Aap Ki Wilaadat Simnan (Iran) Mein Hui Aap Ke Waalid Ka Naam Sultaan Syed Ibrahim Noor Bakhshi Bin Syed Imaad-ud-deen Aur Waalida Ka Naam
Kichocha Sharif
Bibi Khadija Begum Binte Khwaja Ahmad Yasawi Hain Aap Husaini Saadaat Hain Aap Ke Waalid Simnan Ke Sultaan The
Kichocha Sharif
Aap Hazrat Makhdoom Alaul Haque Pandwi (R.A) Ke Mureed Aur Khalifa Hain Aap Ke Peero Murshid Ki Dargah Sharif Pandua Sharif Malda West Bengal Mein Hain
Kichocha Sharif
Ek Bar Aap Ameer Taimur Ki Saltanat Se Guzar Rahe The Us Ne Aap Ka Istaqbaal Aur Tazeem Kiya Pahaadi Par Chadhte Waqt Ameer Taimur Ne
Kichocha Sharif
Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Se Kaha Ke Jaha Tak Aap Ki Nazar Jaae Waha Tak Ka Ilaka Aap Ko Tohfe Me De Sakta Hu
Kichocha Sharif
Aap Ne Us Se Farmaya Ke Main Jaha Tak Dekh Sakta Hu Wo Ilaka Tumhari Saltanat Me Nahi Hai Ye Kehkar Aap Ne Ameer Taimur Ke Sar Par Apna Daste Mubarak Rakha Aur Farmaya Ke Ab Tum Kya Dekhte Ho
Kichocha SWharif
Ameer Taimur Ne Kaha Ke Mujhe Makkah Mukarrama Aur Madeena Munawwara Nazar Aa Raha Hai Aap Ne Farmaya Ke Kya Ye Tumhari Hukoomat Me Hai Ameer Taimur Ne Sharminda Hokar Inkaar Kiya Aur Us Ki Aqeedat Aur Bhi Mazboot Ho Gai
Kichocha Sharif
Need Sharif Ek Talab Hain Jo Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir simnani (R.A) Ki Dargah Sharif Ke Bilkul Hi Kareeb Mein Hain Neer Sharif Talab Ke
Kichocha Sharif
Pani Ko Kafı Zayerin Botalo Mein Bharkar Ke Apne Ghar Lekar Jaate Hain Aur Yah Pani Kafı Ruhani Bimariyon Mein kam Aata Hain Aur Kafı Zayerin Neer Sharif Mein Nahate Bhi Hain