Hazrat Dada Bahaul Huque Zakariya Multani (R.A) Ajmer Sharif hazrul remo
Hazrat Dada Bahaul Huque Zakariya Multani (R.A) Ajmer Sharif hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Dada Bahaul Huque Zakariya Multani (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain
History
Aapka Naam Hazrat Syed Dada Bahaul Haque Zakariya Multani Suhrawardi (R.A) Hain Aap Multan Se Bharat Aaye The Aapki Dargah Sharif Tunkda Gaon Pahadi Ke Upar Hain Dargah Sharif Ki Sidiyo Ki Shuruaat Mein Ek Gate Bana Hua Hain Aur Hazrat Dada Bahaul Huque Zakariya Multani Suhrawardi (R.A) Ke Astana E Mubarak Tak Pahunchne Ke Liye Takriban 105 Sidiyo Ki Step Bana Hua Hain Aur Dargah Sharif Ka Men Gate Sidiyo Ke Upar Hazrat Ke Astana E Mubarak Ke Kareeb Mein Hain
Hazrat Syed Dada Bahaul Huque Zakariya Multani Suhrawardi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Men Gate Kafi Khubsurat Bana Hua Hain Hazrat Ki Dargah Sharif Ke Men Gate Se Tunkda Gaon Ka Kafi Khubsurat Manzar Dikhta Hain Hazrat Ke Astana E Mubarak Ke Diwaro Per Tiles Laga Hua Hain Aur Astana E Mubarak Ke Farsh Per Marble Laga Hua Hain Aur Hazrat Ke Mazar E Mubarak Ke Charo Taraf Steel Ke Grill Lage Hue Hain Hazrat Ke Astana E Mubarak Ka Kafi Khubsurat Manzar Dikhta Hain
Karamat
Hazrat Syed Dada Bahaul Huque Zakariya Multani Suharwardi (R.A) Apne Kuchh Murido Ke Sath Baithe Hue The Kuchh Bacche Gaon Mein Khel Rahe The Jo Bacche Gaon Mein Khel Rahe The Un Bacchon Mein Se Ek Baccha Kuen Mein Gir Gaya Tha Kuen Mein Kafi Pani Bhara Hua Tha Aur Baccha Kuye Ke Pani Mein Doob Raha Tha Aur Gaon Mein Kafi Shor Mach Gaya Tha Kuchh Log Daudte Hue Hazrat Syed Dada Bahaul Huque Zakariya Multani Suhrawardi (R.A) Ke Pass Aaye Aur Hazrat Se Unhone Kaha Hazrat Kuye Mein Ek Baccha Gir Gaya Hain Jo Kuen Ke Pani Ke Andar Doob Raha Hain
Hazrat Fauran Uthkar Ke Apne Murido Ke Sath Kuen Ke Pass Gaye Aapne Kuye Ke Pass Mein Jakar Ke Dekha Baccha Kuen Ke Pani Mein Doob Chuka Hain Jab Aapne Dekha Baccha Kuen Ke Pani Mein Doob Chuka Hain Fir Aapne Allah Ki Bargah Mein Dua Ki Aur Use Kuen Ke Upar Aapne Apna Hath Rakha Jaise Hi Aapne Apna Hath Use Kuen Ke Upar Rakha Kuen Ka Pani Sukh Gaya Fir Logo Ne Bacche Ko Kuen Se Bahar Nikala Aur Bacche Ki Jaan Bach Gai
Urs Mubarak
Hazrat Syed Dada Bahaul Huque Zakariya Multani Suhrawardi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Mubarak Islamic Chand Calendar Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Hazrat Dada Bahaul Huque Zakariya Multani Suhrawardi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Safar Ke Mahine Me Manaya Jata Hain
Hazrat Ki Dargah Sharif Ke Urs Mubarak Mein Kafi Dur Dur Se Jayerin Aate Hain Urs Mubarak Mein Niyaz Fatiha Langar Hota Hain Aur Mazar Sharif Ko Gusul Diya Jata Hain Aur Qawwali Bhi Hoti Hain Hazrat Syed Dada Bahaul Huque Zakariya Multani Suhrawardi (R.A) Ki Dargah Sharif Tunkda Urs Date 4 Se 5 Safar
Dargah Address
Hazrat Syed Dada Bahaul Huque Zakariya Multani Suhrawardi (R.A) Ki Dargah Sharif Tunkda Gaon Ajmer Sharif Kishangarh Rajasthan Bharat Mein Hain Ajmer Sharif Railway Station Se Lagbhag 36.5 Kilometer Dur Hain Aur Kishangarh Railway Station Se Lagbhag 13.8 Kilometer Dur Hain Humne Aapko Hazrat Syed Dada Bahaul Huque Zakariya Multani Suhrawardi (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Google Map Ka Location De Diya Hai Aap Chahe To Google Map Ke Jariye Se Badi Aasani Se Hazrat Dada Bahaul Huque Zakariya Multani Suhrawardi (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye A Sakte Hain
Google Map Location
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake