Ziyarat

Pirana Pir Dargah Hazrat Usman Akhi Sirajuddin Malda hazrul remo

Pirana Pir Dargah Hazrat Usman Akhi Sirajuddin Malda hazrul remo

Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Aaina E Hind Hazrat Usman Akhi Sirajuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain

Hazrat Usman Akhi Sirajuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Sadullapur Malda

History

Aap Ki Wilaadat Gaur Lakhnauti Bengal Mein Hui Aap Safar Karke Delhi Gaye Aur Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ki Ijaazat Se Hazrat Shaikh Fakhruddin Zarradi (R.A) Ne Aap Ki Taleem Shuru Ki Aur Aap Ko 6 Mahine Mein Aalim Banaane Ka Wada Kiya Is ke Baad Aap Ne Maulana Ruknuddin Se

Kafiah Mufassal Quduri Aur Majmaa-ul-Bahrain Ki Taleem Haasil Ki Aap Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ke shuruat Ke Mureedo Mein Se Hain Aur Apne Peer Ki Khidmat 4 Saal Tak Rahe Aap Saal Mein Ek Baar Apni Waalida Se Mulaaqaat Ke Liye Apne Watan Jaate The

725 Hijri Mein Apne Wisaal Se Pehle Khwaja Nizamuddin Auliya (R.A) Ne Aap Ko Bengal Jaakar Islam Ki Isha’at Karne Ke Liye Farmaya Sultaan Muhammad Bin Tughlaq Ke Zamaane Mein Aap 729 Hijri Mein Gaur Lakhnauti Aaye Aur Khanqah Ki Taamir Ki Kuchh Waqt Baad Aap Ne Langar Jaari Kiya Aur Miskeeno Aur Mohtaajo Ko Khaana Khilaana Shuru Kiya Aap Se Bengal Mein Chishtiya Silsila Ki Shuruat Hui

Dargah

Hazrat Usman Akhi Sirajuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Gate Kafi Khubsurat Banaa Hua Hai Aur Hazrat Ki Dargah Sharif Ke Farsh Mein Marble Laga Hua Hai Hazrat Ki Dargah Sharif Mein Hazrat Ke Astan E Mubarak Ke Kareeb Mein Ek Pani Ka Hoj Banaa Hua Hai Aur Is Hoj Mein Jayerin Wazu Banate Hai Aur Hazrat Usman Akhi Sirajuddin (R.A) Ke Astana E Mubarak Mein Hazrat Ke Mazar Sharif Ke Charo Taraf Kafi Khubsurat Tarike Se Sangemarmar Ke Patthar Ki Jali Laga Hua Hai

Chilla Mubarak

Hazrat Usman Akhi Sirajuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Se Thodi Dur Per Hazrat Ka Chilla Mubarak Hai

Piro Murshid

Aap Mehboob E Ilahi Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya Chishti (R.A) Ke Mureed Aur Khalifa Hain

Laqab

Aap Ka Laqab Aaina E Hind Hain

Aap Ke Khalifa

Hazrat Makhdoom Alaul Haque Pandwi (R.A) Aap Ke Mureed Aur Khalifa Hain

Wisaal Sharif

Aap Ka Wisaal 758 Hijri Ko Hua Aap Ka Mazar Malda Bengal Mein Hain

Urs Mubarak

Pirana Pir Dargah Hazrat Usman Akhi Sirajuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Aaina E Hind Hazrat Usman Akhi Sirajuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Shawwal Ke Mahine Mein Manaya Jata Hain Pirana Pir Dargah Urs Date 1 Se 2 Shawwal

Pirana Pir Dargah Hazrat Usman Akhi Sirajuddin Sadullapur Mazar Malda
Hazrat Usman Akhi Sirajuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Sadullapur Malda

Address

Hazrat Usman Akhi Sirajuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Ko Jyadatar Log Pirana Pir Dargah Ke Naam Se Jante Hain Aap Ka Mazar Sharif Malda Sadullapur Ke Kareeb Mein Hain Malda Town Railway Station Se Lagbhag 9.2 Kilometer Dur Hain Aur Rathbari Se Lagbhag 7.4 Kilometer Dur Hain

Malda Town Railway Station Se Aapko Hazrat Usman Akhi Sirajuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Ke Liye Gadi Mil Jayegi Agar Aapko Malda Town Railway Station Se Gadi Nahi Milti Hain To Aap Rathbari A Jaaiye Rathbari Se Aapko Direct Pirana Pir Hazrat Usman Akhi Sirajuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Ke Liye Gadi Mil Jayegi

Humne Aapko Pirana Pir Hazrat Usman Akhi Sirajuddin (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Pirana Pir Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain

Google Map Location

Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Kichocha Sharif Dargah Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Kichocha Sharif Hazrat Syedna Shah Ameer Abul Ula Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Agra hazrul remo Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ki Dargah Sharif Chandipur Malda Ajmer Sharif Urs Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Ajmer Ajmer Sharif Ki 10 Mashhur Dargah ki Ziyarat Ziyarat of 10 most famous places of Ajmer Sharif