Ziyarat

Sahabi E Rasool In India Hazrat Baba Ratan Hindi hazrul remo

Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Baba Ratan Lal Hindi Radiallahu Taala Anhu Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hai

Hazrat Haji Baba Ratan Hindi (R.A) Ki Dargah Sharif Bathinda Punjab

History

Hazrat Baba Ratan Lal Hindi Radiallahu Taala Anhu ko Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ke Sahabi hone ka bada martaba mila hai Unki zindagi ke bare mein zyada jankari abhi tak nahin milti hai Lekin aap Allah ke Rasool ke Sahabi hain yeh baat kai bharosemand Allah walon aur Hadees ke bade Ulama ne apni kitabon mein likhi hai

Unke Khandan ka kaam tijarat (vyapar/karobar) karna tha Aap apne ghar walon ke saath masale (jaise laung adrak ilaichi sagwan) jo us zamane mein Arab mein bahut mashhoor the woh lekar jaya karte the Aap vyapar ke liye Mulk Shaam (Syria) jaate toh usi raaste se Makkah Sharif Aate jaate the Allama Hafiz Ibn Hajar Asqalani Rahmatullah Alaih likhte hain ki

Sahabi E Rasool In India Hazrat Haji Baba Ratan Hindi (R.A) Ki Mazar Sharif Bathinda Punjab

Ek din aap vyapar ke kaam se Mulk Shaam (Syria) ke liye nikle us waqt aapki umar qareeb 20 saal thi Aap jab Makkah ki zameen par pahunche toh wahan ki jis ghati se aap guzar rahe the, achaanak bahut tez baarish hone lagi aur itni zor ki baarish hui ki paas ka ek naala paani se bhar gaya aur behne laga. Tabhi ek chhota masoom aur bahut hi pyara baccha kuch bakriyan chara raha tha aur woh naale ke paas khada tha. Aapne us bacche ko dekhkar samajh liya ki woh chhota sa pyara baccha is naale ko paar karna chahta hai aur aapne use apne kandhe ya peeth par Bithakar naala paar karwa diya

Pyare doston Zara sochiye Hazrat Baba Ratan Hindi ne jis chote bacche ko Apne Upar Bithakar Naala paar karwaya woh baccha koi aam baccha nahin tha balki woh Tazdaare Madinah Sayyadul Ambiya saare nabiyon ke sardar Imamul Ambiya saare nabiyon ke rehnuma Mehboob E Khuda hamare pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wa Sallam the

Jab aapne Pyare Aaqa Alaihissalam ko apne kandhe Par Bithakar naala paar karwaya toh Pyare Aaqa Alaihissalam ke mubarak honton se yeh dua nikli ki Allah tumhein barkat de Yeh mubarak baat sunne ke baad aap Baba Ratan Hindi bahut khush hue aur aap par ek ajeeb sa ehsaas hua kyunki aisi mithas aapne isse pehle kabhi mehsoos nahin ki thi aur na hi aise shabd aapne kabhi sune the

Chand Ke Do Tukde Hue

Hazrat Haji Baba Ratan Hindi (R.A) Ki Dargah Sharif Bathinda Punjab

Chaand ke do tukde karna yeh aapka (Nabi Kareem ka) aisa mojiza hai jise shayad har Musalman jaanta hai ki hamare Pyare Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek ishare se Chaand ke do tukde kar diye the Hazrat Baba Ratan Lal Hindi Radiallahu Taala Anhu Ke Bete Mehmood Hindi bayan karte hain ki

aap ek raat khule aasman ke neeche lete hue the Tabhi achaanak aapne dekha ki Chaand ke do hisse ho gaye hain ek paschim mein aur doosra poorab mein Yeh dekhkar aapke dil mein iske bare mein janne ki bechaini badh gayi Aapka dil beqarar ho gaya ki aakhir Chaand ko do hisson mein baantne wali hasti kaun hai

Lekin us waqt Bharat India mein kisi ke paas itna ilm gyan nahin tha jo aapki is mushkil ko hal kar sake Phir aap vyapar tijarat ke liye Arab mulk gaye aur wahan aapne ek boodhe aadmi ko apni yeh baat batayi toh unhone kaha haan woh Makkah ke hi rehne wale hain aur unhone apne aap ko Nabi hone ka dawa bhi kiya hai Yeh sunkar aap fauran unke bataye hue pate par chal diye gaye toh

Huzoor Se Mulaqat

Aapne dekha ki Pyare Aaqa Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne kuch pyare aur janisar Sahaba Kiram sathiyon ke saath tashreef farma hain Jab aap wahan pahunche toh sab aapko dekhte reh gaye kyunki aapka libaas aur andaaz alag tha Aapko dekhte hi Aaqa Alaihissalam ne farmaya kya tum Ratan Hindi ho Yeh sunkar Baba Ratan Lal ne arz kiya ji haan main Ratan Hindi hoon

Hazrat Baba Ratan Hindi Ki Dargah Sharif Bathinda Punjab

Baba ne arz kiya ki aapko yeh kisne bataya Toh Aaqa Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jawab diya ki jis Rab ne mujhe Nabi banaya hai usi Rab ne mujhe yeh bhi bataya hai Phir Aaqa Kareem ne Irshad farmaya kya tumne mujhe pehchana hai Toh Baba Ratan Hindi ne arz kiya nahin Is par aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Irshad farmaya ki bachpan mein jis bacche ko tumne

apne kandhe par Bithakar naala Rasta paar karwaya tha woh baccha main hi hoon Us din tumne mujhe apne kandhe par uthaya tha aur woh khai naala paar karwayi thi Aaj main tumhein Kalma padhaakar Jahannam ki khai se paar lagwaunga Yeh sunte hi Baba Ratan Hindi fauran aapke qadmon mein Gir gaye aur aapne Kalma Shahadat padh kar Islam qubool kar liya aur Sahabi hone ka sharf hasil kiya

Phir aap ne Baba Ratan Hindi ko Pyare Aaqa ne 7 khajoorein ata farmaayi aur aapne unhein qubool kiya jiske baad aapki umar mubarak 700 saal ho gayi

India ke pahle muslim

Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani Rahmatullah Alaih Ne aapki Ziyarat karke Tabieen hone ka sharf hasil kiya hai Wahin Hazrat Badiuddin Zinda Shah Madar Rahmatullah Alaih Ne bhi aapki ziyarat ki hai Aapko India Hindustan ka pehla Musalman bhi mana jaata hai Aap ka tazkira Imam Asqalani Alaihirrahma ne Alasabaa mein

Aur Hazrat Alauddin Simnani Alaihirrahma ne Kitab Faslul mein wa Shah Waliullah Muhaddis Dehlvi Alaihirrahma ne Adrush Sameen mein Maulana Abdurrahman Jami Alaihirrahma jaise Muhaddiseen ne kiya hai Aapka Maqam beshak bahut hi aala hai, aap ke dar se aaj bhi log Faiz paate hain aapki umar qareeb 700 saal batayi jaati hai wahin doosri riwayat mein aapki umar 632 saal batayi jaati hai

Sahabi E Rasool in India

Hazrat Haji Baba Ratan Hindi Ki Mazar Sharif Bathinda Punjab

Hazrat Qazi Nuruddin jo ki Hasan Ibn Muhammad ke bete hain aur Khurasan se Bharat India vyapar ki gharz se aaye jahan aapne Qayam kiya tha wahin dekha ki Achaanak se ek shor hone laga Aap bhi jab bheed mein gaye toh logon se shorghul ki wajah poochhi toh logon ne bataya ki is darakht ke andar ek Baba hain jinhone Nabi Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekha hai

Yeh sunkar Qazi Nuruddin ki bhi unhein dekhne ki khwahish ichha hui Aapne dekha aap darakht ped ke andar is tarah lete hue the jaise chidiya apne ghonsle mein ho Uske baad aapne unhein jagaya toh unhone aankhein kholin aur phir apna haal bataya Toh pyare doston Yeh the India Hindustan ke pehle Musalman aur

India ke pehle Sahabi E Rasool Hazrat Baba Ratan Shah Hindi Radiallahu Taala Anhu Jinka Maqam darja har Wali se afzal ooncha hai kyunki Sahaba ka Maqam waliyon se afzal hota hai Isliye inki shan mein gustakhi beadabi karke kisi ka iman sahi salamat nahin reh sakta Toh phir Aaqa Alaihissalam ki shan mein gustakhi karne ka anjaam kya hoga Allah hi behtar jaanta hai

Address

Hazrat Baba Ratan Hindi Razi Allah Tala Anhu ki Dargah Sharif Bathinda punjab mein hai aur Bathinda Chandigarh se lagbhag 220 kilometer ki doori par hai Chandigarh se Hazrat Baba Ratan Hindi Radiallahu Taala Anhu ki Dargah Sharif Bathinda bus se ja sakte hain Aap trainon se bhi Bathinda aa sakte hain Aap kai shehron se

trainon se Bathinda aa sakte hain Yahan kuchh shehron ke naam diye gaye hain jahan se Bathinda ke liye seedhi trainen uplabdh hain ya jahan se aap train dwara Bathinda pahunch sakte hain Ambala Cantt, Purani Delhi, Nai Delhi, Delhi Cantt, Delhi Sarai Rohilla, Jammu Tawi, Jodhpur, Varanasi, Shri Ganganagar, Rewari, Bhopal, Roorkee, Jaipur Aur bhi kafi jagahon se trainen chalti hain jo ki seedhe Bathinda aati hain

Amritsar To Bhatinda Train

Amritsar se Bathinda ke beech chalne wali trains Train Number 19226 – JAT JU EXPRESS Pratidin Chalti Hai Amritsar se khulne ka samay: 02:25 Bathinda pahunchne ka samay: 09:35 Kul samay: 7 ghante 10 minute Yeh train Jammu Tawi se Bhagat Ki Kothi tak jaati hai Yeh train Amritsar se Bathinda ke beech kayi stationon par rukti hai jinmein Beas Jalandhar City Firozpur Cantt shamil hain

Train Number 19612 – ASR AII EXPRESS Yeh train Mangalwar aur Guruwar chalti hai Amritsar se khulne ka samay: 13:25 Bathinda pahunchne ka samay: 21:05 Kul samay: 7 ghante 40 minute Yeh train Amritsar se Ajmer Sharif tak jaati hai Yeh train Firozpur Cantt hote hue Bathinda pahunchti hai Raaste mein aur bhi anya stationon par rukti hai

Aur bhi kafi saari traine hain jo ki alag alag jagah se Bathinda railway station pahunchti hain Kripya yatra se pehle trainon ki jankari railway poochhtaachh se jaanch lein

Chandigarh To Bathinda Bus

Chandigarh aur Bathinda ke beech bus seva bhi ek achha vikalp hai Vibhinn bus operator is marg par basen chalate hain jinmein sarkari aur niji base shamil hain Aapko AC Seater, Non AC Seater AC Sleeper jaisi vibhinn prakar ki base mil sakti hain Base din bhar uplabdh rehti hain subah jaldi se lekar der raat tak

Base aam taur par Chandigarh ke Chandigarh Bus Terminus se milti hain aur Bathinda mein Old Bus stand Bathinda ya anya nirdisht dropping points par pahunchti hain Bus se Chandigarh se Bathinda pahunchne mein aam taur par 4 se 5 ghante lagte hain jo bus ke prakar aur traffic ki sthiti par nirbhar karta hai

Bathinda pahunchne ke baad Hazrat Baba Ratan Hindi ki Dargah Sharif Bathinda Junction Railway Station se lagbhag 2.5 km aur Old Bus Stand Bathinda se lagbhag 1.9 km door hai Aap wahan se taxi ya auto rickshaw Lekar aap Hazrat Baba Ratan Hindi Radiallahu Taala Anhu ki Dargah Sharif Mein pahunch sakte hain

Google Map

Last

Hum Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button