Ziyarat

Dada Miyan Dargah Lucknow Hazrat Nabi Raza Shah hazrul remo

Hello Friend My Name ls Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo
Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Wubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko ls Video Ke Jariye Hazrat Khwaja Mohammad Nabi Raza Shah Urf Dada Miyan Qadri Chishti Abu Ulai Jahangiri (Rehmatullah Alaih) Ke Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hai

Dada Miyan Dargah Lucknow Hazrat Khwaja Mohammad Nabi Raza Shah Urf Dada Miyan Ki Dargah Sharif Lucknow

History

Hazrat Khwaja Mohammad Nabi Raja Shah Almaroof Dada Miyan (Rehmatullah Alaih) ka janam 25 Rabiul Awwal 1284 Hijri (July 1867 A.D.) ko Bhaisaundi Sharif Rampur mein hua Aapke walid ka naam Hazrat Maulana Hasan Raja Khan (Rehmatullah Alaih) tha Bachpan se hi aapki ruhani taraqqi ke asaar nazar aane lage Khel-kood se doori aur uche shiksha mein ruchi ne aapko vishesh banaya Aapne Arabic Farsi Urdu Hindi Mein maharat hasil ki aur kam umar mein hi Gyan ke kshetra mein pehchaan banayi

Peero Murshid

1886 A.D. mein shaadi ke baad aap sena mein bharti hue aur jald hi apni yogya se uche pad par pahunche European adhikari bhi aapke vyaktitva ka lihaz karte the Kuchh varshon baad Nawab Dhaka Ke Kahne Per Naukari Se Istifa Dekar Ke Aap Dhaka Chale Gaye Aap Hazrat Khwaja Shah Mohammad Abdul Hai Jahangiri Chatganvi (Rehmatullah Alaih) Ke mureed Aur Khalifa Hai

Safar

Aap Apna Jyadatar Waqt Ibadat Mein Gujarte Khilafat ke Baad Aapne desh bhar mein safar karke logo ko hidayat di Hyderabad Ajmer Sharif Bareilly Sharif Bijnor Moradabad Bengal Aapke mureedon ki sankhya badhti gayi Aur Bhi Kafi jagahon ka Aapne Safar Kiya Hai

Wisaal

Aapka Wisaal 24 Rabiul Awwal 1329 Hijri March 1911 A.D ko Lucknow mein hua Aapki mazar Sharif Islamia Qabristan Sadar Bazar Lucknow City Mein hai jahan se Aaj Bhi aapka faiz jari hai Aapke baad silsile ki zimmedari aapke chhote bhai Hazrat Khwaja Inayat Hasan Shah (Rehmatullah Alaih) ko mili

Urs Mubarak

NaamKhwaja Mohammad Nabi Raja Shah
MurshidKhwaja Shah Mohammad Abdul Hai Jahangiri
FatherMaulana Hasan Raja Khan
Brother Khwaja Inayat Hasan Shah
Resting placeIslamia Qabristan Sadar Bazar Lucknow
ReligionIslam
TariqaChishti Qadri Abu Ulai Jahangiri

Hazrat Khwaja Mohammad Nabi Raja Shah Almaroof Dada Miyan (Rehmatullah Alaih) Ke Dargah Sharif Ke Urs Mubarak Mein Hazrat Dada Miyan Ki Dargah Ko Kafi Khubsurat Tarike Se Sajaya Jata Hai Urs Mein Kafi Jagah Jagaho Se Log Aate Hain Islamia Qabristan Sadar Bazar Lucknow Mein Bengal Bihar Ajmer Sharif Delhi Bareilly Bijnor Moradabad Mumbai Aur Bhi Kafi jagahon se Jayerin Aate Hain Hazrat Khwaja Mohammad Nabi Raja Shah Almaroof Dada Miyan (Rehmatullah Alaih) Ki Dargah Sharif Mein

Hazrat Dada Miyan Ka Urs Mubarak Har Sal Manaya Jata Hai Dada Miyan Ka Urs Islamic Calendar Chand Ki Tarikh Ke Hisab Se Manaya Jata Hain Dada Miyan Urs Date Khwaja Nabi Raja Shah Almaroof Dada Miyan (Rehmatullah Alaih) Ki Dargah Sharif Ka Urs Mubarak 23 Se 27 Rabiul Awwal Tak Manaya Jata Hain

Dada Miyan Dargah Lucknow Hazrat Khwaja Mohammad Nabi Raza Shah Urf Dada Miyan Ki Dargah Sharif Lucknow
Dada Miyan Dargah Lucknow Hazrat Khwaja Mohammad Nabi Raza Shah Urf Dada Miyan Ki Dargah Sharif Lucknow

Address

Hazrat Khwaja Mohammad Nabi Raza Shah Urf Dada Miyan Ki Dargah Sharif Lucknow Junction Railway Station Se Lagbhag 3.3 Kilometre Dur Hai Hazrat Khwaja Mohammad Nabi Raza Shah Urf Dada Miyan Ki Dargah Sharif Aur Lucknow Alambagh Bus Stand Se Lagbhag 7 Kilometre Dur Hai Hazrat Khwaja Mohammad Nabi Raza Shah Urf Dada Miyan Ki Dargah Sharif

Google Map Location

Lucknow Junction Railway Station Se Lagbhag 3.3 Kilometre Dur Hai Hazrat Khwaja Mohammad Nabi Raza Shah Urf Dada Miyan (R.A) Ki Dargah Sharif Lucknow

Alambagh Bus Stand Se Lagbhag 7 Kilometre Dur Hai Hazrat Khwaja Mohammad Nabi Raza Shah Urf Dada Miyan (R.A) Ki Dargah Sharif Lucknow

Last

Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button