Nau Gaja Peer Ajmer Shah Alam Shaheed Ki Dargah Ajmer hazrul remo
Nau Gaja Peer Ajmer Shah Alam Shaheed Ki Dargah Ajmer hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Se Do Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain Hazrat Dudhiya Peer Baba (R.A) Ki Aur Nau Gaj Peer Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain
Hazrat Dudhiya Peer Baba (R.A) Ki Dargah Sharif
Aapka Naam Hazrat Mushtak Ali Shah (R.A) Hain Aap Ki Dargah Sharif Ko Jyadatar Log Hazrat Dudhiya Peer Baba Ki Dargah Sharif Ke Naam Se Jante Hain Aap Ki Dargah Ajmer Sharif Mein Hain Dudhiya Peer Baba Ki Dargah Sharif Ka Gate Aapko Raste Se Hi Dikh Jaega Aur Dargah Sharif Ke Kareeb Mein Logon Ne Phoolon Ki Dukaan Laga Ke Rakhi Hai Take Jo Bhi Jayerin Hazrat Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Aaye Unhen Chadar Phool Badi Aasani Se Mil Jaaye Isi Liye Logon Ne Dargah Sharif Ke Kareeb Mein Dukaan Laga Ke Rakhi Hain
Hazrat Dudhiya Peer Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Kafi Khubsurat Bani Hui Hain Dargah Sharif Mein Char Mazar Sharif Hain Hazrat Dudhiya Peer Baba Ki Mazar Aapki Ahliya Ki Mazar Aur Aapke Muridon Ki Mazar Sharif Hain Aur Dargah Sharif Main Masjid Bhi Hain Aur Dargah Sharif Mein Ek Kafi Purana Ped Bhi Hain Hazrat Dudhiya Peer Baba Ki Dargah Ka Gumbad Sharif Hazrat Ki Dargah Sharif Ke Gate Ke Kareeb Mein Se Kafi Khubsurat Dikhta Hain
Hazrat Shah Alam Shaheed (R.A) Ki Dargah Sharif Ajmer
Aapka Naam Hazrat Shah Alam Shaheed (R.A) Hain Jyadatar Log Aapki Dargah Sharif Ko Nau Gaja Peer Baba Ki Dargah Sharif Ke Naam Se Jante Hain Hazrat Ki Dargah Ka Gumbaz Sharif Ka Manzar Kafi Khubsurat Dikhta Hain Hazrat Ke Astana E Mubarak Ke Farsh Mein Marble Laga Hua Hain Aur Mazar Mubarak Ke Charo Taraf Steel Ki Grill Lage Hue Hain
Mash Allah Hazrat Ka Mazar E Mubarak Kafi Bada Hain Aur Hazrat Ke Astana E Mubarak Ka Manzar Kafi Khubsurat Hain Hazrat Shah Alam Shaheed (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Kafi Log Aate Hain Aur Chadar Phool Hazrat Ke Mazar Sharif Mein Pesh Karte Hain
Urs Mubarak
Hazrat Mushtak Ali Shah (R.A) Ki Dargah Ka Urs Aur Hazrat Shah Alam Shaheed (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Hazrat Mushtak Ali Shah Dudhiya Peer Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Shawwal Ke Mahine Mein Manaya Jata Hain Aur Hazrat Shah Alam Shaheed Nau Gaja Peer Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Zikaat Ke Mahine Mein Manaya Jata Hain Mushtak Ali Shah Urs Date 7 Eid Ul Fitr Aur Shah Alam Shaheed Urs Date 16 Se 17 Zikaat
Dargah Sharif Address
Mushtak Ali Shah Dudhiya Peer Baba Ki Dargah
Hazrat Mushtak Ali Shah (R.A) Ki Dargah Sharif Ajmer Sharif Rajasthan India Mein Hain Mushtak Ali Shah Baba Ki Dargah Ajmer Sharif Railway Station Se Lagbhag 1 Kilometer Dur Hain
Shah Alam Shaheed Nau Gaja Peer Baba Ki Dargah
Hazrat Shah Alam Shaheed Nau Gaja Peer Baba Ki Dargah Sharif Veer Gaon Ajmer Rajasthan India Mein Hain Ajmer Sharif Se Lagbhag 17 Kilometer Dur Hain
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake