Aap Ki Wilaadat 990 Hijri Mein Narela Delhi Mein Hui Aap Ke Waalid Ka Naam Hazrat Syed Ameer Abul Wafa Bin Syed Abdus Salaam (R.A) Hain Aap Ke Dada Mughal Badshah Akbar Ke Zamane Mein Samarqand Uzbekistan Se Hindustan Aaye Aur Fatehpur Sikri Mein Muqeem Hue
Aap Ke Bachpan Mein Hi Aap Ke Waalid Ka Wisaal Ho Gaya Is Ke Bad Aap Ke Nana Hazrat Khwaja Faizi (R.A) Ne Aap Ki Parwarish Ki Aap Ke Nana Vardhman Bengal Ke Governor The
Ek Bar Maula E Kainaat Hazrat Ali E Murtuza (R.A) Aap Ke Khwaab Mein Tashreef Laye Aur Ajmer Sharif Jakar Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti (R.A) Ki Bargah Se Faiz Hasil Karne Ke Liye Farmaya
Aap Apna Tamam Maal Garibo Mein Khairaat Karke Ajmer Sharif Ki Taraf Rawaana Hue Pehle Aap Ne Delhi Jakar Hazrat Khwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kaki (R.A) Ke Mazar E Mubarak Par Aur Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ke Mazar Sharif Par Hazir Hokar Faiz Hasil Kiya
Phir Ajmer Sharif Pahunchkar Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ke Mazar Sharif Par Hazir Hue Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Aap Ke Samne Hazir Hokar Aap Ko Faiz O Karam Ata Farmaya
Ek Bar Aap Mazar Sharif Par Tashreef Farma The Ke Khwaja Garib nawaz (R.A) Aap Ko Tasbeeh Ke Dane Ke Barabar Ek Surkh Rang Ki Goli Ata Farmai Use Khate Aap Ka Qalb Roshan Ho Gaya Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ne Aap Ko Agra Akbarabad Waapas Jane Ki Taaqid Farmai Aur Aap Ke Chacha Hazrat Syed Abdullah Naqshbandi Ahrari (R.A) Se Baith