samjhein aur mujhe ijaazat dein jahaan main jaana chahoon jaaoon Waalida se ijazat lekar aap aur aapke bhai Delhi ki taraf rawana hue
Hazrat Bu Ali Shah Qalandar Rahmatullah Alaih Se Mulaqaat
Jab aap aur aapke bhai Maa Se ijazat lekar Maner Sharif se Murshid ki talaash mein Delhi ki taraf nikle to us waqt Hazrat Bu Ali Shah Qalandar Rahmatullah Alaih ki vilayat aur buzurgi ka danka poore mulk mein bajta tha Aap jab unki bargah mein aaye to woh aalam E jazb o kaifiyat mein the Yeh dekhkar aapne kaha Bhai yahan se chaliye yahan mere liye faiz nahi hai Uske baad aap wahan se aage ki ore chal diye
Dosto yahan yeh dhyan dena zaroori hai ki aapne Hazrat Bu Ali Shah Qalandar Rahmatullah Alaih ke paas dekha ki woh aalam E jazb mein hain to aapne kaha yahan se mujhe faiz nahi milega Iska matlab yeh nahi hai Hazrat Bu Ali Shah Qalandar Rahmatullah Alaih ki tauheen ya unke kamaalat o ikhtiyaraat ko
kamtar kiya hai Balki woh us waqt aalam E jazb o kaifiyat mein rehte aur unke jazb mein khalal daalne ki himaaqat koi doosra nahi kar sakta Lihaza yeh matlab bilkul na nikala jaaye ki Hazrat Bu Ali Shah Qalandar Rahmatullah Alaih ka maqam o martaba kam hai Woh Qalandar hain aur Ahle Tasawwuf mein Qalandar ka martaba Qutub Aqtab aur Sufi se Bada hota hai
Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya Rahmatullah Alaih se Mulaqaat
Ahle ilm aur Ahle Tasawwuf jaante hain ki Mehboob E Ilahi Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya Rahmatullah Alaih Ko kaha Jaata hai Aap 1291 Mein Mehboob E Ilahi Ki Bargah Mein Gaye Kyunki Us waqt Delhi Mein Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya Rahmatullah Alaih Ke jaisa Wali E Kaamil Doosra Nahi Tha Jab aap unse mile to unhone aapki khoob mehman nawazi ki aur wapis jaate waqt aapko teen paan ata kiye the
jo ki ishaara tha ki aapki zaat unke nazdeek kitni ahmiyat rakhti hai kyunki us daur mein Auliya Allah apne khaas mehman ko tohfe ke taur par paan ka nazrana dete the To is lihaaz se aapki shaan aur martaba ka andaaza lagaya ja sakta hai Uske baad unhone kaha ki aapka faiz hamare paas nahi balki aapka faiz kisi aur ke paas hai tum unke paas khud pahunch jaoge Yeh sunkar
aapke bhai ko udaasi hui kyunki daur ke do Wali E Kaamil jinki wilayat karamat Riyazat ibadat shohrat ka danka poori duniya mein bajta tha Un dono Darveshon ke Aastane mein aapka faiz nahi tha To unhone wapis aane ka irada kiya lekin Makhdoom E Jahan ne kaha Chalo ek jagah aur hai Wahan dekh lete hain Agar wahan bhi hamara faiz nahi hoga to hum Maner Sharif wapis chale jayenge
Khwaja Shaikh Najibuddin Firdausi Rahmatullah Alaih Se Mulaqaat
Phir uske baad Hazrat Khwaja Shaikh Najibuddin Firdausi Rahmatullah Alaih Ke Aastane Par Gaye Darwaze par pahunche to dil mein ajeeb si harkat hui Aapko dekhte hi Shaikh Ne farmaya Aao Ahmad hum 12 Saal Se Tumhare hi intezaar Mein the Tum kahan The Aao waqt bahut kam hai Yeh kehkar unhone
aapko apne paas bithaya aur Ek khat Lekar Aaye Jo Aapke liye Madina Munawwara Se Aaya Tha Aapko woh khat Diya aur mureed kiya khilafat ata ki aur kaha Ahmad Ab Tum ja sakte ho Aapne arz kiya Murshid Meri Tarbiyat to farmaiye Murshid Ne kaha Jao Ahmad tumhari tarbiyat ab Sayyadul Ambiya khud farmayenge
Murshid ki Wasiyat
Aapke wapis hote waqt Murshid Ne Aapko chand Nasihaten kareen jo yoon hain
1 Duniya ki cheez ko itna hi istemaal karna jitna chhat par chadhne ke liye seedhi ka karte ho
2 Allah ke alawa sabse itna taalluq rakhna jitni zaroorat ho aur hukm E shariyat ho
3 Mujahida aur riyazat is tarah hona chahiye ki main mar jaaye yaani takabbur ki boo baas na rahe
4 Shadeed thand ho, paani barf ban jaaye phir bhi be wazoo mat rehna
Uske baad aapne kaha Jao aur agar koi khabar sunna to wapis mat aana Abhi aap kuch hi doori tak gaye the ki ek khabar ne aapko jhanjhor ke rakh diya Woh khabar yeh thi ki Aapke Murshid Ne Fani E jahan Ko Alvida Keh Diya hai Yeh khabar sunkar aap Murshid ki wasiyat ke aage majboor hokar tadap rahe the
kyunki Murshid ne kaha tha Kuch bhi sunna wapis mat aana Ab aap ka dil o dimaag ek ajeeb kaifiyat ka ho gaya Tabhi ek behyya (Ek tarah ki jhaadi) Ke jangal ke paas pahunche to Ek mor bola Uski aawaaz par ek wajd taari hua aur aapne apne kapde phaad liye aur kahin ghaayab ho gaye Aapke bhai ne aapko khoob talaash kiya lekin jab aapko nahi paaya to ghar chale aaye Maa aur biwi ko poora waqiya bataya
12 Saal Tak Aapne paani Nahi Piya
Behyya Ke jungle Ke pakde hue aap Aalam E istegraq Mein chale gaye Patton Ne aapko dhaank liya Saanp pakshi aapke upar se nikal jaate aapko hosh hi nahi raha Aapne 12 saal tak Ek boond paani tak nahi piya Ek din ek Raja shikaar khelne aaya Usne gaur se dekha to use laga ki yeh shayad koi aadmi hi hai
Usne sipahiyon ko hukm diya ki inpar se patte hatao Sipahiyon ne safai shuru kar di Phir aapko dekhkar sab dang reh gaye Raja ne kaha In darvesh ko darbar le aao Aapko laaya gaya Aapke zakhmon ki dawa shuru hui Jab aankh kholi to aapne raja ko saara waqiya sunaya To Raja aapse bahut mutasir hua
Shajra E Tariqat
Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam
Hazrat Ali ibn Abi Talib razi allah tala anhu
Hazrat Imam Hussain Aleh Salam
Hazrat Imam Zain Ul Abideen Razi Allahu Ta’ala Anhu
Hazrat Imam Muhammad Baqar Razi Allahu Ta’ala Anhu
Hazrat Imam Jafar Sadiq Razi Allahu Ta’ala Anhu
Hazrat Imam Musa Kazim Razi Allahu Ta’ala Anhu
Hazrat Imam Ali Raza Razi Allahu Ta’ala Anhu
Hazrat Khwaja Maaruf Karkhi Rahmatullah Alaih
Hazrat Khwaja Sirri Saqti Rahmatullah Alaih
Hazrat Junaid Baghdadi Rahmatullah Alaih
Khwaja Mimshad Dinawari Rahmatullah Alaih
Hazrat Khwaja Ahmad Sayah Deenauri Rahmatullah Alaih
Hazrat Khwaja Muhammad Bin Abdullah Almaaruf Ba Amooba Rahmatullah Alaih
Hazrat Khwaja Wajihuddin Abuhafs Rahmatullah Alaih
Hazrat Khwaja Ziyauddin Abu Najeeb Soharwardi Rahmatullah Alaih
Hazrat Khwaja Najmuddin Kubra Wali Tarash Rahmatullah Alaih
Hazrat Khwaja Saifuddin Bakharzi Rahmatullah Alaih
Hazrat Khwaja Badruddin Samarqandi Rahmatullah Alaih
Hazrat Khwaja Ruknuddin Firdausi Rahmatullah Alaih
Hazrat Khwaja Shaikh Najibuddin Firdausi Rahmatullah Alaih
Hazrat Makhdoom Sheikh Sharfuddin Ahmad Yahya Maneri Firdausi Rahmatullah Alaih
Naam | Shaikh Sharfuddin Ahmad |
Janm | Maner Sharif Bihar |
Resting place | Bihar Sharif Dargah |
Parent | Makhdoom Yahya Maneri (father) |
Son | Makhdoom Zakiyuddin Firdausi |
Home town | Maner Sharif Bihar Patna |
Ahliya | Bibi Badaam |
Teacher | Maulana Sharfuddin Abu Tawwama |
Murshid | Shaikh Najibuddin Firdausi |
Tariqa | Firdausi |
Religion | Islam |
Walida Se Mulaqaat
Aapke chacha Zaad bhai Hazrat Makhdoom Shah Shuaib Firdausi Alaihirrahma likhte hain Ki Ek Raat shadeed sardi Thi Aur baarish Bhi Bahut Tez ho rahi thi Aapki waalida Ek kamre Mein baithi yeh sochkar ghamzada thi ki aakhir aise waqt mein mera laal kahan kis haal mein hoga Unka sochna hi tha ki unhone dekha ki unka laal saamne ghar ke baahar khada hai Aapki Maa daudkar aayi aur aapse lipat gayi
Jab aapse lipti to yeh dekhkar hairan ho gayi ki itni tez baarish ke baawajood aapke jism mein ek bhi boond paani nahi tha Aapki Maa ne kaha Ahmad yeh kya maajra hai Aapne muskurate hue jawab Diya ki main aapko yehi to batane aaya hoon ab aapke bete ko kuch nahi hoga Woh Allah ki raah mein maqbool ho gaya Jab Allah kisi bande ki hifazat karta hai to bande ko kuch nahi hone deta Aap mere liye pareshaan na raha karein mujhe kuch nahi hoga
Rajgir Ka jungle
Aapne Rajgir ke jungle Mein Chilla Kiya Aur Sunnat E Musa Alaihissalam ada ki Aapne jungle mein kayi saalon tak Mujahida aur Mushahida kiya Uske baad aapko nafs par control karne aur karwane ke saare tareeqe aa gaye the Jab aap jazb se baahar aaye to aapko sabse pehle Hazrat Maulana Nizamuddin Madani Sahab Ne talaasha aur aapke paas aane jaane lage
Aapke deewane ban gaye the Aapne unki mushkilaat ko dekhte hue yeh faisla kiya ki ab main Juma ke din Jama Masjid aa jaya karunga tum wahin mulaqaat kar liya karo Yahan jungle aane mein aapko dikkat hoti hogi Uske baad Juma Juma aap Jama Masjid jaate rehte jahan din ba din aapke chahne wale badhte gaye
Maulana Nizamuddin Madani Sahab ne aapke liye ek jhonpdi bana di Phir aap wahan teen din rehne lage Ek din aap jungle mein the to Pyare Aaqa Alaihissalam ka khwab naseeb hua jismein unhone kaha Aye Ahmad tum ab jungle se nikal kar usi jhonpdi mein jao aur Deen ki tableegh karo
Sultan ke Nazrane Wapis Kiye
Sultan Bin Tughlaq ke darbar mein jab aap Gaye to usne takht se khade hokar aapki taazeem ki aur aapko nazrane dene laga Aapne kaha Darveshon ko iska kya kaam hai Usne kaha Huzoor aap mana na karein aap le lijiye phir jo mann aaye woh kariye Uske alawa usne kayi ilaake aapke supurd kiye Lekin jaise hi aap
Mehal se baahar aaye un sone ke sikkon ko gareebon mein baantte chale gaye Upar chhat se dekhkar Sultan ne kaha Dekho darbariyo yeh hota hai darvesh Phir jab Firoz Shah Tughlaq Delhi ka badshah hua to aap uske darbar gaye aur tamaam dastavez wapis kar diye jo aapko Sultan ne batore nazrana diya tha
Wisaal
Aapne baazahir is duniya E fani 7 Shawwal 782 Hijri mein alvida kaha aapka Mazar Sharif Bihar Shahar ke Patna City se Kuchh hi Duri per Bihar Sharif mein hai
Urs Mubarak
Makhdoom E Jahan Ka Urs Islamic Calendar Chand Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Shaikh Sharfuddin Ahmad Yahya Maneri Firdausi Rahmatullah Alaih Urs Mubarak Shawwal Ke Mahine Mein Manaya Jata Hain Makhdoom E jahan Ke Urs Mubarak Mein Kafi Dur Dur Se Jayerin Bihar Sharif Dargah Mein Aate Hain Aur Chadar Phool Pesh karte Hain Bihar Sharif Dargah Ke Urs Mubarak Mein Dukandar bhi apni dukanen Kafi dudu Se Lekar ke Aate Hain aur Bihar Sharif Mein Apni dukanen Lagate Hain Bihar Sharif Urs Date 2 Se 9 Shawwal
Address
Makhdoom E jahan Ka Mazar Sharif Bihar Mein Hain Patna Junction Railway Station Se Lagbhag 90 Kilometer Dur Hain yadi agar aap Makhdoom a Jahan Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke liye train se aana Chahte Hain to Makhdoom E Bihar Ke Dargah Ke sabse Kareeb Mein Hain Bihar Sharif Railway Station
Yadi agar aap train se aana Chahte Hain To aap Bihar Sharif ke railway station aaiae aur Bihar Sharif ke railway station Se Badi aasani se Makhdoom E Jahan Ki Dargah Sharif ke liye gadi mil Jaati Hai Bihar Sharif Railway Station Se Lagbhag 5 Kilometer Dur Hain Shaikh Sharfuddin Ahmad Yahya Maneri Firdausi Rahmatullah Alaih Ki Dargah Sharif
Patna To Bihar Sharif Dargah
Patna Junction Railway Station se Bihar Sharif Sheikh Sharfuddin Ahmed Maneri Firdausi Rahmatullah Alaih Ki Dargah Sharif Tak jaane ke liye aap sarvajanik parivahan ka upyog kar sakte hain
Patna To Bihar Sharif Distance
Patna se Makhdoom E Jahan Sheikh Sharfuddin Ahmed Maneri Firdausi Rahmatullah Alaih Ki Dargah Sharif Ki Doori Lagbhag 90 kilometer hai
Patna To Bihar Sharif Train
Patna aur Bihar Sharif ke beech kai train chalti hain Kuch trainon ke naam is prakar hain
Shramjivi Express (12392) Patna Junction se Bihar Sharif Junction tak chalti hai
Rajgir Express (13234) Patna Junction se Bihar Sharif Junction tak chalti hai
Budhpurnima Express (14224) Patna Junction se Bihar Sharif tak chalti hai
PNBE RGD SPL (03250) Patna Junction se Bihar Sharif tak chalti hai
RGD SUMMER SPL (04070) Patna Junction se Bihar Sharif tak chalti hai
Aap Patna Junction Railway Station se train le sakte hain jo seedhe Bihar Sharif Junction jaati hain Kuch trainen Danapur ya Rajendra Nagar Terminal se bhi chalti hain jo Patna ke paas hain
Google Map
Patna To Bihar Sharif Bus
Aam taur par Patna se Bihar Sharif ke liye busen uplabdh hoti hain jo Patna ke vibhinn bus Standon se mil sakti hain Sthaniya bus sewaon ke bare mein adhik jankari ke liye aap Patna Junction ke paas ke bus standon par poochhtachh kar sakte hain Aap Patna Junction se Bihar Sharif pahunchkar wahan se sthaniya parivahan (jaise auto rickshaw) se Dargah tak ja sakte hain
Last
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake