Ziyarat

Meetha Neem Wale Baba Ki Dargah Ajmer Sharif hazrul remo

Meetha Neem Wale Baba Ki Dargah Ajmer Sharif hazrul remo

Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo

Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se  Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Meetha Neem Wale Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain

Meetha Neem Wale Baba Ki Dargah Ajmer Sharif

History

Aapka Naam Hazrat Shaheed Peer Gaiwan Shah Baba Meetha Neem Wale (R.A) Hai Aapne Bagair Sar Ke Jang Ladee Hai Aapka Sar E Mubarak Ka Mazar Alag Hai Aur Dhar E Mubarak Ka Mazar Alag Hai

Meetha Neem Wale Baba Ki Dargah

Hazrat Shaheed Peer Gaiban Shah Baba (R.A) Ki Jis Dargah Ko Log Meetha Neem Wale Baba Ki Dargah Sharif Ke Naam Se Jante Hai Us Dargah Sharif Mein Aapka Dhar E Mubarak Ka Mazar Sharif Hai Aur Yah Hazrat Meetha Neem Wale Baba (R.A) Ki Dargah Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Se Thodi Dur Per Hai Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Ke Ek Number Gate Nizam Gate Se Jab Aap Andar Court Ke Raste Ki Taraf Se Aaenge To Aapko Adhai Din Ka Jhonpra Dikhega

Adhai Din Ke Jhopade Se Thodi Dur Per Hai Hazrat Meetha Neem Wale Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Jis Raste Se Jayerin Hazrat Meera Syed Hussain Khingsawar Mashhadi (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karke Taragarh Fort Se Utarte Hai Jis Raste Per Ajmer Sharif Ka jadu Ka Pathar Hai Usi Raste Per Hazrat Meetha Neem Wale Baba Ki Dargah Sharif Hai Raste Ke Bilkul Hi Kareeb Mein Hai Hazrat Ki Dargah Sharif Ka Gate

Peer Gaiban Shah Baba Meetha Neem Wale Baba Ki Dargah Ajmer Sharif

Hazrat Meetha Neem Wale Baba Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Kafi Dur Dur Se Jayerin Aate Hai Aur Jayerino Ki Sauliyat Ke Liye Logo Ne Hazrat Meetha Neem Wale Baba Ki Dargah Sharif Mein Phool Chadar Ki Dukaan Laga Kar Rakhi Hai Taki Jo Bhi Jayerin Hazrat Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Aaye To Unhe Badi Aasani Se Hazrat Ke Mazar E Mubarak Mein Chadar Phool Pesh Karne Ke Liye Mil Jaaye Isi Liye Logo Ne Hazrat Ki Dargah Sharif Mein Phool Chadar Ki Dukaan Bhi Laga Ke Rakhi Hai

Hazrat Meetha Neem Wale Baba (R.A) Ka Astana E Mubarak Kafi Khubsurat Hai Aur Hazrat Ke Mazar Sharif ke Charo Taraf Kafi Khubsurat Tarike Se Sangemarmar Pathar Ke Kathere Lage Hue Hai Hazrat Ke Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Ke Liye Kafi Jayerin Aate Hai Hazrat Ke Mazar E Mubarak Mein Chadar Phool Pesh Karte Hai Aur Mannat Ke Dhage Bandhte Hai Aur Hazrat Meetha Neem Wale Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Se Jayerin Meetha Neem Ka Patta Lekar Ke Ghar Jate Hai

Sar E Mubarak

Hazrat Peer Gaiban Shah Baba (R.A) Ka Jaha Per Dhad E Mubarak Ka Mazar Sharif Hai Us Dargah Sharif Ko Log Meetha Neem Wale Baba Ki Dargah Sharif Ke Naam Se Jante Hai Aur Jaha Per Aapka Sar E Mubarak Ka Mazar Sharif Hai Us Dargah Sharif Ko Hazrat Shaheed Peer Gaiban Shah Ali Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ke Naam Se Jante Hai Jis Raste Se Jayerin Ajmer Sharif Railway Station Se Diggi Bazar Hote Hue

Peer Gaiban Shah Baba Meetha Neem Wale Baba Ki Dargah Pannigram Chowk Ajmer Sharif

Pannigram Chowk Ke Raste Se Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Aate Hai Usi Raste Mein Pannigram Chowk Hai Aur Pannigram Chowk Mein Hazrat Shaheed Peer Gaiban Shah Ali Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Hai Hazrat Peer Gaiban Shah Baba (R.A) Ka Sar E Mubarak Ka Mazar Sharif Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) ki Dargah Sharif Se Thodi Dur Per Hai

Ajmer Sharif Pannigram Chowk Masjid mein Hazrat Peer Gaiban Shah Baba (R.A) ka Sar E Mubarak Ka Mazar Sharif Hai Ajmer Sharif Pannigram Chowk Masjid Mein Jane Ka Gate Alag Hai Aur Hazrat Peer Gaiban Shah Meetha Neem Wale Baba (R.A) Ka Sar E Mubarak Ka Dargah Sharif Ka Gate Alag Hai Hazrat Ka Sar E Mubarak Ka Dargah Sharif Ka Gate Masjid Ke Gate Aur Raste Ke Bilkul Hi Kareeb Mein Hai

Karamat

Hazrat Meetha Neem Wale Baba ki Dargah Sharif Mein Ek Neem Ka Ped Hai Jo Takriban 800 Sal Purana Hai Is Ped Ki Kuchh Dal Ke Patte Meethe Hai Aur Kuchh Kadwe Hai Jo Dal Hazrat Peer Gaiban Shah Baba (R.A) Ki Mazar E Mubarak Ki Taraf Hai Allah Ke Karam Se Hazrat Peer Gaiban Shah Baba (R.A) Ki Dua Se Us Dal Ke Patte Meethe Hai

Urs Mubarak

Hazrat Peer Gaiban Shah Meetha Neem Wale Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Hazrat Meetha Neem Wale Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Mubarak Rajab Ke Mahine Mein Manaya Jata Hain Meetha Neem Wale Baba Urs Date 17 Se 18 Rajab

Peer Gaiban Shah Baba Meetha Neem Wale Baba Ki Dargah Pannigram Chowk Ajmer Sharif
Peer Gaiban Shah Baba Meetha Neem Wale Baba Ki Dargah Ajmer Sharif

Address

Hazrat Peer Gaiban Shah Meetha Neem Wale Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ajmer Sharif Rajasthan Bharat Mein Hai Ajmer Sharif Railway Station Se Lagbhag 2.6 Kilometer Dur Hai Aur Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Se Lagbhag 1.5 Kilometer Dur Hai Humne Aapko Hazrat Meetha Neem Wale Baba (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Meetha Neem Wale Baba Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hai

Google Map Location

Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Kichocha Sharif Dargah Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Kichocha Sharif Hazrat Syedna Shah Ameer Abul Ula Naqshbandi (R.A) Ki Dargah Sharif Agra hazrul remo Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ki Dargah Sharif Chandipur Malda Ajmer Sharif Urs Khwaja Garib Nawaz (R.A) Ki Dargah Sharif Ajmer Ajmer Sharif Ki 10 Mashhur Dargah ki Ziyarat Ziyarat of 10 most famous places of Ajmer Sharif