Chandipur Dargah Hazrat Maulana Abid Hussain Mazar Sharif hazrul remo
Hello Friend My Name Is Hazrul Islam Welcome To My Blog hazrul remo Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Kuchh Na Kuchh Naya Dikhane Ki Koshish Karte Rahte Hain Aur Hum Aapko Hamari Videos Ke Jariye Se Bujurg Aane Din Allah Ke Waliyon Ki Mazar E Mubarak Ki Ziyarat Karvate Rahte Hain Doston Aaj Humne Aapko Is Video Ke Jariye Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Karaya Hain
History
Aapka Naam Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Hai Aur Aapke Walid Ka Naam Hazrat Haji Din Mohammed Mandal Hai Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Ka Wiladat 1 October 1862 Baroj Juma 7 Rabi Ul Akhir India West Bengal Malda Jila Chandipur Gaon Mein Hua Jab Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ka Janam Hua To Pure Parivar Mein Khushi Manae Gai Jab Hazrat Haji Din Mohammed Mandal Ko Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ki Wiladat Ki Khabar Hui
To Unke Aankho Se Aansu Nikal Pade Khushi Ke Aur Unhone Usi Samay Allah Tala Ka Shukar Ada Kiya Rishtedaro Aur Dosto Ke Alava Gaon Ke Logo Ne Bhi Khushi Ka Izhaar Kiya Aur Hazrat Haji Din Mohammed Mandal Ko Aur Unke Parivar Walo Ko Ek Khubsurat Bacche Ke Janam Per Badhai Di
Aur Logo Ne Lambi Umra Ke Liye Dua E Di Aur Hazrat Haji Din Mohammed Use Samay Ke amiron Mein Se The Aur Garib Fakir Fukra Se Behad Mohabbat Karte The Aur Is Khushi Ke Mauke Per Logo Ko Khana Khilaya Aur Garibo Mein Sadka Banta Aur Jis Khubsurat Bacche Ki Wiladat Hazrat Haji Din Mohammed Ke Ghar Mein Hui Us Bacche Ka Naam Mohammed Abid Hussain Rakha Hazrat Muhammed Abid Hussain (R.A) Ke Alava Hazrat Haji Din Mohammed Ke Aur Bhi Aulade Hain
Bachpan
Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ke Bachpan Mein Khas Khyal Rakha Gaya Padhaai Likhai Aur Talim Aur Tarbiyat Mein Khas Khyal Rakha Gaya Aapka Bachpan Bade Hi Lad Pyar Mein Bita Hai Agar Aapko Kisi Chij Ke Liye Mana Kar Diya Jata To Aap Us Chij Ke Liye Jid Nahi Karte Aap Bahut Hi Shant Mijaj Ke The Lekin Lad Pyar Ke Sath Sath Mein Aapke Walid Majid Ne Aapki Padhaai Likhai Talim Va Tarbiyat Ka Bahut Hi Khas Khyal Rakha
Shuruaati Talim
Shuruaati Talim Aur Tarbiyat Jab Aapki Umar Takriban 6 Sal Hui Tab Aapko Khandan Ke Baccho Ke Vidyalay Mein Dakhil Karaya Gaya Aapne Khandani Vidyalay Mein Quran Sharif Padhna Sikha Aur Quran Sharif Ke Chhote Surato Ko Hifz Kiya Aur Urdu Padhna Sikha Aur Khandani Vidyalay Mein Aapki Padhaai Puri Hui
Maulana Abdul Qadir Sahab
Aapki Pahli Vidyalay Se Padhaai Puri Hone Ke Bad Ab Aage Ki Padhaai Ki Fikra Jari Hui Ab Talash Thi Ek Aise Ustad Ki Jo Aapke Khandan Ke Baccho Ko Aur Khas Kar Aapko Aapke Ghar Mein Akar Urdu Farsi Arabi Padha Sake Lekin Aise Ulma Ka Milna Pure Malda Jila Mein Us Samay Bahut Hi Mushkil Tha Lekin Fir Bhi Talash Jari Thi Fir Bahut Talash Karne Ke Bad Hazrat Maulana Abdul Qadir Sahab Ke Bare Mein Pata Chala Aur Hazrat Maulana Abdul Qadir Sahab Logo Ke Bich Kafi Mashhur The Aur Logo Se Aap Hamesha Hans Karke Mila Karte The Aur Logo Ke Bich Mein Hamesha Apna Khushhal Mijaj Rakhte The
Idhar Hazrat Haji Din Mohammed Bhi Kafi Mashhur The Aur Aap Logo Ke Sath Kafi Achcha Vyavhar Rakhte The Aur Jo Bhi Aapke Ghar Fakir Fukra Vah Miskin Aate Unhen Khali Nahi Jaane Dete Haji Sahab Ne Hazrat Maulana Abdul Qadir Sahab Se Mulakat Kiya Aur Unhen Chandipur Aane Ki Dawat Di Jab Hazrat Maulana Abdul Qadir Sahab Chandipur Aaye To Hazrat Haji Din Mohammed Ne Apni Baat Pesh Ki Maulana Sahab Ne Is Peshkash Ko Kabul Kiya Aur Fir Unke Lagte Jigar Ki Talim Aur Tarbiyat Per Mamur Ho Gaye
Maulana Sahab Ne Khas Kar Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ki Padhaai Likhai Mein Dhyan Diya Aur Unhen Mehnat Va Lagan Se Padhaane Lag Gaye Idhar Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Bhi Apni Puri Mehnat Se Padhaai Vah Likhai Mein Dhyan Dene Lage Jab Urdu Arabi Farsi Ki Talim Mein Kuchh Pesh Raf Hui To Munasib Samjha Gaya Ke Ab Juban Bangla Ki Bhi Talim Shuru Kar Di Jaaye
Chunanche Agle Juban Ki Talim Ke Liye Ek Aise Shakhs Ka Intekhab Kiya Gaya Jo Ek Mahir Ustad Aur Athalib Ki Haisiyat Se Mashhur The Yah Sahab Guru Ji Ke Naam Se Mashhur The Aur Yah Guruji Ke Naam Se Itne Mashhur Ho Chuke The Ki Unka Asal Naam Log Bhul Gaye The Aur Sab Log Unhe Guruji Ke Naam Se Hi Jante The Guru Ji Ko Chhote Bacchon Ko Padhaane Mein Badi Maharat Aur Khasa Tajurba Tha Isiliye Log Apne Bacchon Ko Padhne Ke Liye Guruji Ke Pass Bhejte The
Bangla Juban Ki Talim Ke Liye Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Ko Guruji Ke Shupoot Kiya Gaya Guruji Bahut Vyast Raha Karte The Lekin Fir Bhi Kisi Tarah Se Waqt Nikal Kar Ke Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ke Ghar Mein Akar Bangla Juban Ki Talim Diya Karte The Guru Ji Ki Mehnat Vah Tavajjo Aur Dilchasmi Ki Vajah Se Kuchh Hi Waqt Mein Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Bangla Padhna Vah Likhna Sikh Gaye
Kanpur Madarsa
Ab Ustad Ki Rai Yah Hui Ki Ab Unhen Kisi Acche Edahra Mein Dakhil Karke Agle Marhala Ki Talim Dilai Jaye Kyunki Private Talim Aur Tarbiyat Aur Edahra Ke Talim V Tarbiyat Mein Bada Fark Hota Hai Private Aur Jati Mehnat V Mutala Se Bhale Hi ilm Hasil Ho Jaye Lekin Edahra Ki Jo Talim Vah Tarbiyat Ki Khubiya Aur khushushiyat Hai Vah Hasil Nahi Ho Sakti Hain
Isiliye Ki Madrasa Hi Ek Aisi Jagah Hai Jahan Hakiki Mayne Mein Insan Insan Banta Hai Ustad Ke Mashware Ke Mutabik Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ko Kanpur City Ke Madrasa Mein Dakhil Karaya Gaya Lekin Vaha Jyada Dino Tak Talim Jari Na Rakh Sake Vaha Ki Hawa Aapko Ras Na I Aksar Aapki Kanpur Mein Tabiyat kharab Raha Karti Thi Tabiyat kharab Rahne Ki Vajah Se Aap Wapas Chandipur A Gaye
Jab Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Kanpur Se Talim Muntake Karke Ghar Aakar Baith Gaye To Hazrat Haji Din Mohammed Mandal Ki Pareshani Badh Gai Aur Unko Fikr Daman Gir Hui Ke Ab Unki Talim Ke Liye Kya Najam Kiya Jaye Kaha Bheja Jaye Aur Kiske Hawala Kiya jaye Bil Aakhir Ab Inhone Yah Faisla Kiya Ki Ab Unko Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ke Hawala Kiya Jaye Yah Hazrat Kunwar Ya Azamnagar Jila Purnia Ke Rahne Wale The Unki Bujurgi Aur ilmo Fajal Ka Dur Vah Karibi Ilako Mein Bada Charcha Tha
Hazrat Haji Din Mohammed Mandal Maulana Ke Bade Madda Vah Mukaddat The Maulana Ko Bhi Unse Vah Unke Ahle Khandan Se Badi Mohabbat Aur Taluk Tha Dono Taraf Se Aane Jaane Vah Mulakat Ka Silsila Pahle Se Hi Kayam Tha Ek Roj Hazrat Haji Din Mohammed Mandal Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Se Mulakat Ke Liye Bihar Pahunche Aur Maulana Ko Chandipur Tashrif Laane Ki Dawat Di Kyunki Dono Ke Darmiyan Pahle Se Hi Acche Sambandh The Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ne Shaikh Din Mohammed Mandal Ki Dawat Kabul Kar Li
Maulana Shah Hafizuddin Ka Chandipur Mein Tashrif Lana
Kuchh Dino Ke Bad Vade Ke Anusar Maulana Khushhalpur Hote Hue Chandipur Pahunche Is Mauke Per Hazrat Haji Din Mohammed Mandal Ne Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Se Darkhast Ki Mere Is Ladke Ko Apni Khidmat Mein Kabul Farmakar Apni Marji Ke Mutabik Uski Talim Aur Tarbiyat Farmaye Fir Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ne Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ko Apne Kareeb Bulaya Sar Per Hath Fer Karke Dua E Di Aur Apni Khidmat Mein Kabul Kiya Aur Apne Sath Le Jaane Ka Vada Kiya
Chunanche Vah Din Vah Ghadi Bhi A Gai Waliden Apne Lakhte Jigar Ko Aur Ahle Khandan Walo Ne Unko Duao Ke Sath Safar Ke Liye Alvida Kaha Aur Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Ke Sath Madarsa Kabir Bihar Pahunch Gaye Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ne Madrasa Kabir Mein Takriban 6 Se 7 Sal Bitae Aur In 6 Se 7 Salo Mein Hazrat Maulana Abid Husain Ne Hazrat Maulana Hafizuddin Latifi (R.A) Se Talim Hasil Kiya
Baith Vah Khilafat
Hazrat Maulana Abid Hussain Daurane Talim Apne Ustad Hazrat Maulana Hafizuddin Latifi (R.A) Se Baith Ho Chuke The Jab Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) Sasram Ko Khair Baat Kahkar Apne Vatan Chishti Nagar Aakar Mustkil Daur se Kayam Fazil Ho Gaye To Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Bhi Aapke Sath Vatan A Gaye Aur Aapka Dar Pakad Kar Is Tarah Se Pade Rahe Ki Inki Is Halat Per Hazrat Maulana Hafizuddin Latifi (R.A) Ko Taras Aata Tha Aur Is Darmiyan Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Apne Dil Aur Jaan Se Hazrat Maulana Hafizuddin Latifi (R.A) Ki Khidmat Karte Rahe
Jab Murshid Ne Unke Andar Khilafat Vah Niyabat Ki Matluba Salahiyate Mehsoos Karlia To Unhe Khilafat Vah Izaajat Ki Khalat Se Nawaza Hazrat Maulana Hafizuddin Latifi (R.A) Ke Mashhur Khulfa Hazrat Maulana Muhammad Abid Hussain (R.A) Hazrat Maulana Muhammad Mohiuddin Coach Ghadi (R.A) Hazrat Maulana Sarfuddin Gangi (R.A) Aur Hazrat Maulana Muzaffar Imam The
Lekin Shaikho Mein Auliyat Aur Taktam Ka Sharf Dal Imtiaz Hazrat Maulana Abid Hussain (R.A) Ko Hi Hasil Tha Jisko Inhone Har Marla Aur Har Aan Barkarar Vah Kayam Rakha Miz Apne Shekh Ke Rang Ka Sabse Jyada Asar Unhi Per Tha
Rahmanpur Khanqah Madrasa
Hazrat Maulana Hafizuddin (R.A) 1324 Hijri mein Apne Abai Vatan Kehriya Chishtinagar Ya Azamnagar Se Hijrat Karke Rahmanpur Mein A Gaye The Aur Usi Sal Vah Inhone Madrasa Aur Khanqah Kayam Ki Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Bhi Rahmanpur Akar Apne Murshid Ki Khidmat Mein Rahne Lage The Aur Rehmanpur Madrasa Latifia Khanqah Kayam Hone Ke Bad Isme Dast Vah Tadris Ke Liye Mamur Ho Gaye
Madrasa Latifia Mein Mansab Tadris Per Faiz Hone Ke Bavjud Bhi Inhone Kabhi Bhi Apne Ko Ustad Nahi Samjha Inhone Apne Ko Barabar Talib Ilm Hi Samjha Aur Apne Ustad Vah Murshid Ki Har Tarah Ki Khidmat Ko Apne Liye Baise Fakro Vah Sahadat Samjha
Ustad Ki Khidmat Ki Ek Nadir Misal
Ek Bar Ka Waqia Hai Ki Allama Shah Hafizuddin Apne Tabliki Daure Se Wapas Rahmanpur Aaye Kai Roj Se Bithulkhala Ki Safai Na Ho Saki Thi Galiban Bitulkhala Safai Karamchari Bimar Chal Raha Tha Shaikh Ne Bitulkhala Se Aane Ke Bad Mein Hajrin Mein Se Kisi Se Farmaya Bitulkhala Bahut Ganda Ho Gaya Hai Kal Subah Kisi Safai Karamchari Ko Bulakar Ke Saf Kara Dena Chahiye Maulana Muhammad Abid Sahab Ne Murshid Ki Baat Chhupkar Sun Li Thi Sheikh Ka Subah Sohore Bitulkhala Jaane Ka Mamur Tha
Maulana Mohammed Abid Sahab Ne Socha Ki Safai Ke Liye To Koi Subah Hone Ke Bad Hi A Sakega Lekin Shaikh Ko To Subah Savere Hi Bitulkhala Jaane Ke Aadi Hai Is Khyal Se Ki Sheikh Ko Fir Ajiyat Mahsus Na Ho Jab Raat Mein Sare Log Nind Ki Aahosh Mein Ja Pade To Hazrat Maulana Muhammad Abid Hussain (R.A) Raat Ko Chupke Se Uthkar Ke Sare Bitulkhala Dhulkar Saaf Kar Diye Aur Unmen Khushbu Ka Chhidkav Kar Diya Fir Gusal Karke Bistar Per Is Tarah Se let Gaye Ke Kisi Ko Aahat Tak Mahsus Na Ho Saki
Aap Jara Kadim Jamane Ke Bitulkhalao Ka Tasabur Kijiye Ke Unki Safai Har Aadmi Ke Bus Ki Baat Nahi Thi Unki Safai Kisi Safai Karmchari Ke Bagair Mumkin Nahi Thi Jahan Gulajat Ka Dher Jama Hua Tha Use Uthakar Ke Fekna Peshawar Ke Siva Kya Koi Dusra Shakhs Gawara Kar Sakta Tha Ye Fanafi Al Sheikh Hone Ka Hi Karishma Tha Jab Sheikh Apne Mamul Ke Mutabik Subah Savere Bitulkhala Gaye To Use Saaf Suthra Dekh Kar Ke Hairan Rah Gaye Aur Bagair Taraddukh Ke Fauran Samajh Gaye Yah Kiska Karnama Ho Sakta Hai Zahir Hai Raat Mein Koi Mohtar Aakar Ke Yah Kam Anjam Nahi De Sakta Hai
Jab Subah Hui To Khanqah Vah Madrasa Ke Hajrin Se Dariyaft Kiya Unme Hazrat Maulana Mohammed Abid Bhi Maujud The Jab Koi Na Bol Saka To Fir Khud Hi Sheikh Ne Farmaya Yah Kam Molvi Abid Ke Shwags Ka Ho Sakta Hai Fir Sheikh Ki Juban Se Maulana Mohammed Abid Sahab Ke Liye Tehdil Se Dua E Nikli Jisne Teer Ba Hadab Ka Kam Kiya Jab Tak Hazrat Maulana Hafizuddin Hayat Rahe Tab Tak Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Unse Juda Na Hue
Maulana Abid Hussain Per Murshid Ki Rehlat Ka Asar
1333 Hijri Mein Maulana Shah Hafizuddin (R.A) Ki Rehlat Ka Sania Pesh Aaya Unki Is Avdhi Firkat Aur Judaai Se Jo Dil Jyada Ranjor Gumjada Aur Mutasir Tha Vah Hazrat Maulana Mohammed Abid Husain (R.A) Ka Dil Tha Is Alamya Per Maulana Ko Hafto Balke Mahino Sabar Vah Tasalli Na Ho Saki Dil Afsos Jada Chehra Murjhaya Hua Raha Karta Tha Apni Is Kaifiyat Ko Maslohi Taur Per Chhupane Ki Vah Bahut Koshish Karte The Lekin Vah Chhup Nahi Pati Thi Ustad Ki Rehlat Kya Thi Goya Gam Ka Pahad Sar Per A Pada Ho
Ab Rahmanpur Mein Kya Rah Gaya Tha Jinki Vajah Se Rahmanpur Mein Ronak Raha Karti Thi Ab Vah Nahi Rahe Lihaza Kuch Dino Ke Baad Madrasa Latifia Ko Khair Baat Kah Kar Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Apne Ghar Chandipur Malda A Gaye Aur Madrasa Latifia Se Ab Inhone Mahej Rasmi Taluk Baki Rakha
Chandipur Khanqah
Hazrat Maulana Hafizuddin Latifi (R.A) Ki Rehlat Ke Bad Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Madarsa Latifia Rahmanpur Se Chandipur A Gaye Aur Vahi Khanqah Banva Kar Baith Vah Hidayat Ka Kam Shuru Kar Diya Tha Log Aapki Khanqah Per Aakar Ke Aapse Baith Hua Karte The Kuchh Arsa Khanqah Hi Tak Aapka Dayera Kar Mehdudh Raha Aur Khanqah Hi Ko Markaz Isla Vah Tablik Banaye Rakha
Fir Ahista Ahista Dayra Amal Vashi Hone Laga Aur Ab Khanqah Ki Chardiwari Se Nikal Kar Aaspaas Aur Durdraj Ke Ilako ka Daura Karne Lage In Dauro Mein Vaja Vah Nasihat Aur Dawat Vah Tablik Ke Sath Sath Baith Bhi Kiya Karte The Is Kam Ke Liye Maulana Hafton Bahar Gujar Dete The Na Kadake Ki Sardi Is Rah Mein Mayne Hoti Na Shiddat Ki Garmi Vah Har Mausam Mein Iske Liye Rava Dava Najar Aate The
Apne Asfar Mein Jarurat Ki Tamam Jaruri Ashya Unke Sath Hoti Kisi Ke Darvaje Per Kayam Karna Pasand Na Farmate The Balke Masjido Mein Kayam Karte Agar Koi Azra Khulus Ziyafat Ki Peshkash Karta To Agar Koi Kabahat Mehsoos Na Karte To Kubul Kar Lete Varna Apne Pass Jokuch Hota Tha Is Per Kanat Farmate The Gaon Gaon Ghoom Ghoom Kar Dawat Alah Allah Dete Aur Rasmo Riwaj Aur Badad Vah Munkaraj Se Ichtinaf Ki Talkim Karte The Aur Aapne Jage Jage Per Masjid Kayam Karvaya Aur madrase Banvae Aapke Madraso Se Bahut Se Alim Taiyar Hue
Nikaah Vah Aulad
Hazrat Maulana Muhammed Abid Hussain (R.A) Ka Nikaah Apni Chacha Jaat Bahan Hazrat Bibi Mufid Al Nisha Bin Hazrat Noor Mohammed Mandal Se Hui Hain Aapke 6 Sahabzade Aur 2 Sahabzadia Hai
Naam | Shaikh Maulana Abid Hussain |
Janm | Chandipur Malda West Bengal |
Religion | Islam |
Murshid | Maulana Shah Hafizuddin Latifi |
Home town | Chandipur Malda |
Parent | Din Mohammed (Father) |
Teachers | Maulana Shah Hafizuddin Latifi |
Tariqa | Abu Ulai Naqshbandi |
Aapke Sahabzade
(1) Hazrat Maulvi Najimuddin
(2) Hazrat Maulana Mohammed Shahabuddin Majhari
(3) Hazrat Maulana Hakim Abdul Gaffar Nadvi
(4) Hazrat Mohammed Shamsul Huda
(5) Hazrat Maulvi Abdul Jabbar
(6) Hazrat Mohammed Hafizuddin
Aapki Sahabzadia
(1) Hazrat Bibi Tahurana Khatun
(2) Hazrat Bibi Jahurana Khatun
Hazrat Maulvi Najimuddin Hazrat Hakim Abdul Gaffar Aur Hazrat Shamsul Huda In Teeno Ki Wafat Aapki Hayat Mein Hui Aur Hazrat Maulana Mohammed Shahabuddin Hazrat Maulvi Abdul Jabbar Aur Hazrat Hafizuddin Aapke Baad Tak Bakik Hayat Rahe In Teeno Mein Pehle Hazrat Hafizuddin Ne Wafaat Pai Inke Bad Hazrat Maulana Mohammed Shahabuddin Ne Wafaat Pai Aur Sabse Aakhir Mein Hazrat Maulvi Abdul Jabbar Ne Wafaat Pai
Aapki Dono Sahabzadia Aapki Hayat Mein Hi Shaadi Shuda Hokar Wafaat Pai
Shajra Sharif
Shajra E Nasab
Hazrat Mohammed Abid Hussain Man
Hazrat Din Mohammed Mandal Bin
Hazrat Raj Mohammed Mandal Man
Hazrat Audhar Mandal Bin
Hazrat Shaikh Aadam Mandal Bin
Hazrat Zahid Mandal Man
Hazrat Nau Nihal Bin
Hazrat Bhakkan Man
Hazrat Shaikh Inayat Punjabi Man
Hazrat Murshid Daniyal Khorasani
Shajra E Tariqat
Hazrat Syedna Shah Ameer Abul Ula Ahrari Naqshbandi (R.A) Agra
Aapke Khalifa
Hazrat Sayed Dost Muhammad Abul Ulai Naqshbandi Aurangabadi (R.A) Aurangabad
Aapke Khalifa
Hazrat Shah Farhad Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Delhi
Aapke Khalifa
Hazrat Burhanuddin khudanuma Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Baktiyar Nagar Lucknow
Aapke Khalifa
Hazrat Khwaja Rukunuddin Ishq Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Patna
Aapke Khalifa
Hazrat Syed Shah Khwaja Abul Barkat Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Patna
Aapke Khalifa
Hazrat Syed Shah Khwaja Wajiulla Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Patna
Aapke Khalifa
Hazrat Syed Shah Khwaja Latif Ali Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Patna
Aapke Khalifa
Hazrat Khwaja Hafizuddin Latifi Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Katihar Barsoi Bihar
Aapke Khalifa
Hazrat Maulana Mohammad Abid Hussain Abul Ulai Naqshbandi (R.A) Chandipur Malda
Maulana Khorasani Nasl Ke Shaikh Siddiqui The Unka Nasab Nama Jahan Tak Maloom Hai Is Tarah Se Hai
Iske Bad Ka Nasab Nama Mehfuj Nahi Hain
Peero Murshid
Hazrat Khwaja Hafizuddin Latifi Abul Ulai Naqshbandi (R.A)
Silsila
Abu Ulai Naqshbandi
Urs Mubarak
Pahle Chandipur Jamidaro Ke Naam Se Jana Jata Tha Lekin Ab Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Ke Naam Se Jana Jata Hai Har Sal Hujur Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Ki Dargah Sharif Ka Urs Chait Ke Mahine Mein Manaya Jata Hain Hazrat Ke Urs Mubarak Mein Bengal Vah Bihar Se Bhi Zayerin Aate Hain Aur Chandipur Ke Aaspaas Ke Gaon Ke Jaise Ke Mankiwadi Tulsihata Bangrua Birua Ramshimul Kushida Bagmara Yah Chandipur Ke Aaspaas Ke Gaon Hain
Aise Hi Aur Bhi Bahut Se Gaon Hain Chandipur Ke Aaspaas Mein In Sabhi Gaon Se Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Ke Urs Mubarak Main Zayerin Aate Hain Jo Log Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Se Mohabbat Vah Akidat Rakhte Hain Agar Vah Log Kamkaj Ke Silsile Se Apne Ghar Se Dur Jate Hai Jaisa Ki Bahut Se Log Lucknow Delhi Jaipur Ajmer Sharif Aur Punjab Aur Bhi Kafi Jagahon Per Chandipur Vah Chandipur Ke Aaspaas Ke Log Kamkaj Ke Silsile Mein Jaate Hain
Jaise Hi Unhe Pata Chalta Hai Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Ki Dargah Sharif ka Urs Mubarak Ab Najdeek A Gaya Hai Vaise Hi Vah Log Apne Gaon Vah Ghar A Jaate Hain Aur Hazrat Ke Urs Mubarak Mein Hazrat Maulana Mohammed Abid Husain (R.A) Ki Dargah Sharif Mein Apni Hajiri Apna Salam Pesh Karte Hain
Address
Insha Allah Hum Aapko Bataenge Ki Aap Bye Road Chandipur Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Kaise Aaenge Aur Hum Aapko Yah Bhi Bataenge Ki Aap Bye Train Chandipur Kaise Aaenge Chandipur Mein Pahle Ke Daur Mein Kacchi Sadak Thi Lekin Ab Damar Road Hain
Chandipur Mein Pahle Ke Daur Mein Log Bailgadi Vah Tanga Ghoda Gadi Se Jaya Aaya Karte The Lekin Abhi Ke Daur Mein Log Two Wheeler Three Wheeler Vah Four Wheeler Gadi Mein Jaya Aaya Karte Hain Abhi Ke Daur Mein Chandipur Ke Logo Ko Vah Chandipur Mein Aane Jaane Wale Logo Ko Badi Aasani Se Chandipur Ke Liye Tulsihata Se Gadi Mil Jaati Hain
Tulsihata
Tulsihata Se Chandipur Lagbhag 5 Kilometer Dur Hai Aur Tulsihata Mein Hafte Mein Ek Bar Sanday Ke Din Hat Lagta Hai Tulsihata Vah Tulsihata Ke Aaspaas Ke Gaon Ke Log Jo Bhi Khariddari Karna Chahte Hain Vah Tulsihata Hat Mein Aakar Ke Khariddari Karte Hain Aur Yah Hat Kafi Bada Lagta Hai Tulsihata Bus Stand Ke Karib Yah Markit Lagta Hai Tulsihata Se Aapko Chandipur Ke Liye Badi Aasani Se Three Wheeler Vah Four Wheeler Gadi Mil Jayegi
Agar Aap Katihar Kishanganj Barsoi Bihar Se Bye Road Chandipur Aana Chahte Hain To Aap Badi Aasani Se A Sakte Hain Aap Sabse Pahle Tulsihata A Jaaiye Aur Tulsihata Se Aap Aasani Se Chandipur A Sakte Hain Aur Agar Aap Malda Se Bye Road Chandipur Aana Chahte Hain To Badi Aasani Se Aap A Sakte Hain Malda Se Pahle Aap Chanchal A Jaaiye Chanchal Se Aap Chahe To Tulsihata Ke Raste Se Chandipur A Sakte Hain Aur Ya Fir Aap Chahe To Pema Malippur Ke Raste Se Bhi Badi Aasani Se Aap Chandipur A Sakte Hain
Harishchandrapur
Chandipur Ke Sabse Kareeb Mein Harishchandrapur Railway Station Hai Aur Is Railway Station Se Chandipur Lagbhag 13 Kilometer Dur Hain Agar Aap Mumbai Ajmer Sharif Delhi Bareilly Sharif Lucknow Se Chandipur By Train Aana Chahte Hain To Aap Badi Aasani Se A Sakte Hain Aap Sabse Pahle Katihar Junction Railway Station A Jaaiye Aur Katihar Railway Station Se Aapko Harishchandrapur Ke Liye Train Badi Aasani Se Mil Jayegi
Jab Aap Bihar Katihar Railway Station Se Harishchandrapur Ki Taraf Aaenge To Harishchandrapur Se Pahle Kumedpur Junction Railway Station Aaega Aur Kumedpur Railway Station Ke Bad Harishchandrapur Railway Station Aaega Agar Aap Malda West Bengal Se Chandipur By Train Aana Chahte Hain To Aap Badi Aasani Se A Sakte Hain
Malda West Bengal Se Aapko Badi Aasani Se Harishchandrapur Railway Station Ke Liye Train Mil Jayegi Jab Aap Harishchandrapur Railway Station Mein A Jaenge To Aapko Harishchandrapur Railway Station Ke Kareeb Mein Hi Aapko Three Wheeler Vah Four Wheeler Gadi Mil Jayegi Chandipur Ke Liye Aap Direct Harishchandrapur Se Chandipur A Sakte Hain
Google Map Location
FAQ
Pahle Ke Daur Mein Chandipur Jamidaro Ke Naam Se Famous Tha Lekin Ab Yah Hujur Maulana Muhammed Abid Hussain (R.A) Ke Naam Se Jana Jata Hai Bengal Vah Bihar Se Zayerin Hazrat Maulana Mohammed Abid Hussain (R.A) Ki Dargah Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Aate Hain Aur Apni Hajri Apna Salam Hazrat Ki Bargah Mein Pesh Karte Hain
Last
Ham Asha Karte Hain Ki Aapko Yah Hamari Jankari Pasand I Hogi Agar Aapko Hamari Yah Jankari Acchi Lagi Ho To Aap Apne Doston Family Aur Group Mein Share Jarur Karen Taki Unhen Bhi Yah Jankari Mil Sake